Jannat History In Urdu Information Jannat Ki Hoor Bagh Aur Jannat Ki Zindagi

  Lal Gulab      
Jannat History In Urdu Information Jannat Ki Hoor Bagh Aur Jannat Ki Zindagi - Jannat Essay In Urdu: Is article mein aap jaan sakain ge ke jannat aur hooron ke bare mein bohat sari information Is article ko pura parhain kyun ke jannat ki maloomat ke lihaz se ye intihai shandar article hai.
Aaj is article mein aap sub ko jannat ki tafseel dene ka maqsad ye hai keh aap ke dil mein is ke husool ka shoq paida ho aur aap ache amal karne ki koshish karain aur is fani dunya ko akhrat ki zindagi par tarjih na dain.

Jannat Kya Hai - Allah Ta'ala ne apne bandon ko un ke ache ache amaal ka apne fazal o karam se badla aur inaam dene ke liye akhrat mein jo shandar muqam tayar kar rakha hai us ka naam jannat hai.

Jannat mein har qisam ki rahat o shadmani aur khushi ka samaan mojood hai. Sonay, chandi, moti aur jawahirat ke lambe choray aur unchay unchay mehl bane hue hain aur jagah jagah reshmi kapron ke khubsurat o nafees kheemay lage hue hain. Har taraf tarah tarah ke lazeez aur dil pasand mewon ke ghanay, shadaab aur sayadar darakhton ke baghaat hain aur un baghon mein sheereen pani, nafees doodh, umdah shehad ki nehrain jari hain.

Tarah tarah ke behtareen khanay aur tarah tarah ke phal fruit saaf suthray aur chamakdar bartanon mein tayar rakhe hain. Aala darje ke rehsmi libas aur sitaron se barh kar chamakte aur jagmagatay hue sone, chandi aur mooti o jawahrat ke zewrat, unchay unchay takht, un par ghaleechay aur chandniyan bichi hoi aur masnadain lagi hoi hain. Aish o ishrat ke liye hoorain hain jo intihai haseen o khubsurat hain.

Jannat mein har qisam ki be shumar rahatain aur nematain tayar hain aur jannat ki har nemat itni benazir aur is qadar be misal hai keh hum jannat ki tamam nematon ka tasawar bhi nahin kar sakte.

Jannati log bila rok took un tamam nematon aur lazaton se lutf andooz hon ge aur un tamam nematon se barh kar jannat mein sub se barh kar ye nemat milay gi keh jannat mein jannatiyon ko Allah Ta'ala ka deedar naseeb ho ga. Jannat mein na neend aye gi na koi marz ho ga na burhapa aye ga na maut ho gi. Jannati hamesha hamesha jannat mein rahain ge aur hamesha tandrust aur jawan hi rahain ge.
Ahl e Jannat khoob khayain piyain ge magar un ko peshab pakhana ki hajat na ho gi na woh thukain ge na un ki naak bahe gi. Bas aik dikar aye gi aur mushk se zayada khushbudar paseena bahe ga aur khana peena hazam ho jaye ga.

Jannati har qisam ke fikron se azad aur ranj o gham ki zehmaton se mehfooz rahain ge. Hamesha har dam aur har qadam par shadmani aur musarat ki fizaon mein shad o abad rahain ge aur tarah tarah ki nematon aur tarah tarah ki lazaton se lutf andooz hote rahain ge.

Jannat Kahan Hai? Where Is Heaven In Urdu Jannat In Islam
Jannat satwien asman ke uper hai kyun keh aik Hadees mein aya hai keh "Jannat ki chat arsh par hai."

Jannatain Kitni Hain?
Jannaton ki tadad 8 hai jin ke naam ye haim
1: Darul Jalal
2: Darul Qarar
3: Darus Salam
4: Jannat Adan
5: Jannat ul Mawa
6: Jannat ul Khald
7: Jannat ul Firdous
8: Jannat ul Naeem
 
Jannat Ki Manzilain
Hadees Sharif mein hai keh "Jannat ke 100 darjay hain aur har 2 darjon ke darmiyan aik 100 bars ki rah hai."

Jannat Ke Phatak
Hadees Sharif mein hai keh jannat ke phatak itnay bare bare hain keh us ke donon bazuon ke darmiyan 40 bars ka rasta hai magar jub jannati jannat mein dakhil hone lagain ge tou un phatakon par hajoom ki kasrat se tangi mehsoos hone lage gi.

Jannat Ke Baghaat
Islami kitabon ka mutalia karne ke baad mujhe maloom hua keh momin jub jannat mein jaye ga 70,000 aise baghat dekhe ga keh har bagh mein 70000 darakht hon ge aur har darakht par 70000 patay hon ge aur har patay ki chorai mashriq se maghrib tak ke barabar ho gi.
Aur aik riwayat mein hai keh jannat ke tamam darakhton ke tanay sonay ke hain.

