Canada History In Urdu Canada Information Canada News In Urdu

  Lal Gulab      
Canada History In Urdu: Canada raqbay ke lihaz se dunya ka dusra bara mulk hai ye bar-e-azam shumali amrica ke baray hisay par muheet hai.  Bahr e oqyanoos se lay kar bahr munjamid shumali tak pheela hua likh. Canada ki zameeni sarhadain America ke sath janoob aur shumal maghrib ki taraf se milti hain.

Bartanwi aur Farancici colony bannay se pehle Canada mein qadeem muqami log rehtay thay. Canada ne Bartania se batadreej azadi hasil ki. Ye amal 1867 se shuru hua aur 1982 mein mukamal hua.

cable car in canada
Canada Information In Urdu - Canada Ki Maloomat: Canada wafaqi aaini shahi aur parlimani jamhuriyat ka majmua hai aur 10 subon aur 3 riyasaton par mushtamil hai. Canada ko sarkari tor par 2 zubanon wali qaum kehte hain. English aur French language ko sarkari zubanon ka darja hasil hai. Canada  technology ke lihaz se taraqi yafta aur sanati qaum hai. Is ki economy ka zayada inhsar is ke qudrati wasail aur tijarat par hai.

Canada Ki Tareekh: Muqami tor par awaleen bashindon ki riwayat ye kehti hain ke woh yahan ke awaleen bashinday thay. Asar-e-qadeema ki tehqeeqat ke mutabiq shumali alaqay Youkon mein insani mojodgi 26,000 saal pehle thi aur janoobi alaqay Ontario mein 9500 saal pehle insani abadi ke asar milay. Jub behri qazaq yahan par 1000 eeswien mein abad hue tou European aqwam yahan pehli baar ayien. Is ke baad anay wale Europi yahan Canada ke sahil jo Beh oqyanoos ke kinare waqia thay ki meham joi ki gharz se aye.
Beautiful View of Canada At Night
1914 mein jub bartania ne pehli jang-e-azeem mein shamuliat ka elan kiya tou Canada khud jang mein shareek ho gya. Is ne  razakaron par mabni divisions bhejien takeh maghribi mahaz par qaumi difa kiya ja sakay. Halaktien itni barh gyi keh wazir-e-azam ko 1917 mein jabri fauji bharti ka hukam dena para.

Canada ke 100 saal mukamal hone par 1967 mein jang ke baad mukhtalif Europe countries se Immigration ka tanta bandh gya is se Canada ki jamhoori shakal tabdeel hoi. Is ke sath sath vietnam ki jang ke doran Amrica se jang ke baghi bhi canada ke mukhtalif hison mein akar abad hue. Barhti hoi Immigration, sharah paidaesh mein izafa aur mazboot mueshat ki wajah se 1960 ke anshray ke doran Canada ka shumar America ke barabar honay laga.

Government of Canada In Urdu: Canada mein Malika Elizabeth ke sath aaini badshahat ka nazam qaim hai jo yahan ke sarbarah mumlikat ka kaam sar anjam deti hain aur wafaqi tarz ki parlimani jamhooriyat ka nazam bhi hai aur is ki siasi rawayat bohat mazboot hain.

Canadian Law - Canada Ka Qanoon: Canada ki adliya qanoon ki wazahat mein aham kardar ada karti hai aur ain se mutsadim qawaneen ko khatam karne ki taqat bhi rakhti hai. Supreme Court of Canada yahan ki sub se bari adalat aur akhri faisla karne wali authority hai.

Canada Geography In Urdu: Canada bar-e-azam shumali America ke baray ghisay par mushtamil hai, janoob mein is ki sarhad America se milti hai aur shumal mein Amrici riyasat Alaska waqia hai. Mashriq mein behr munjamid shumali se lay kar maghrib mein behr al kahil gtak Canada pheela hua hai.

Canada Weather In Urdu: Canada ka mausam aur darja hararat jagah ke lihaz se bohat farq hai. Canada ke baz alaqon mein rozana ausat darja hararat -5 degree centigrade hota hai aur sakht tez hawa aur barfani thand ke baes -40 degree centigrade bhi hota hai.

Canada Population - Canada Ki Abadi: 2001 ki mardam shumari se pata chalta hai ke us waqt Canada mein koi 3 crore 7000 aur 94 (30,007,094) log abad thay is mulk mein abadi mein izafay ki wajah immigration hai aur kisi had tak qudarti sharah paidaesh bhi is ka sabab hai.

Canada Culture - Canada Ki Saqafat: Yahan ki saqafat europe ke mumalik se bohat mutasir hai aur waqt ke sath sath America ki saqafat bhi apna rang jama rahi hai.

Canada Ki Khubsurat Jagah: Yahan qudrat ki intihai pyare muqamat hain jinahin dekh kar jannat ka gumaan hota hai aur ye dunya ka woh mulk hai jahgan dunya ki sub se zayada jheelain dekhne ko milti hain.
logoblog

Thanks for reading Canada History In Urdu Canada Information Canada News In Urdu

No comments:

Post a Comment