Donald Trump History In Urdu Information Donald Trump Biography Hindi Thoughts

  Lal Gulab      
Donald Trump History In Urdu Information Donald Trump Biography Hindi Thoughts: Donald Trump Ki Zindagi Kamyabion Aur Nakamiyon Se Bhara Safar: Shareer talib ilm, behtareen khilari, kamyab TV maizban, businessman, musannif aur ab American president ki zindagi ke 70 saal ki kahani kamyabiyon aur nakamiyon se bhara aik taweel safar hai.

Trump 13 saal ke thay tou kamray se chaqu mila, un ke walid ko tashweesh hoi tou fauji school mein dakhil karwa diya. Donald John Trump school mein baseball team ke kamyaab captain rahay. 14 June 1946 ko paida honay walay trump ne 1971 mein walid se raqam lay kar New York mein hotel khareeda, 1982 mein manhattan mein 28 manzila trump tower tameer kiya.

Unhon ne 1987 mein kamyaab karoobari tajarbaat par mabni kitaab 'Art Of The Deal' likhi aur lakhoon dollars aur shohrat kamai, jis ka andaza is baat se lagaya ja sakta hai ke 1989 mein release honay wali film "Back To The Future 2" mein villain ka kirdaar trmup ko mad e nazar rakh kar takhleeq kiya gaya tha.

Paison ki rail pail hui to trump ne aik airline shuru kar di aur phir "Trump Princess" ke naam se bahri kashti khareed li. 1990 ki kasaad bazari ney un ke kaarobar ko nuqsaan pohanchaya aur un ke khuch idaray dewalia ho gaye, trump ne himmat nahin hari aur airline aur kashti baich di aur entertainment ki duniya mein qadam rakh diya.

Unhon ne miss universe ki franchise khareed li, nakamiyon par bhi kitaab likh daali aur is doosri book "Art Of The Come Back" se bhi khasa paisa kamaya. Sun 2000 mein The Apprentice ke naam se TV show shuru kiya jo intihai kamyab raha. Naujawanon ko karoobar ke gur sikhanay ke liye trump university bhi banai.

Trump ne 1987 se sayasi safar ka aaghaz republican party se kiya, 1999 taq isi jamaat ke sath rahay, 2001 se 2009 tak Democratic Party ke sath rahay jabkay 2012 mein aik baar phir republican party ka hissa ban gaye. Kamyabiyon se faida uthatay aur nakamiyon se lartay Donald Trump ab duniya ke sab se barray samjhay jany walay ohday aur is se jurey imthehaan tak ja pohanchay hain. Un ki life ne unhain bila shuba un ki zindagi ka ab tak ka sub se bara ohda diya hai.
logoblog

Thanks for reading Donald Trump History In Urdu Information Donald Trump Biography Hindi Thoughts

No comments:

Post a Comment