Hockey Essay In Urdu Hockey Speech Paragraph on Hockey In Hindi

  Lal Gulab      
Hockey Essay In Urdu:

Samajhi zindagi ke aghaz hi mein insan ne raaz paliya tha ke sehat ke liye kheel zaroori hai. Kheel se ragbat insan ki fitrat bhi hai aur zaroorat bhi. Agarcheh har kheel ki tareekh alag hai lekin ye baat roz-e-roshan ki tarah ayan hai ke insan aur kheel ka sath hamesha se raha hai.

Hockey ka kheel kab aur kahan shuru hua? Is ke bare mein yaken ke sath kehna mushkil hai, albata hockey se milta julta khail char hazar sal pehle Faris mein khela jata tha, Faris Iran ka purana naam hai. Isi tarha dhai saal pehle Unan mein hockey kheeli jati thi.

Hockey ki tareekh ka dilchasp tareen waqt satarhwien (17) sadi ke ikhtatam aur atharwein (18) sadi ki ibtada se shuru hota hai, is daur mein bartania ka aghaz hua. 1875 mein bartania mein pehli hockey association bani. Pehle bartania mein is khail ki maqbuliyat mein izafa hua is ke baad holland mein isay maqbuliyat hasil hoi. Newzealand, Pakistan, hindustan mein isay pasand kiya gaya aur muqable shuru hue. 1908 mein hockey ko pehli bar olympic kheelon mein shamil kiya gaya. Pehla gold medal bartania ne jeta.

Pakistan ke wajood mein anay ke baad, 1948 mein pakistan hockey federation tashkel di gai. Aur iska international hockey federation se ilhaq hua usi saal Pakistan hockey team olympic mein shareek hui aur 4th position hasil ki.

9 september 1920, ka din Pakistan hockey ki tarikh ka aik yadgaar din tha olympic final mein Pakistan aur bharat aik dusre ke muqabil the akhir kar naseer bunda ne bharat ke khilaf goal kar diya. Ye wahid goal faisla kun sabit hua aur pakistan hockey team olympic champion ban gai.

Hockey ka maidan (55x100) meter do barabar hison mein taqseem hota hai. 35 - 35 minutes ke do doraniye half time hote hein aur adhe kheel ke baad 5 se 10 minute ka waqfa hota hai jo amuman kheel shuru hone se pehle tay kar liya jata hai. Hockey ki ball ka wazan kum az kum 152 aur zayda se zayada 123 gram hota hai. Hockey stick ka wazan 737 gram hota hai. aik team 12 players par  mushtamil hoti hai. Aik match mein dono teams ke giyara giyara khiladi hisa lete hein.

Mayar zindagi buland karne ke liye aaj ke insan ki masrufiyat barh gai hein aur wo khail se lataluk hota ja raha hai. Is tarah jismani warzish na hone ki wajah se blood pressure, sugar, dil ki bemariyan wagera barhte ja rahe hein. Insani jism ko kheel ki zarurat hai hockey nisbatan sasta kheel hai is liye is se istafada karna asan hai.

Khail insan ko esar sekhate hein, bardast ki quwat paida karte hein, khail zindgi mein nazam o zabat ka saliqah bhi ata karte hein. Agar hum in faidon ki ehmiyat ko aam kardain to hamara qaumi mazaj badal sakta hai. Har shooba zindagi mein logon ke andar tahamul, burdbari aur bardasht ka mada paida hojaye ga aur muwashirati zindagi par is ke musbat asrat muratab hon gey is liye hockey ko kheel ko mazeed barhanay ki zaroorat hai.
logoblog

Thanks for reading Hockey Essay In Urdu Hockey Speech Paragraph on Hockey In Hindi

No comments:

Post a Comment