Jannat Ki Emaratain

Jannat ki emaraton mein aik eent sonay ki aur aik ent chandi ki hai aur is ka gaara nahayat hi khushbudar mashk hai aur is ki kankriyan mooti aur yaqoot hain aur is ki dhool zafran hai.

Aur ye bhi marwi hai keh baaz emaratain Noor ki aur baaz yaqoot ki aur baaz zamurd ki hain.

Jannat Ki Nehrain Aur Hoz e Kausar
Jannat mein sheereen pani, shehad, doodh aur sharab ki nehrain behti hain.
Jub jannati pani ki nehar mein se piyain ge tou unhain aisi hayat milay gi keh phir unhain maut na aye gi aur jub doodh ki nehar mein se nosh karain ge tou un ke badan mein aisi tawanai paida ho gi keh phir kabhi laghar na hon ge aur jub shehad ki nehar mein se pi lain ge tou unhain aisi sehat o tandrusti mil jaye gi keh phir kabhi woh bimar na hon ge aur jub sharab ki nehar mein se pilaye jayain ge tou unhain aisa nishat aur khushi ka saroor hasil ho ga keh phir kabhi woh ghamgheen na hon ge.
Ye charon nehrain aik hoz mein gir rahi hain jis ka naam hoz e kausar hai yehi hoz Nabi Pak SAWW ka woh hoz e Kausar hai jo abhi jannat ke andar hai lekin qayamat ke din medan e mehshar mein laya jaye ga jahan Nabi Pak SAWW us hoz se apni ummat ko serab farmayain ge.

Jannat Ke Chashme 
In charon nehron ke ilawa jannat mein dusre chashme bhi hain jo insan ki soch se bhi kahin zayada khubsurat hain.

Ahl e Jannat Ki Umrain
Har jannati khawah bachpan mein mara ho ya burha ho kar wafat payi ho hamesha jannat mein us ki umar 30 hi bars ki rahe gi is se zayada kabhi us ki umar nahin barhe gi. Aur woh hamesha hamesha isi tarah jawan rehte hue aram o rahat ki zindagi basar karta rahe ga.

Jannatiyon Ki Biwiyan Aur Khadim
Adna darjay ke janati ko 80000 khadim aur 72 biwiyan milein gi aur us ke liye moti aur yaqoot ka itna lamba chorra khema gara jaye ga jitna keh Jabia aur Sana'a ke 2 shehron ke darmiyan fasla hai.

Hooron Ka Jalsa Aur Gana
Jannat mein hooron ka jalsa ho ga jis mein hoorein Is mazmoon ka gana sunaein gi ke
"hum hamesha rehne waliyan hain to hum kabhi fanaa nah hon gi. Hum chain mein rehne waleyan hain to hum kabhi ghamgeen nahin hon gi. Hum khush honay waliyan hain tou hum kabhi naraaz nah hua karain gi. Mubarak baad hai un ke liye jo hamare liye hon aur hum un ke liye hon.

Jannat Ke Bazaar

Har jummay ke din jannat mein aik bazaar lagey ga ke us mein shumali hawa chalay gi jo jannatiyon ke chehron aur kapron par lage gi tou un ke husn o jamal mein nikhaar peda ho kar woh bohat zayada khubsoorat ho jaien ge aur jab woh bazaar se palat kar apne ghar jayen ge to un ke ghar wale kahain ge keh tum to Khuda ki qisam! husn o jamal mein bohat barh gaye ho. Tou yeh log kahin ge ke hamaray peechay tum logon ka husn o jamal bhi bohat barh gaya hai.

Jannat Mein Allah Ka Deedar
Nabi Pak SAWW ka irshad hai ke jab janati jannat mein daakhil ho jaien ge Khuda ka aik munaadi yeh elaan kare ga keh aay ahl e jannat! abhi tumhare liye Allah ka aik aur wada bhi hai tou ahl e jannat kahin ge ke Allah ne humaray cheharon ko roshan nahin kar diya hai! kya Allah ne hum ko jahannum se nijaat de kar jannat mein nahin daakhil kar diya hai? tou munadi jawab de ga keh kyun nahin! phir aik dam jannati log Allah ka deedar kar lain ge tou jannatiyon ko is se zayada jannat ki koi naimat payari na ho gi.

Aay Allah hamaray gunahon ko  maaf farma aur hamain jannat ki nematon se sarfaraz farma Aameen.
logoblog

Thanks for reading Jannat History In Urdu Information Jannat Ki Hoor Bagh Aur Jannat Ki Zindagi

1 comment: