2 Weeks Pregnant Urdu 2 Week Pregnancy Hindi Hamal Ka Dusra Hafta

  Lal Gulab      
Pregnancy Week 2 In Urdu Hamal Ka Dusra Hafta (Second Week)
2 Weeks Pregnant In Hindi Details

Aap Ke Sath Kya Ho Raha Hai?
Asal mein aap abhi tak haamla nahin hein is liye pehle 2 hafton me hamal ke aasar nahin hon ge. Wese apne hamal ke aaghaaz ki tareekh apni pichli mahwari ke pehle din se maloom karna ziada aasan hai banisbat apni darust hamal ke din se maloom karna. Doosra hafta aap ke bachay ki zindagi ke doosre hafte se ziada aap ke hamal ke doosre hafte ki nishaan dahi karta he. Darasal doosre haftey ke shuru mein aap ka beeza abi pukhta ho raha hota hai aur ye beeza haftey ke aakhir mein khaarij hota he (yani aap ki agli mahwari se 2 haftey pehle) Taham beeza rezi isi haftey waqya ho gi or aap wesi alamaat jo pichle maheeney beeza rezi ke doraan mehsoos kien ab bhi mehsoos karain gi.

Pregnancy Ke 2nd Week Aap Ke  Bache Ke Sath Kya Ho Raha Hai?

Tibbi wajoohaat ki bina par aap ka doctor iss ko ap ke hamal ka doosra hafta shumaar kare ga, ye aap ke bache ka aap ke jism ka hissa honey ka aakhri hafta he, agle hafte isi waqt par aap ka beeza baar aawar ho jaye ga aur aap ke andar aik nayi zindagi ki shuruwaat ho jaye gi. Aik nanha sa bacha jo is marhale par embryo kehlata he aap ke andar agle 38 hafon ke liye nimo paye ga, apni khoorak le ga or phaley phooley ga.

Pregnancy Ke Dusre Haftay Kya Karna Zaroori Hai?

Iss  ki bajaye ke aap aik doctor muntakhib karein jo sare hamal mein aap ke sath rahe aap ke liye is se ziada zaroori hai ke aap apni zindagi ke tor atwaar, khoorak or aadaat behtar karain. Cigarette noshi chorr dein, alcohol sharaab band kar dain, caffeine ka istamaal tark kar dain aur apni rozana ki khooraak mein 300 calories izaafi shaamil karna shuru kar dain. Yaad rakhain ke aap ki izaafi miqdaar mein calories ka istamal maani rakhta hai. Phal sabziaan, kam chiknayi mein doodh or doodh se bani ashiya or mukammal anaaj ka istemal aur aap ki mehnat ko muawza bakhshe ga aur aap ke hamal ki ghazayat ke liye zaroori hai. Sehet mand pakwaan ki tarkeeb wali kitabon par khuch raqam kharch karain or apni kitchen ki ashya e khoord o nosh mein izafa karain khuch taazi jarri bootion aur masalon ko istemal mein laane ka tajurba karen ta keh bohat ziada namak aur chiknayi ko istamal kiye baghair bhi khanon ko khush zaiqa banaya ja sake (magar apne mualij ki hidayat k mutaabiq). Is ke ilawa munasib tareeqe se sehet mand khooraak un tamaam naa khushgawaar alaamat se larne mein madad kare gi jo amooman hamal k doraan waqya hoti hein jese ke subha ke waqt matli ka ehsaas, khuch ghair sehat mand cheezon ko khaney ki khwahish or thakawat waghera.

