Dehshat Gardi Essay In Urdu Dehshat Gardi Speech Asbab Wajuhat Khatma Tareef Meaning

  Lal Gulab      
Mazmoon Dehshat Gardi Essay In Urdu:
Dehshat Gardi Essay In Urdu: Pakistan mein dehshat gardi ke awamil ka barah-e-rast taluq awam Pakistan ke beroni dushmanon se hai jo yahan par mojood mukhtalif mazhbi, lasani maktaba fikar aur nasli garohon ke darmiyan mojood ikhtilafat ko bharka kar apne mazmoom maqasad hasil karte hain is mein Pakistan ke corrupt gukamran aur sayasi bunyadon par bharti honey wale bureaucrats bhi shamil hain jo chand tickets ke lalish mein beroni agents ke aala kaar bane hue hain aur un ki sazishon mein puri tarah shamil hain. Pakistan mein chand grohon ke ilawa tamam firqon ke log mil jul kar bhai chara ki fiza mein rehte hain aur rehna bhi chahte hain magar phir bhi beroni dushman kahin na kahin un ke darmiyan ikhtilafat dal kar apne mazmoom maqasad hasil karna chahte hain. 

Dehshat Gardi Ke Asbab:
Dehshat gardi ki wajuhat bohat si hain un mein ghurbat bhi aik bari wajah hai. Itna arsa guzar jane ke baad bhi Pakistani awaam ghurbat ki lapait mein hain is wajah se bohat se log apni zindagi bhi khatam kar detay hain aur pait ki khatir ghair qanooni kaam karne par majboor ho jatay hain. Pakistan ki taraqi mein ghurbat aik bohat bari rukawat hai. Sharpasand anasar ghurbat ke maray hue logon ko paise ka lalach de kar dehshat gardi par uksa rahe hain.

Dehshat Gardi Ki Wajuhat:
Hamare mulk mein is waqt berozgari aam hai aur barhti hoi abadi is berozgari mein mazeed izafa kar rahi hai is ki zad mein aye hue naujawan sangeen se sangeen jurm ka bhi irtkab kar laite hain jis se jaraaem ki sharah mein izafa hota ja raha hai. Munasib rozgar ki adam disatyabi ki surat mein log najaez zariye se paise kamane ki schemes bana laite hain. Dehshat gardi ki wajah mein aik taleem ki kami hai aur aaj kitnay saal guzar gye is mulk ko banay hue par aaj bhi ye mulk jahalat ke andheron se bahir nahin aaya. Dehshat gardi ki aik bari wajah subai tasab aur tang nazri bhi hai. Hamare mulk mein log qaumi mufaad ki bajaye subai mufad ki batain karte hain. Beroni taqatain subaiyat ko hawa de rahi hain is liye ke mulk mein intshar paida ho. Isi tarah puray mulk mein firqa wariyat ko hawa di ja rahi hai is liye ke dunya ke samne Pakista dehshat gard sabat ho jaye. Hamare mulk mein mukhtalif mazhbi tanzeemon ne bhi dehshat gardi ko hawa di jab ke hamara mazhab humain zulm se mana karta hai.

Dehshat Gardi Ka Khatma:
Kisi bhi mulk mein dehshat gardi muashray par gehre asrat muratab karti hai jis mein jani, mali, muashi, iqtsadi aur taleemi nuqsan shamil hain. Pichlay khuch arsay se dehshat gardi ne bainalaqwani satah par mulk ko bohat nuqsan pohanchaya, mulk ka kafi qeemti sarmaya dehshat gardi ki nazar ho gya hai. Aaj bhi waqt hai in masail par sanjeedgi se qanoon sazi ki jaye takay hamara mulk aik bar phir se aman ka gehwara ban jaye.

tags: speech dehshat gardi par mazmoon, kya hai dehshat gardi in pakstan
logoblog

Thanks for reading Dehshat Gardi Essay In Urdu Dehshat Gardi Speech Asbab Wajuhat Khatma Tareef Meaning

No comments:

Post a Comment