Basant Essay In Urdu Kite Flying Basant Festival Essay In Urdu Basant Panchami

  Lal Gulab      
Basant Essay In Urdu: Kite Flying Par Mazmoon Short Paragraph For Students In Urdu/Hindi:

Patang bazi lahore ki saqafat ka hamesha hi aik aham hisa rahi hai. Patang aur door banane wale bay misal karigaron ke ilawa paich laranay wale mahireen ke qisay aaj bhi lahoriyon se sunay ja saktay hain. Is shehar ke basiyon ne patang bazi ko is had tak apnaya ke basant lahore shehar ki aik pehchan ban gyi. Mazhabi rujhan rakhne walon ne basant ko hinduon ka tehwar keh kar is par pabandi lagane ki batain kien jis par aam log kaha kartay thay ke woh tou sirf tafreeh ke liye basant basant manatay hain aur  aur is mausami tehwar (basant festival) ko kisi mazhab se jorna darust nahin hai.  Sochne ke is andaz hi ka natija tha ke din ki basant ke sath sath lahore mein night basant jisat urdu mein basant ki raat kaha jata tha manai janay lagi.

Basant ki raat ka aghaz basant par pabandi lagne ke 10 - 12 saal pehle andron-e-lahore se hua jub chand chaton par naujawanon ne search lights laga kar raat ko safaid rang ki patangain urayien tou maloom hua ke raat ke waqt paich bhi laraye ja saktay hain. Is ke baad har saal gudi door walon ke sath sath bijli walon ka karobar bhi chamak utha aur basant ke dinon mein hazaron ki tadad mein choti bari search lights farokht hone lagien.

Waziha rahe ke khuch saal pehle lahore mein basant ki surat haal khuch is tarah hoti thi ke mulk ke mukhtalif hison se aur dunya ke mukhtalif mulkon se bhi itni zayada tadad mein log basant mein shirkat ke liye atay thay ke shehar ke tamam hotel mukamal tor par book ho jate thay. Bari tadad mein sifaratkar aur degar ghair mulki lahore ka rukh karte thay. Shehar ki tamam bari emaraaton par basant party ka ahtmam hota tha. Multi national companies bhi in chaton par bari bari parties aur night basant festival ka ahtimam karti thien. Is qadar ronaq hoti thi ke ghair mumalik se aye log night basant ke manazir dekh kar hairan reh jatay thay. Pura shehar raat ko jagta tha, music ki mehfilain, khana peena aur bokata search lights ki roshni mein raat bhar jari rehta tha.

Patang bazi yani kite flying karne walon ke sath sath patangien pakarne wale bhi is tehwar ka aham hisa hotay hain aur un mein khuch log dhat ki door aur chemical dor ka istemal kartay thay jis se bohat sa nuqsan hona shuru ho gya jis se bohat se log aur un ki zindagiyan us khatarnak dor se mutasir honay lagi thien aur yehi woh log thay jin ki wajah se basant ka tehwar khatam ho gya.
logoblog

Thanks for reading Basant Essay In Urdu Kite Flying Basant Festival Essay In Urdu Basant Panchami

No comments:

Post a Comment