Koh Kaaf History In Urdu Information Koh Qaaf Story Koh e Kaaf Pictures Location

  Lal Gulab      
Koh Kaaf History In Urdu Information Koh Qaaf Story Reality Ye Kahan Hai? Koh Kaaf ka zikar to aap ne bachpan mein bohat si kahaniyon mein suna ho ga jaisay aik badshah ki beti mehal ki chhat par ghoom rahi hoti hai to aik jin us ko utha kar koh Qaaf mein qaid kar daita hai. Badshah mukhtalif mumalik ke shehzadon ko is meham par rawana karta hai ke jo meri shehzadi ko wapas laye ga main us ki shadi apni beti se kar doon ga. Tou aik naik dil shehzada bhi is meham par rawana hota hai us ki mulaqaat aik buzurag se hoti hai jo us ki naik dili ki wajah se us ko aik angothi deta hain jis ki badoolat woh foran koh e qaf par pohanch kar jin ko maar kar shehzadi ko azad karwa kar wapas us ke watan le aata hai is tarhan shehzadi ki shadi us shehzade se ho jati hai.
Is tarhan ki millti jalti kahaniyan aap ne zaroor parhi hon gi lekin shayed aap ko maloom na ho ke" koh Qaaf " asal mein hai kahan? Bohat se doston ki farmaesh par aaj aap ko main koh kaaf ke bare mein khuch dilchasp maloomat faraham karon ga.

Koh Qaaf jis ko koh qafqaz bhi kehte hain aur english mein isay Caucasus Mountains kehte hain. Bahera Aswed aur bahera Qazwin ke darmain khitta qafqaz ka aik pahari silsila hai jo asia aur Europe ko judda karta hai. kabhi is ka shumaar Russia mein hota tha lekin Russia ke totnay ke baad ab yeh hissa cheechniya mein shumaar hota hai. Koh Qaaf ke pahari silsilay ki buland tareen chouti mount el baroos hai jo 18 hazaar 506 foot yani 5 hazaar 642 meter buland hai. Ye wazeh nahi hai ke koh kaaf ka silsila europe mein hai ya asia mein is liye ke ye koh kaaf ka pahari silsila kaafi taweel hai jo ke taqreeban 1100 kilometer lamba aur 160 kilometer choora hai.

Koh e kaaf ke shumali daman mein waqe chechnya ki choti si jamhooria jis ka raqba 15000 murabba km hai aur abadi 10 Lack se bhi kam sadiyon se roos se nabard azma raha hai.

Koh kaaf ka ye poora ilaqa solhween sadi se Iran, saltanat usmaniya aur zaar roos ke darmain kashmakash aur markon ka markaz raha hai lekin chechnya ke awam ne apni azaadi ki jung ka aaghaz us waqt kiya jub 18th sadi ke aakhir mein georgia ne moscow ke sath ittehaad kiya aur chechnya aik taraf junoob mein georgia aur shumal mein roos ke ghairay mein agaya.

Qafqaz ka pahari silsila shumali qafqaz aur mawra‌ qafqaz mein taqseem hota hai. Shumali qafqaz Russia ki sarzamen hai jabkay mawra qafqaz mein khud mukhtar riasatain Georgea, Armenia aur Azerbhaijan waqe hain. Qafqaz ke pahari silsilay mein 5000 meter se zayada lambay chand pahar hain sub se ounchay pahar El Bros aur kazback hain. In pahoron ki barf ki safaid chadar mein lipti hui do do chotiyan hain. Darasal ye pahar murda aatish fishan hain pahoron ki shakal, dhalwanon par garam gasson ka ikhraj aatish fishanon ke guzray waqt mein phatnay ki yaad dilatey hain.

Shumali qafqaz ke halaat mousmi tor par motadil hain ounchay pahar garam janoobi hawaon ko wahan nahi anay dete jabkay yun thandhi shumali hawae is ilaqay tak nahin pohanchtien. Jaray mein shumali koh kaaf mein karakay ki sardi nahin parti aur garmiyon mein darya e kobaan ki wadi mein chawal jesi fasal ugane ke liye sazgaar halaat hain. Wahan se shumal ki taraf chawal aur kahin nahi agaya ja sakta.

Shumali koh kaaf mein bohat zayada glaciers mojood hain aur mausam bahar mein jub un ki barf pighalnay lagti hai to muqami darya pani se bhar jatay hain is liye is sokhey ilaqay mein pani ki qillat ka masla kabhi nahin hota

Shumali qafqaz ka sub se bara darya cobaan hai. Qafqaz sahet bakhash hawa ka aik zakheera hai aur is ke manazar ko behad haseen qarar diya jaye tou ghalat nahin ho ga.

Pakistan, hindustan aur iran mein koh kaaf ke mutaliq jinon aur pariyon ke be shumaar qissay mashhoor hain jo na sirf awam mein seenah bah seenah muntaqil hotay rahay hain balkay bachon ki kahaaniyon mein baqaida likhay ja rahe hain. ho sakta hai koh kaaf jinnat ka maskon ho lekin tasdeeq karna mushkil hai. baqi Allah hi behtar jaanta hai ke is mein kitni sachai hai.

Note: Agar aap koh kaaf ki video dekhna chahte hain tou hamari team ne is pur israr alaqay par aik zabardast documentary banai hai jo aap hamare youtube channel par ja kar dekh sakte hain is video ko ab tak hazaron log dekh chukay hain aur is ki tadad daily barh rahi hai aap bhi hamain wahan join kar sakte hain.
logoblog

Thanks for reading Koh Kaaf History In Urdu Information Koh Qaaf Story Koh e Kaaf Pictures Location

No comments:

Post a Comment