Qarardad-e-Pakistan Essay In Urdu - 23 March 1940 ko Lahore ke Minto Park main All India Muslim League ke 3 roza
salana ijlas ke ikhtitam per wo tarekhi kararded manzur ki gai thi jis ki buniad per Muslim League ne barysagir main Muslmannon ke juda watan ke hasul ke liay tahreek shuro ki thi or 7 baras bad
apna mutalba manzur karany main kamyab rahi.
Add caption |
Bar-e-Sagheer main Bartanve raaj
ki taraf say iqtedar awam ko sonpny ke amal ke pehly marhaly main 1936/1937
main jo pehly aam intekhabat huay thay in main Muslim league ko buri taha se
bazahmat uthani pardi thi or is ke is daavy ko shadeed zek puhnchi thi ke wo
Barysagir ke musalmanon ki wahad
numaynda jamat hain is wajha se musalm league ki kyadat or kakunon ke
hosaly toot gay thay or in par aik ajab bybasi ka alam tha.
Congras ko Madaras, UP,CP
Bahar or ardyssa main wazyh aksariat hasel hui thi.Sarhad or Bombay main is ny
dusari jmaaton ke sath mil kar Sindh or asaam main bhi jahan musalman haavi
thay congras ko numaya kamyabi mili thi.
Punjab main albatta sir Fazal Husain ki Uninest party or
Bungaal main Molvi Fazal ul haq ki Puja Karish Party ko jeet hui thi. Gharz Hindustan k 11 subbon
mainsub se kisi aik subba main bhi muslim league ko iqtedar hasil na ho saka in
halaat main muslim league aisa maloom huta tha. Barysagir ke syassi dhaary se
allag huti ja rahi hai. Is duraan congress ny jo
pehli bar iktydar k nashy main kuch
zyada hi sarshar thi, aysy iqdamaat kiay jin se musalmanon ke dillon main
khadshaat or khatraat ne janam lyna suro
kar dia. masmlan congras ne Hindi ko
qomi zuban qarar dydia,gaaokashi par pabandi aayd ker di or congras ke tranggy
ko qomi pacham ki hysiat di.
Is surat main muslim leage
ki iqtidar se mehromi ke sath is ki qyadat main ye ihsaas pyda ho raha tha k
muslin league is bina per iqtydar se alagg kar di gai k wo aap ko muslmanon ki
numaynda jamat kehlati hai.yehi nuqta e aagaz tha muslim league ki qyadat main
2 juda qommon ke ehsas ki bydari ki.
Ijlas se 4 roz qabl Lahore
main Allama mashrqi ki khaksar jamat
ne pabandi tordty huay aik asskari
paraid ki thi jis ko rokny k liay police ne fairing ki. 35 ke karib khaksar janbhaq
huy .Is waqay ki vjha se Lahore main zabardast kashidgi thi or Punjab main
musim league ka ye ijlas na hony dayn ya is per hangama barpa karain. Moqa ki is nazakt k pesh e
nazar Quaid e Azam Muhammad Ali jinnah ne iftetahi ijlas se khitab kia jis main
unhon ne pehli bar kaha ke Hindustan main masla e firqa varana nuaiyt ka nahin
hai balke benuliqwami hai yani ye 2 qomon ka masla he. Unhon ne kaha k hinduon or Musalmanon main fraq itna barda or wazy he k aik murkazi hakumat ke tehat in ka
itehad khatrat se bharpur gho ga.
Doosray din unhon ne khatoot
per 23 March ko is zamany k Bengal ke wazeer e aala Molvi Fazal ul Haq ne karardad e Lahore pesh ki jis main kaha
gya tha ke us waqat tak koi aayni palain na to qabl e amal ho ga or na
musalmanon ko qabol ho ga jab tak aik doosary se mily huay jagrafiai yoonaton
ki judaganna ilaqon main haddbanddi na ho. karardad main kaha gya tha ke un ilaqon me jahan musalmannon ki adadi
aksariyt hai jese ke hidustan ke shemal maghrabi ilaqy , inhain yakja ker ke in
main aazad mumlekatain qaim ki jaeyn jin
main shamil uniton ko khudmukhtari or hakmiat e aala hasil ho.
Molvi Fazal ul Haq ki taraf
se pysh kerda is karardad ki taeed UP ke muslim leaguei rehnuma chuhdari
KHaleeq uz Zaman,Punjab se Molana Zafar Ali khan Sarhadd se Oragzaib ,Sindh se
sir Abdullah Hroon or Blochistan se Qazi Isaa ne ki Qarardad 23 March ko
ikhtetami ijlas main manzur ki gai.
