Tabriz Bazaar Iran History In Urdu Hindi Bazaar e Tabriz

  Lal Gulab      
Aaj ka ye article dunya ke qadeem tareen bazaar ke bare mein hai. Tou aeye ye jannay ki koshish kartay hain keh ye dunya ka qadeem tareen bazaar kahan hai aur is ka naam kya hai.

Bazaar e Tabriz dunya ka sub se bara aur qadeem tareen musaqqaf bazaar hai. Aap soch rahe hon ge keh ye musaqqaf kya hai? darasal musaqqaf arbi zuban ka lafz hai jis ke mani hain aisi jagah jis par chhat dali gayi ho.

Ye bazaar bhi apne aap mein isi liye munfarid hai kyun keh ye mukammal tor par chhat se dhaka hua hai. Is bazaar ke naam se hi andaza ho jata hai keh ye hamare parosi mulk Iran ke tareekhi shehar Tabriz mein waqe hain. Bazaar e Tabriz ka shumar Iran ke aham tareen bazaron mein hota hai. Ye bazaar taqreeban 1 km muraba raqbay ke sath dunya ka qadeem tareen sar posheda bazaar mana jata hai.

Ye bazaar qab qaim hua is ka hatmi taeen karni tou mushkil hai lekin Islami adwar se pehle hi ain isi jagah is bazaar ki mojoodgi ke saboot miltay hain. Ye bazaar shahrah e resham par waqe aham tareen tijarati rasta hai. Mashoor saiyah Marko Polo jub shahrah resham se guzra tab us ne is bazaar ka zikar apne safar namay mein kiya.

Is bazaar ko asal shohrat solhwien sadi mein Iran mein Islami fatuhaat ke baad hasil hoi Ye bazaar itna bara hai keh is se kayi bazaar mutsil hain jin mein sarafah yani sonay, chandi ke zewrat ka bazaar, qaleen, joton, kapron, masalha jaat aur degar ghareelu istemal ki ashya ke alag alag bazaar yahan qaim hain.

Mashriq wusta ke degar bazaron ki tarah is bazaar mein bhi kayi masajid tameer ki gayi hain jin ka fan e tameer Irani ma'amari ka shahkar hai. Ye bazaar aham mazhabi tehwaron aur mawaqon ka markaz bhi samjha jata hai khas tor par youm e ashura par bare jaloos yahan se guzartay hain.
Muraham al haram mein tajaron aur dukandar apne karobar aur dukanain 10 din ke liye mukamal band kar detay hain. Ye bazaar Tabriz shehar aur shumal maghribi Iran ka muashi dil kehlata hai. Ye tareekhi bazaar apni qadamat, raqbay aur infaradiyat ki wajah se 2010 mein bain al aqwami idaray UNESCO ke aalmi wirsa ki fehrist mein shamil ho chuka hai.
logoblog

Thanks for reading Tabriz Bazaar Iran History In Urdu Hindi Bazaar e Tabriz

No comments:

Post a Comment