Tourism Essay In Urdu Tourism In Pakistan Ki Seyahat Mazmoon

  Lal Gulab      
Travel And Tourism In Pakistan Essay In Urdu:

Pakistan ko qudrat ne apni taman tar khubsurati se nawaza hai. garam sehra se le kar baraf ki chaadar orhe hemaliyaa ki chottiyon tak, sar sabz wadiyon, zarkhais maidano gungunate jharno se le kar khule samander tak zameen ki tamaam tar khubsurati es khat main mojud hai. Pakistan duniya bhr main seyahat ke liye behtareen mulk hai. agr hukumat seyahat par tawaja de to sirf esi mad main etni aamdani mumkin hai jis se watan azeez ka sara qaraz ada ho sakta hai. tooti phooti sarke, ujre restoran or na kaafi saholiyat kaqumati karkardagi ka elaan karti nazar ati hen. sawal ye hai ke har saal jari hone wala bhari fand kis ki jaib main jata hai? 

Azad Kashmir ki khubsurat wadiya or jheelain duniya bhr main apna saani nahi rakhte. kabhi duniya bhr ke siyaa en wadiyon main kheenche chale ate the lekin jehadi kaimpoo ki mojudagi or duniya bhr main phelaegae bharti prapegande ne gair mulki siyaaho ko qadam rok diye. yahan qadam qadam par qudrat ki kareegari ke namoonay bikhray paray hain. Allah ne kashmir ko  es qadar khubsurati se nawaza hai ke isay jannat se tashbiyan di jatee hai. aksar doctor zehni dabao ke shekar afrad ko adwiyat ke estamal ke bajae kuch din un muqamat pe rehne ka mashwara dete hen. naran ka gan, jheel saifulmaluk, hunza, davsahi, mangora, mir Ali, khuwab nagri , murree or bhorban samait latadaad elaike ese hen jo duniya bhr main apna saani nahi rakhte . hemaliyaa ke baraf posh pahar , thar ka registan, Karachi ka sahil or Punjab ke maidan garaz Pakistan khubsurati ke lehaz se duniya ka eham tareen mulk hai.

Duniya bhar main seyahat ko khususi tawaja or ehmiyat ka hamil samjha jata hai. Yahan tak ke kuch mumalik ne seyahat ke hawale se naam kamaya balkeh wo apna  nasaf se zayada bajaid seyahat se hi pura karte hen.seyahat ke farog se mukami logon ko rozgar milta hai or karobar ke zarae bhi bhr jate hen. dusri taraf hukumati khazane main zyada rakam ane se mulk ki muashi suratehal bhi bhtar hoti hai. dilchasp bat ye hai ke duniya main bhot se mumalik ke paas seyahat ke liye kabil zikar seyahati mukamat nahi hen. kuch mumalik ke pas sirf sehra hai or kuch mumalik ke pas sirf pahar lekin Allah ne Pakistan ko husan or khubsurati ke ese zewar se arasta kia hai jo har lehaz se mukmal hai. es mulk ki mukamal seyahat ke bad insan ko ksi or mulk jane or muzahir qudrat ka mushahida karne ki zarori mehsos nhi hoti. qudrat apne mukamal husan samait yahan jalwa afroz hai. haqeeqi tor par Pakistan seyahat ke nakto nazar se duniya ko behtareen mulk hai. Badqismati se Pakistan ke qayam se le kar aj tak kisi hukumat es janib tawaja nahin di. Seyahat ke mamelat ke liye mohakma to qaim kiya gaya lekin es ki kar kirdagee bazat khud ek sawalia nishan hai. Haqumat Pakistan seyahat ko farog de kar har saal bhot zyada amdani ekhatti kar sakti hai jo gair mulki qarzo se nijat delane main madadgar sabit hogi. Seyahon ki Pakistan aamad se na sirf qomi khazane main ezafa hoga balke pakistan bhr main rozgar ke nae mowake paida honge. siya ka barae rast taluq es abadi se hota hai. yahan wo seyahat ki garz se jata hai. Usay rahnuma le kar khareedo farokht or roz mara zaroriyat ke liye mukami afrad se wasta barhta hai. seyaho ki Pakistan amad se pure mulk main rozgar ke yaksaa muwake mayasar honge. seyaho ki rehaish or khurak ka intezam mukami abadi hi karti hai. Es tarah gurbat main na sirf kami aegi balke es ka mukamal khatma bhi mumkin hai.

Bad qismati se seyahat ke liye mozon tareen mulk Pakistan main seyahat par khas tawaja nahi di jati. Khubsurat elaiqo ki bhrmar hone ke bawajod yahan seyaho ko saholiyat hasil nahi. Khubsurat wadiyo tak janay ke liye na to achi sarak hai or na hi sawari. Aksar mukamat jahan devmalahi khubsurati or haseen khuwabon ka melap hota hai wahan se aagay khachar or gadhe ke elawa koi zariya amad o tafat mumkin nahi. Esi tarah seyaho ki rehaish ka intezam nahi hai or khurak ke masail bhi janam lete rahte hen qudrat ke khubsurat mazahire se malamal hone ke bawajod hum abhi tak kagazi ka rwahion or androni siyasat ka shikar hen. Pakistan ki taraqi or khushhali ke liye humain apni in khamiyo par qaboo pana hoga. apne mansobo ka ezsarno jahiza lete hue enhen mazeed behtar bana kar hi hum Pakistan ka khubsurat chehra duniya ko dekha sakte hen.

tags: advantages and disadvantages of tourism in urdu, travel and tourism essay in urdu
logoblog

Thanks for reading Tourism Essay In Urdu Tourism In Pakistan Ki Seyahat Mazmoon

No comments:

Post a Comment