How To Start Honey Bee Farming Pakistan Urdu Shehad Ka Business Karne Ka Tarika Hindi

  Lal Gulab      
Shehad Ki Makhiyan Palna Aik Shoq Aur Barhti Hoi Ghareelu Sanat Kari

How To Start Honey Bee Farming In Pakistan In Urdu - Shehad Ka Business Kaise Shuru Karain In Hindi Honey Bee Business In India Madhumakhi Palan

Business Honey Beekeeping In Pakistan: Aaj kal honey bees palna aik ghareelu sanat ban chuka hai aur log shehad ki makhi ka karobar bari tadad mein shuru kar chukay hain. Dunya ke baishtar mumalik mein honey bees pali jati hain aur in se shehad hasil kiya jata hai. Inhain palnay ke liye aik lakri ka box istemal kiya jata hai. Ye box tamam atraf se band hota hai magar samne se makhiyon ki aamad o raft ke liye is mein aik darwaza hota hai jisay hasb hazoorat khola aur band kiya ja sakta hai. Aik box mein 10 tak chokhtay hotay hain inhain english mein beehive frame ya wax frame for bees kehte hain. Har chokhtay mein 4 - 4 jasti taar lage hote hain. Jin par bunyadi chokhta lagaya jata hai. Makhiyan is bunyadi chatay par moom ki khanay banati hain aur in khanon mein shehad aur phool ka ras jama karti hain. Chaton wala box kisi bagh mein rakhna chahiye takay karkun makhiyan asani se phoolon ka ras chos sakain.

Ye box darakhton ki shakhon mein rakh diya jaye tou aur behtar hai isay aisi jagah par rakhna chahiye jahan logon ki amad o raft na ho aur roshni ka bhi munasib intezam ho. Ye baat bhi malhooz khatir rakhni chahiye makhiyan mausam bahar mein honey banana pasand karti hain lihaza agar ghareelu sanat ke tor par makhiyan pali jayain tou mausam bahar mein kaam ka aghaz kiya jaye. Pakistan mein honey bee ka business bohat tezi se taraqi kar raha hai jis se shehad ki makhi ki paidawar mein har saal izafa ho raha hai. Ye sanat sarhad se shuru hoi thi aur aaj kal punjab mein bhi ye shehad ke karobar ka shoq barhta ja raha hai ye business sirf 40,000 rupee se shuru kiya ja sakta hai aur shayed ye aaj ke mehngai ke zamane mein aik sasta karobar hai.

Is waqt Pakistan aur india mein khalis shehad ki bari maqdar maujood hai ye makhiyan bari makhi se thori choti aur choti makhi se size mein thori bari hoti hain aur ye aam tor par Australia se mangwatay hain. Chunkeh makhiyan palnay ka amal zarat (agriculture) ke zumray mein aata hai is liye is par koi tax nahin hai. Aik makhi puri zindagi mein chai ke chamach ke barabar shehad banati hai aur aik box mein 12000 makhiyan ghoti hain aur aik malka bhi hoti hai jisay queen kehtay hain. Ye  box truck par rakh kar un places par lay jatay hain jahan zayada phoolon ka mausam hota hai aur jub wahan phool khatam hote hain tou nayi jagah par jatay hain agar aap ke paas bara garden hai jahan bohat zayada phool lage hue hain tou aap in box jinhain honey beehives kehte hain ko apne garden mein phoolon ke paas bhi rakh saktay hain. Box mein 10 frame hote hain aur aam tor par makhiyon ka karobar karne wale 150 se zayada box banate hain jo taqreeban 600 rupee ka aik banta hai.

Har box mein aik queen hoti hai jo aik minute mein 6 eggs deti hai aur aam tor par un mein se 20 din mein bache nikal atay hain. Malka ke jism se aik khas khushbu nikalti hai jis se karkun makhiyon ko pata chalta hai keh malka un ke sath hai. Agar malka makhi mar jaye tou chatay ka sara nazam khatam ho jata hai ye makhiyan 4 se 6 haftay tak zinda rehti hain aur agar koi makhi box ke andar hi mar jaye tou dusri makhiyan us ko utha kar khud hi bahir phenk deti hain box ki safai makhiyan khud karti hain is liye box andar se bohat saaf suthra rehta hai. Shehar ke khalis hone ka pata chalana mushkil hai hata keh laboratory mein bhi is ke khalis hone ka theek se pata nahin chal pata kyun ke is ka ph scale bohat zayada hota hai.

Honey bees mein disease bhi payi jati hain kuch bimariyan medicines se control ki ja sakti hain lekin kuch dawa se bhi control nahin hoti. Is ka aik hi hal hai ke box ko makhiyon samait jala diya jaye warna ye bimari dusre box mein pheel jane ka khatra hota hai makhiyan palnay wale makhiyon ki harkat o saknaat se is bimari ka pata chala sakte hain. Ye honey banane ke ilawa fruits aur flowers ki paidawar barhane mein bhi muawan hain. Mahireen ke mutabiq agar shehad ki makhiyan na hon tou phal aur phool ki paidawar mein 30% se 40% tak kami aa jaye. Aik box mein amooman 25 se 30 kilo honey hota hai aur 15 april se 30 may shehad ke liye bohat best season hai jis mein sub se zayada shehad ki maqdar hasil hot hai.

Makhiyon Ki Kamal Mehnat
Honey makhiyon ke chatay ka darasal ruh afza hai jo khushbu aur khoon ki maqdar zayada paida karne wali nayab cheezon ka mashroob hai aik andazay ke mutabiq 1 kg honey ikatha karne ke liye 62000 fruits ka ras makhiyon ko choosna parta hai aur in makhiyon ko aik pound shehad ki khatir 37000 baar jana parta hai aik chatay mein 75000 makhiyan kaam karti hain lihaza ye honey 75000 makhiyon ki kayi maheenon ki mehnat ka ras hai. Aik tehqeeq ke mutabiq aik chamach ke liye 2000 phoolon ka ras choosa jata hai aur aik season mein 100 pound shehad ke liye makhiyon ko 50000 meel ki musafat tay karni parti hai yani woh puri dunya ka 2 baar chakar lagati hain. Hairani ki baat ye hai keh ye aik martaba ki musafat mein nisf rati ka zayada se zayada 8th hisa phoolon ka ras choos sakti hai.

Allah Ta'ala ki qudrat hai ye keh shehad ki makhiyan phoolon ke ras ki talash mein rozana 3 meel (3 se 5 km) aur baaz auqat 10 meel ka fasla tay karti hain lekin chatay par wapsi par kabhi rasta nahin bhooltein.

Honey business ke bare mein maloomat aap ko hasil ho chuki hain is ke mutaliq apni raye zaroor dain aur agar aap ye karobar pehle se kar rahe hain tou apna experience zaroor likhain takay bohat se log is tehreer se faida utha sakain.
logoblog

Thanks for reading How To Start Honey Bee Farming Pakistan Urdu Shehad Ka Business Karne Ka Tarika Hindi

No comments:

Post a Comment