Sindh History In Urdu Sindh Information Sindh Ki Tareekh Aur Malomat

  Lal Gulab      
Sindh History In Urdu: Sindh Ki Malomat

Sindh Pakistan ke chaar subon mein ek subaa hai. Jo bar sageer ke qadem taren tehzebi warse aur jaded taren muwashi wa sanaati sargarmiyon ka markaz hai. Sindh pakistan ka junoob mashrakii hisa hai. Sindh ki subai zaban sindhi aur subai darul hukumat karachi hai. Waja tasmiyaa: lafaz "sindh" darasal daryae sindh hi se mustaar hai jo sanskirat lafaz "sindhu" ki mojooda shakal hai.

Aab o Hawa: Zeli mantaka hara mein waqiya hone ki waja se sindh ki am0mi abo hawa garam aur khushak hai jab ke sahili ilaqon ka mausam qadre martoob hai. Taham garmiyu bilkhasos may,june mein mausam sakhat garam aur sardiyon bilkhasos december,january mein mausam intehai sard rehta hai. Sindh ka ilaqa jacama bad apne record darja hararat ki waja s mashoor hai. July aur august ke mah moon soon ke mausam hen. Sindh mein austaan salana saat inch barish hoti hai ye bat kum hi afrad jante hen ke sindh ke shumal mein kowhkher thar ke Baaz ilaqe satah samandar se 6000 hazar fit buland hen aur mausam sarma mein aksar yaha baraf bari h0ti hai.

Tareekh: Zamana qadem sindh apne daman mein dunya ka qadem taren tehzebi warsa samue hai tehkeki shawahid batate hein ke dararwi abadkaron se qabal yahal (7000) mukhtalif qabail abad the. Dararwiyon ne takreban 4000 mein wadiye sindh mein mustakil sakwant ikhtiar ki. Mohan jo daro ke khandar rat batate hen ke dararwi apne elam o fan mein yakta kashtkari aur tijarat se agha mazhab qaum the. Jinhon ne panch hazar sal qabal 3000 wadiye sindh ko elmi, fani aur tijarati lehaz se apni hum asar misri, ashoori aur sami tehzebiyon ke shana ba shana la khara kiya. Wadiye sindh ke daman mein kai shehri marakaz qaim the. Jinhen baqaida mansoba bandi ke tahat tameer kiya gaya tha mojoda gard system ke qaide ke mutabik abad in shehron mein shahiren pukhta then. Aur nakasi wa farahimi ab ka zere zamen nizam mojood tha. 

Sindh Information In Urdu: Magar phir kisi na qabil e daryaft waja se wadiye sindh ke ye azem marakaz tabahi se do char hogae. Mohan jo daro aur degar darardi marakaz ki tabahi ki kiya wajohat then. Is par muhqaqeen mein ikhtilaf paya jata hai. Baaz ise qudrati afat aur selab qarar dete hen, jab ke baaz muhqaqeen ke nazdek wasti asia aur mashraki eur0pe se aryawon ki foji yalgar ne ye tehzeb neset o nabod kardi. Aryawon ne yaha hind aryai tehzeb ki bunyad dali, jo daryae saraswati aur daryae ganga ke kinaron tak pheli hui thi. Ye tehzeb 150 mein apne urooj par thi. Hind aryai tehzeb ne Hindustan ke mazhab, rasom, muwashirat o rehan sehan par aan mat nakosh choray hen.


Agar aap sindh ke baray mein khuch jantay hain aur chahte hain ye yahan par woh maloomat likhi jayain tou comment kijiye.
logoblog

Thanks for reading Sindh History In Urdu Sindh Information Sindh Ki Tareekh Aur Malomat

No comments:

Post a Comment