Vulture Information In Urdu Hindi Gidh History Vulture Facts In Hindi

  Lal Gulab      
Vulture Information In Urdu Hindi Gidh History Vulture Facts In Hindi - Aaj ke is article mein main aap ko gidh yani vulture ke bare mein dilchasp maloomat bataon ga. Meri koshish hoti hai ke main aap sub ke liye behtareen maloomati articles paish karon takeh aap ki maloomat mein mazeed izafa ho.

15 Facts About Vulture Bird In Urdu Gidh bird ke bare mein 15 dilchasp haqaiq ye hain.
  1. Is parinde ko urdu mein gidh kehte hain aur english mein is ka naam vulture hai. 
  2. Ye murda khor parinda hai jo buland parwaz bhi karta hai. 
  3. Gidh ko 2 groups mein taqseem kiya gaya hai aik group mein california ke gidh ko rakha gaya hai aur dusre group mein murdar khor gidh ko shamil kiya gaya hai jise old world vulture kehte hain. 
  4. Pehla group shumali aur janoobi amreeca mein paya jata hai jabkeh akhri group jise old world vulture kehte hain ye europe, africa aur asia ke mumalic mein paya jata hai. Ye hindustan ke sehrai aur pahari alaqon mein kasrat se paye jate hain. 
  5. Murdar khor gidh ki chonch moti, sakht aur samne muri hoi hoti hai. Chonch ke uper saans laine ke liye donon janib sorakh hote hain. 
  6. Murdar khor gidh ka sar bhi hota hai sar ke kisi qadar nechay ki janib donon taraf ankhain hoti hain jo 2 alag itraf mein dekhne mein madad deti hain. 
  7. Ye aik shikari parinda hai kaha jata hai keh ye amooman sehat mand janwaron par hamla ya shikar nahin karte balkeh bimar aur laghar janwaron ko apna shikar banate hain. 
  8. Gidh ke par jise hindi mein pankh kehte hain ye bare hote hain jo bulandi se utarne mein madad karte hain. 
  9. In mein soonghne ki salahiyat bohat tez hoti hai. 
  10. Ye group ki shakal mein ghaza khatay hain jub kisi janwar ki lash dikhai deti hai tab gidh ka jhund wahan utar parta hai. 
  11. Ye aik aisa parinda hai jo mare hue janwar ke androoni aaza jese jigar aur dil bhi shoq se khata hai. 
  12. Is parinde ko bulandi par mare hue janwar ki bu pohanch jati hai jo keh is ke soonghne ki aik behtareen salahiyat hai. 
  13. Jub gidh ghaza kha laita hai tou ise hazam karne ke liye so jata hai. 
  14. Gidh ko safai karne wala parinda kaha jata hai yani jangalon mein murda janwaron ko ye parinde thori dair mein hi kha jate hain. 
  15. Gidh ki nasal ab khatam hoti ja rahi hai in parindon ki baqa ke liye mehkma janglat ko koshishain karni chahiyain.
logoblog

Thanks for reading Vulture Information In Urdu Hindi Gidh History Vulture Facts In Hindi

No comments:

Post a Comment