Friendship Rules In Urdu Dosti Tips In Hindi Dosti Nibhane Ke Tarike Kya Hai

  Lal Gulab      
Friendship Rules In Urdu Dosti Karne Ke Chand Aham Asool Dosti Nibhane Ka Tarika:

Friendship Tips In Urdu: Zindagi ka behtareen sarmaya acha dost hai, dosti ki wazahat bohat mushkil hai dosti karna aur dosti nibhana aap kisi school mein nahi seekhtay hain lekin ye baat sach hai ke agar aap ke paas acha dost nahi to kuch bhi nahin aap apne woh dukh dard jo kisi se bhi nahi keh satke woh apne dost se keh satke hain achay dost ki zaroorat zindagi ke har morr par hoti hai khas tor par jab aap akailey aur kisi baat se pareshan hon to woh sirf dost hi hota hai jo is duniya mein aap ki madad ke liye chala aata hai. Acha dost aap ki nakami par ghamgheen aur aap ki kamyabi par dil se masroor hota hai. Khwahisaat insaan ko mutharrak rakhti hain aur un khwahisaat ki takmeel mein dost aap ka sath deta hai jis tarah achay dost hona be hadd zaroori hai isi terhan buray logon ki dosti se bachna bhi itna hi zaroori hai. Kyun kay dost aap ki zindagi aur kirdaar par assar andaaz hotay hain aur aap ka taaruf ban jatay hain.

Kisi Ki Taraf Dosti Ka Haath Berhate Hue Mandarja Zail Baton Ka Khayaal Rakhen:

Dost Woh Jo Sukoon Ka Baais Ho
Acha dost aap ke liye sukoon ka baais hota hai aap us kay sath waqt guzaar kar pur sakoon mehsoos karte hain apni saari pareshaaniya bhula dete hain mojooda daur mein jab log zehni pareshaniyon mein ulajh kar reh gaye hain aisay mein aik behtareen dost aap ke liye thandhi chaon ki manind hota hai aisay log jo aap ki pareshaniyon mein mazeed izafah kar dein kabhi achay dost nahin ho saktay.

Aitmad Ka Rishta
Hum baaz auqaat doston se woh baat bhi keh dete hain jo kisi aur se nahi keh satke aik acha dost acha raaz daar bhi hota hai aisay shakhs se dosti karen jis se aap apni zindagi ke paicheeda se paicheeda mamlaat par bhi ba'asani guftagu kar saken apni woh pareshaniyan jo aap apne ghar walon ko nahi bata sakte woh aap apne dost ko bata kar us se mahswara le satke hain agar aap ka dost acha hoga to woh aap ko achi nasihat kere ga.

Dosti Be Gharz Hoti Hai
Jab hum kisi se rishta jortey hain to us mein koi na koi wajah zaroor hoti hai baad mein wajah khatam honay par sirf rishta baqi reh jata hai jabkay dosti be gharz hoti hai acha dost duniya ki behtareen doulat mein se hai jo kisi zaati mafaad ke baghair aap ke sath hota hai.

Dukh Dard Ka Saathi
Kehte hain sachhi dosti ka pata mushkil waqt par hi chalta hai acha dost aap ke har achay aur buray waqt mein aap ke sath rehta hai woh aap ka sath mushkil halaat mein nahin chhorta baaz auqaat aap ke apne aap ke mushkil waqt mein sath nahi detay hain lekin agar aap achay dost ki naimat se malamaal hain to yaqeenan aap tanha nahi hotay.

Anaa Aur Zid Ki Jung Chorr Dain
Baaz auqaat behtareen taluqaat bhi mushkil se dochar ho jatay hain zid paicheedgi peda karti hai apne taluqaat ki behtari ke liye aap ko zid aur anaa jaisi buri aadaton ko chhorna chahiye taakay aap apne behtareen dost ko kho na dain kyun ke acha dost heere ki manind hai agar heera toot jaye to usay phir se asal shakal mein lana mumkin nahi hota agar aap acha friend rakhtay hain to un ki qadar karein kyun kay agar dosti ke rishte mein darar aa jaye to usay dor nahin kiya ja sakta hai.
logoblog

Thanks for reading Friendship Rules In Urdu Dosti Tips In Hindi Dosti Nibhane Ke Tarike Kya Hai

No comments:

Post a Comment