Chiniot History In Urdu:
Chiniot darya ke kinaray waqia aik par aik khubsurat, historical aur saqafat ke lihaz se ameer shehar hai, kaha jata hai ke chiniot ka purana naam aik pandit ke naam par rakha gya tha, isay qadeem sodagaron ki basti bhi kaha jata hai, chiniot apni emaraton, apne hunar mandon aur karigaron ki mehnat ki wajah se puri dunya mein famous hai. Bahir se jo bhi is chiniot city mein aata hai is shehar ki buildings aur hunar mandi se mutasar hota hai. Chiniot ki shiekh baradri apne business aur maldari ki wajah se mashoor hai is baradri ne chiniot ke liye bohat se falahi kaam bhi kiye hain.
Chiniot Information In Urdu Chiniot Ki Maloomat
Chiniot Ki Tarikhi Masjid:
Wese tou shehar mein beshumar masajid hain magar yahan ki sub se purani masjid aisi hai ke us ki tameer mein muqami pathar ka istemal kiya gya hai jis ka rang surmai hai. Log is masjid mein shoq se aatay hain aur ibadat kartay hain aur is ke fun-e-tameer se bhi mehzooz hotay hain.
Historical Buildings In Chiniot City: Ki Tareekhi Imaratain:
Yahan ki emaratain intihai shohrat rakhti hain un mein se aik building Umar Hayat ka mehal hai is mehal ko 1930 mein 4 lack ki khateer raqam se tayar kiya gya tha. Wood work aur bricks ka kaam intihai khubsurat hai jo is mehal ke dar-o-deewar par nazar aata hai. Kafi umda aur dilkash kaam shayed hi kahin aur dekhne ko milta ho, is ki tameer mein sheesham ki lakri ko istemal kiya gya hai, fun-e-tameer ke hawalay se ye emarat hunar mandi ka aik azeem shahkar hai is imarat mein aik library bhi hai.
Furniture of Chinoit Wood:
Chiniot ki wajah shoshrat lakdi ka kaam hai, chiniot ka naam hi is mein banaye gye furniture ki khubsurati aur aala mayar ka zaman hai, is furniture ko sheesham ki lakdi se tayar kiya jata hai, dunya bhar mein is furniture ki bohat maang hone ki wajah se sheesham ki lakdi yahan mushkil se milti hai, Is furniture ke khareedar karigaron ke hunar ki mung mangi qeemat denay ko tayar hote hain kyoun ke unhain us mein ki gyi mehnat ka andaza hota hai. Government ki sarparasti nahin hai par phir bhi ye sanat taraqi kar rahi hai aur mulk ka zaremubadla barh raha hai.
Chinoit se 80 km ke distance par famous heer ranjha ki qabrain hain jahan woh aik hi qabar mein dafnaye gye thay log wahan rozana hazri detay aur duain karte hain.
No comments:
Post a Comment