Winter Season Essay In Urdu Sardi Ka Mausam-e-Sarma Mazmoon Paragraph Hindi Winter Essay

  Lal Gulab      
Paragraph Hindi Winter Season Essay In Urdu Sardi Ka Mausam-e-Sarma Mazmoon

Winter Essay In Urdu - Jitni udasi main ne sham ke pehar mein mehsoos ki hai shayed hi din ke kisi aur hisay mein mehsoos ki ho aur agar sham sardi ke mausam ki ho tou phir udasi aur bhi bharh jati hai, janajay aisa kyoun hai par sardiyan jitni bhi udas kyoun na hon in ki shamien itni hi dilkash hoti hain. Asman par kabhi badlon ki chadar kabhi dobtay suraj ka khubsurat nazara aur kabhi barf se dhaki pahar ki wadiyan ye sub jannat ka nazara paish karti hain.  Aur phir raton mein kamray mein jaltay koeley aur un ki awazain aur bahir kamray ki khidki se darakht ki jhuki hoi tehniyon ki halki dhab dhab ki awazain raat ke sanaton ko chand lamhon ke liye khamosh kar deti hain.

 Sardi Ki Tasveer

Sardi Ki Amad: Sardiyon ki Subah mein jub safaid badal asman par cha jatay hain gtab hawaon mein thandak aur bhi bharh jati hai tab khuch log sukhi lakdiyon ko jala kar us ke qareeb baigth jatay hain aur khuch garma garam coffee ke mug halq mein undail rahay hotay hain, coffee ke cup se nikaltay hue dhunwain ke bheech mein se kahin asman se barf ki safaid pariyan zameen par utarti hoi nazar aati hain aur kahin khuch bachay baraf ki pariyon se kheel rahe hotay hain aur snowman bana rahe hotay hain jinhain atay jatay log khuch pal ruk kar dekhtay hain aur phir apne mamool ke kamon ke liye agey bharh jatay hain.

Pakistan Mein Mausam Sarma:
Is mausam mein din chotay ho jatay hain aur ratien lambi darja hararat gir jata hai. Pakistan mein mausam-e-sarma november se feb tak rehgta hai. 21 dec ko saal ki sub se lambi raat ghoti hai aur din sub se chota. Mausam sarma ko sardiyan, pala aur jara bhi kehtay hain is mausam-e-sarma mein suraj ki shuwaien seedhay rukh nahin atien iswajah se sardi ka mausam hota hai. Jub shumali nisf karah mein mausam sarma hota hai. Is mausam mein podon ke patay gir jatay hain aur taqreeban neend ki halat mein hotay hain. Sardi ke mashoor phool gul daudi aur gul lala hain. Basant sardiyon ke khatmay ka ilan hai is liye kehtay hain ayi basant pala urant.

Sardi Ki Manzar: Jub sardiyan thehr jati hain tab hum garmiyon ko yaad kartay hain aur jub garmiyan aati hain tab sardiyon ko najanay hum kisi mausam ko zayada dair dekhna kyoun pasand nahin kartay. Zindagi ki tarah mausam bhi bohat ajeeb hota hai janay kab badal jata ghai pata hi nahin chalta. Sardiyon ke mausam mein darakhton ke patay jhar jatay hain jin mein jati sardiyon ki khuch alwida hoti karnain jub pargti hain tou youn lagta hai jese bahar ke mausam ki amad ka sandees de kar ja rahi hon.
logoblog

Thanks for reading Winter Season Essay In Urdu Sardi Ka Mausam-e-Sarma Mazmoon Paragraph Hindi Winter Essay

No comments:

Post a Comment