April 1941 main Mudaris main
muslim league ke ijlas main kirardad e lahore ko jamat ke aain main shamil ker
lia gya or issi ki buniyad per Pakistan ki tehreek shuro hui lykin iss waqat bhi in ilaqon ki
wazy nashandehi nahi ki gai thi jin per mushtamil alyhda muslim mumlekaton ka
mutalba kia ja raha tha.
Qarardad e Lahore 1940 Mein Tarmeem: Pehli bar Pakistan ke liay
ilaqon ki nishandehi 7 April sun 1946 Dehli ki 3 roza convention main ki gai is
main markazi or subai asumblion ke
muslim leaguei arakeen ne shirkat ki thi. Is convention main Bartania se aany wali cabnnat mission ke wafad ke
samny muslim league ka mutalba pash kerny ke liay aik karardad munzoor ki gai
thi jis ka musavvda muslim league ki majlis e aama ke 2 arakeen chuhdari Khaliq
uz Zaman or Hasan Asfahani ne tayar kia tha .Is karardad main wazay toor oer
Pakistan main shamil kiay jany waly ilaqon ki nishandahi ki gai thi. shemaal
mashriq main Bungal or aasam or
shamaal mugrib main Punjab, Sarhad
,Sindh or Balochistaan.Taajjub ki baat hai ke is kerardad main Kushmir ka koi ziker nahi tha halanke shamaal mugrib main muslim aksariet
wala iilaqa tha or punjab se jurda huwa
tha.
Ye bat haddaym hai ke dehli
convention ki is qarardad main 2 mumlkaton ka ziker yakkser hazf ker dia gya
tha jo kirardad e Lahore main buhat wazey toor per tha is ki jaga Pakistan ki
wahad mumlikat ka mutalba pesh kia gya tha.
Qarardad Lahore Ke Musawada Ka Khaliq Kon Hai: Ghaliban bohat kam logon ko is ka ilm hai ke Qaradad-e-Lahore ka asal musawida Sir Sikandar Hayat Khan ne tayar kiya tha aur Quaid-e-Azam ne is musawida mein markazi hukumat ka zikar yaksar kat diya. Sir Sikander Hayat khan is
bat per sakht naraz thy or unhon ne 11 March 1947 ko Punjab ki assumbly main
saaf saaf kaha tha ke in ka Pakistan ka nazria Jinah sahib ke nazria se bilkul
mukhtalif hai. Un ka kehna tha ke wo
Hindustan main aik traf hindu raaj or dusri taraf muslim raaj
ki buniad per takseem ke sakht khilaaf hain aysi baqol in ke tabahkun
takseem ka datt ker mukabla karyn gy mager aysa na hua.
Sun 1946 ke convention main
Pakistan ke mutalbe ki kiradad Husain Shaheed Suherwardi ne pesh ki or UP ke
muslin league rehnuma Chuhdari Khaliq uz Zuman ne iss ki taeed ki thi .Kirardad
pesh kerny waly molvi Fazal ul Haq iss convention main shareek nahi huay quinke
unhain sun 1941 main Muslim league se kharij ker dia gya tha.
Delhi conention main Bungal
ke rehnuma Abu ul Hashim ne iss kirardad ki bherpoor mukalfet ki or ye daleel
pesh ki ke ye kiradad e Lahore ki kirardad se bilkuk makhtelif hai jo muslim
league ke aayn ka hissa hai. Inka kehna tha ke kirardad e lahore main wazay tor
per 2 mumlekton ke kyaam ka mutalba kia
gya tha. Lyhaza dehli convention ko muslim league ki iss buneyadi kirardad main tarmeem ka katai koi ikhteyar nahi hai.
Abu ul Hashim ke mutabiq
Quaid e Azam ne issi convention main or baad main Bombay main aik mulaqat main
ye wazaht ki gai thi ke iss waqat Barrysagir main 2 alagg alagg dustberdar saaz assumblion ke qyaam ki baat
ho rahi hai . Lehaza dehli convention ki kirardad main aik mumlikat ka ziker
kia gya hai.
Albatta iss waqat jab Pakistan ki dastoor saaz assumbly aayin
murattab kary gi to wo iss masaly ki hatmi saalis ho gi or is 2 alyhda
mumlekaton ke qyam ke fesaly ka pura ikhtyar ho ga lykin Pakistan ki dastoor
saaz assumbly ne na to Quaid e Azam ki Zinadgi main or na us waqat jab sun 1956
main mulk ka pehla aayin munzoor ho rha tha, bar-e-sagheer main musalmannon ki 2
aazad or khud mukhtar mumlekto k kyam per ghor ki. 25 saal ki syassi athel
pathel or kashmkash or sun 1971 main Bangladash ki jangh ki tabahi ke baad allbatta Barrysagir ki 2
aalag aalag mumlaktain ubhareen.
tags: qarardad-e-pakistan speech in urdu, importance of qarardad e pakistan in urdu
No comments:
Post a Comment