Farmar Essay In Urdu Kisan Ki Zindagi Life Of Farmer Hindi Nibandh

  Lal Gulab      
Kisan Ki Zindagi Kisan Par Mazmoon Kisam Ka Jeevan Nibandh In Hindi
Farmer Essay In Urdu: Kisan nihayat hi mehnati, saada ruh, pur khaloos aur dil ka saaf aur sacha insan hota hai kisi shehri business man ki nisbat aik gaon ke kisaan ki zindagi nihayat kathin, dushwaar, sakht aur masroof tareen zindagi hoti hai kyun ke shehar mein jab insan mazay ki neend soo raha hota hai to us waqt gaon ka kisan apne kheeton mein poori lagan ke sath kaam kar raha hota hai jo ke subah saweray se le kar shaam suraj ke dhalnay tak apna kaam karta rehta hai aur isi doraan us ke ghar ka koi fard khaiton mein hi us ka khana lata hai.

Kisanon ki zindagi mein chhutti naam ki koi cheez nahi hoti dhoop ho ya barish, sardi ho ya garmi, ye poori mehnat ke sath apne kaam mein laga rehta hai. Science ke is jadeed daur ney kisanon ka kaam bhi kuch aasaan kar diya hai jaisay aaj kal faslon ko mutasir karne walay keeron aur jari bootion se bachao ke liye spray kiya jata hai, bailon ki bajaye tracktor istemaal kiya jata hai lekin aik ghareeb kisaan in sab ka kharcha nahin bardasht kar sakta aur woh science ke is jadeed daur mein bhi apne hathon se sara kaam karta hai jaisay ke faslon par spray karne ke bajaye lakri aur lohay ke banay auzaron se kaam karta hai.

Mere khayal se shehri fard halki si sardi mein bhi thanday pani ko haath tak lagana gawara nahin samajhta jab ke gaon ka kisan sakht sardi mein sari sari raat thanday pani mein kharray ho kar apni faslon ko seerab karta hai aur sakht se sakht dhoop mein bhi woh apne khaiton mein kaam karta rehta hai par afsoos ki baat yeh hai ke itni sab mehnat ke bawajood kayi baar kisanon ko unki mehnat ka phal nahi mil pata.

Faslon ko apni mehnat ke sath sath waqt par khaas miqdaar mein pani ki bhi zaroorat hoti hai aur barani aaqon ka dar-o-madar barish ke pani par hota hai. Waqt par barish ho jaye to theek warna saari fasal khatam ho jati hai ya phir ziada barishon ki wajah se bhi selaab aa jatay hain aur barani alaqon ke sath zeeren alaqay bhi selaab ki lapait mein aajate hain jis ke nateejay mein us alaqay ki tamam faslein tabah o barbaad ho jati hain aur is ke sath hi kisan ki mehnat par bhi pani phir jata hai aisay halaat mein kisaan kere to kya kere? lekin in sab halaat ko bhi woh Allah Pak ki azmaish samjhta hai aur Usi Zaat-e-Pak par yaqeen rakhtay hue woh phir waqt anay par fasalon ka kaam shuru karta hai ke Wohi Zaat is baar zaroor usay us ki mehnat ka phal day gi.
logoblog

Thanks for reading Farmar Essay In Urdu Kisan Ki Zindagi Life Of Farmer Hindi Nibandh

No comments:

Post a Comment