Arain Caste History In Urdu Arain Zaat Ki Tareekh Arain Information

  Lal Gulab      
Arain Caste History In Urdu: Arain aik zaat yani caste hai is zaat ke log Pakistan aur Bharat mein zayada paye jatay hain.

Arain History: Tarikhi Pas-e-Manzar: Arain zaat ke aba-o-ajdad Areehai Falasteeni Arab thay, jo 712 mein Darya-e-Urdan ke kinare abad shehar Areeha se hijrat ki. Areesha shehar ko Jericho city bhi kaha jata hai. Muhammad Bin Qaim ke sath bar-e-sagheer mein dakhil hone wali fauj ki tadad 12,000 thi jis mein 6,000 Areehai thay.

Areehai Se Arain: Sadiyon tak ghar arab alaqay mein rehne aur muqami abadiyon ke sath ghul mil janay ki wajah se Arab Areehai jahan apni Arabic zuban chhor kar ajmi ho gye wahan unhon ne bar-e-sagheer ki muqami zuban par bhi gehra asar chhora. Yehi wajah hai ke bar-e-sagheer ki zubanon mein bay shumar Arabic lafz shamil hotay chalay gye. Muqami logon ke liye Arabic ke harf Hay ka asal talafuz karna mushkil tha aur lafz Areehai waqt ke sath sath "Arai" phir "Arain" ban gya.

Aik dusre imkan ke mutabiq pehle Areehai lafz Alra'e se abdeel hua joArabic ka aik lafz hai jis ke meaning charwahay ke hain. Alra'e mein "Ray" harf shamshi hai, jub is se pehle "Alif Laam" lagta hai tou "Alif bola jaa hai aur "Laam" hazaf ho jata hai,youn "Alra'e" se Arai ho gya. Hujam harf "Ain" ki adaigi nahin kartay, is liye harf "Ain" harf "Hamza" ke sath tabdeel ho gya youn Arai se jama ki surat mein Arain ho gya.

Degar Riwayaat: Aik aur riwayat ke mutabiq Arain tehzeeb se taluq rakhte hain, jis ka pata harapa se chalta hai, jahan woh log 3000 qabal masih abad thay. Is ke ilawa aik aur riwayat bhi mojood hai ke ye log wust asia ki riyasaton se bar-e-sagheer aye thay.

Degar Riwayat Ki Tardeed: Zaeef riwayat ki tardeed mein aaj ki arain zaat ko mazi ke Areehai sabit karne wale kehte hain ke bar-e-sagheer mein basnay wale degar Musalmanon ke bar khilaf Araiyon ki 100% abadi Musalman hai. Agar aap arain caste se mutaliq sahi maloomat rakhte hain tou yahan comment mein zaroor share karain takay bohat se is site par anay wale log arain ki tareekh ko sahi tarah samajh payain.
logoblog

Thanks for reading Arain Caste History In Urdu Arain Zaat Ki Tareekh Arain Information

No comments:

Post a Comment