Football History In Urdu Essay Football Information In Hindi Facts Soccer

  Lal Gulab      
Football History In Urdu Essay Football Information In Hindi Facts Soccer: Aaj ka article kheelon par hai jo football par hai is article mein aap football ki tarikh, hairat angez waqiat aur football ke bare mein dilchasp haqaiq ke bare mein parh sakain ge.
  1. Football 476 qabal az masih ke ird gird cheen mein shuru hua.
  2. Zameen par sub se zayada kheela aur dekha jane wala kheel football hai.
  3. Ye kitna mashoor kheel hai is ka andaza is baat se lagaya ja sakta hai keh taqreeban 1 arab se zayada log football world cup ko apne tv par dekhtay hain.
  4. Coca cola company ne Ronaldinho's ko aik news conference mein jub pepsi peetay hue dekha tou unhon ne Ronaldinho's se foran apna muahda khatam kar diya.
  5. Aik andaze ke mutabiq football ke khilari aik match mein taqreeban 9 km se zayada dortay hain.
  6. Basketball se dilchaspi rakhne wale log ye jaan kar hairan hon ge ke sub se pehla basketball ka match football se kheela gaya tha.
  7. Aqwam e mutehda ke itnay rukan mumalik nahin jitnay fifa ke hain.
  8. America aur Canada mein football ko soccer ke naam se jana jata hai.
  9. 1964 mein peru mein referee ke aik faislay se fasadat shuru ho gaye jis ki wajah se 300 log halak ho gaye thay.
  10. Ye pakistan ke liye aik aizaz ki baat hai keh dunya mein sub se zayada kheelay jane wale kheel ke 2014 ke world cup muqablon mein jo football istemal hua usay pakistan mein banaya gaya tha.
  11. Is ke world cup ke muqablon mein aik match mein sub se zayada goal karne ki tadad 10 hai jo hungary ne salvador ke khilaf 1982 mein kiye thay.
  12. Jub 1994 mein America mein is kheel (sport) ke world cup ke muqablay hue thay tab un muqablon ke liye amreeca ko 30 million dollar yani pakistani 3 arab rupay kharch karne paray thay jabkeh 2014 ke almi cup ke muqable jo ke brazil mein hue in ke liye brazil ko 11 billion dollar yani Pakistani 1100 arab rupon se zayada kharch karne paray thay.
  13. Aik German khilari jis ka naam mesut ozil tha usay jub world cup jeetnay ke baad 3 Lack pound ki inami raqam mili tou us ne ye sari raqam brazil mein 23 bachon ki surgeriyon ke liye donate kar di thi.
  14. 1967 mein nigeria mein civil war 2 din ke liye rok di gayi thi kyun ke donon taraf ke log football ke star khilari pele ko aik numaishi match mein kheelta hua dekhna chahte thay.
  15. Aik liverpool ka fan aisa tha jub us ki team 2005 mein champions league ka final haar rahi thi aur pehle half mein us ki team ke khilaf 3 goal ho chukay thay aur us ki team koi goal na kar saki thi tab us ne dil bardashta ho kar khud ko maar diya tha magar agle half mein us ki team ne come back karte hue bohat  acha kheel paish kiya aur woh match jeet liya.
  16. Football mein sub se tez raftar goal kheel shuru hone ke 2 seconds baad hua tha.
  17. 2004 mein Indonesia mein anay wale tsunami mein jo 7 saal ka bacha bach gaya tha us ki taleem ka sara kharcha football ke star khilari cristiano ronaldo ne uthaya tha par dilchasp baat ye hai ke wohi bacha bara ho kar khud football ka khilari ban gaya jisay purtgal ke aik bare football club ne 2015 mein apni taraf se kheelni ki dawat di thi.
  18. Jo log is kheel ko shoq se dekhtay hain woh football ke khilari ronaldinho ko bohat achi tarah jantay hon ge ronaldino ne 13 saal ki umer mein hi media ki tawaja hasil kar li thi jub unhon ne aik match mein 23 goal kiye thay aur puray match mein 23 goal hi hue thay.
  19. Aap ye jaan kar hairan hon ge ke football ke sub se kam umer professional khilari ki umer sirf 20 maheenay thi jub usay belgian club ne sign kiya tha.
  20. Jub aik referee ne kheel shuru karne ke liye seeti bajai tou aik khilari jis ka naam lee todd tha us ne intihai khaleez gali nikal di thi us ki is harkat mein tohfay ke tor par refree ne usay red card dikha kar kheel se bahir kar diya tha jis ke sath hi usay sub se kam waqt mein lal card hasil karna ka aizaz bhi hasil ho gaya usay kheel shuru hone ke sirf 2 seconds ke baad hi red card dikha kar kheel se bahir kar diya gaya tha.
logoblog

Thanks for reading Football History In Urdu Essay Football Information In Hindi Facts Soccer

No comments:

Post a Comment