Bunyadi Tibbi Zaroorat

Qabal az pedayesh ehtyaat sab se ziada ehmiyat ki haamil hai, aur is waqt mein aap ka muaalij sab se ziada ehmiyat rakhta hai agarche haamla hona aap ke liye sab se ziada ehmiyat ka haamil hai lekin ye ziada behter hai ke haamla hone se pehle apne liye behtareen mualijdoctor ka intakhaab karain jo aap ki sahi tarha rehnumayi kare. Jab baat tibbi illaj ki ho to ye is lehaaz se bhi zaroori ho jata hai ke aap ke hamal ki soorat e haal kya hai aur hamal mein kitne khatraat or khadshaat mojood hein. Agar aesa hai tou aap ko hamal mein paicheeda soorat e haal ki kisi mahir doctor jo gynae ka specialist ho se rabta karain. Khuch khawateen jin ko hamal mein  kabhi paicheeda halaat ka saamna nahin hua wo un nurses jo kisi idaare se tarbiyat yaafta sanad yaafta hon ya midwife jin ko aam tor par daayee kaha jata hai un ke paas jane aur aaraam deh mahol mein mashwara lene ko ziada tasalli bakhsh samajhti hein. Jab k kuch sirf apne khaandaani muaalij par hi bharosa karti hein or hamal ke shuru se le kar bache ki pedayesh tak hospital mein ilaj karwana behter samajhti hein. Shuru mein hidayaat lene ke liye sab se behter aap ke qareebi tibbi haqe  mein ja ke kisi mualij se rabta karna he jo naye mareezon ka muayeena kar raha ho.

Aap Ke Saathi Ke Liye Tajaweez (Tips)

Aap ke liye bator e waldain seekhne ke liye bohat khuch hai lekin agar aap is ke liye waqt nikalein. Jo bhi halaat aap ke saamne hein un sab ka saamna karne ki koshish karain. Aik aurat jo ke purjosh aur thorri ghabrayee hui bhi hoti hai usey aap ki tawajjo or pyar ki zaroorat hai. Ye aap ki zindagi main masbat tabdeeli aur mukammal naye halaat lane ka aik aham moqa hai. Hamdardi aur baar baar tasalli dena abhi aur agley chand haftey aap ki aham khidmaat mein se hein. Aur agar aap qudarti tor par haamla hone ki koshish kar rahi hein to isi haftey aap ke soney ke kamre ke halaat bhi khush gawaar hona zaroori hein.

Pregnancy Ke 2nd Week Ke Bare Mein Puche Jane Wale Sawalat (Questions About 2nd Week Of Pregnancy)

  • Hamal ke liye karaye gaye test kis waqt behtareen nataij de sakte hain?
2 haftey ke hamal mein test karana khuch ziada qabal az waqt ho ga lehaza hamal ke yaqeeni natayej zahir karne wali hamal test ki kit jise english mein pregnancy kit kehte hain hamal shuru hone ke 10 din baad hatmi natayej zahir karti hein taham pregnancy shuru hone ke baad jese jese waqt guzarta jaye or jism hormone jo ke human chorionic gonadotropin he ki ziada miqdaar peda karta heai jo ke hamal ki darust natayej aap ke ghar par bhi de sakta hai. Is liye agar aap ne hamal ke liye test karane ka irada kar liya hai tou agli maahwaari (next menses) aane tak test ke nataij se bad dil na hon kyoun keh ghalat nataij aana naamumkin nahi. Agar aap aik haftey baad test karayain tou aap mukhtalif natayej bhi hasil kar saktey hein.

  • Ye kese maloom kiya ja sakta he k beeza rezi ke din qareeb hein?
Hamal ke liye in dinon ki maloomat rakhna intihai zaroori hai is bare mein aik alehda tehreer likhi gayi hai jo ye hai beeza rezi ke din.

  • Mujhe Dayi ya Mualij me se kis ka intikhaab karna chahiye?
Is baat ka faisla karna ke bache ki pedaish kahan honi chahiye, sahi tibbi imdaad lene ke liye pehla qadam hai. Bache ki pedaish ke mahireen ka intakhaab karain jo aap ke paas agle 9 maheeney madad ke liye mojood rahain. Sab se pehle is baat ka aap khud faisla karain ke aap apna qabu kis had tak khone ke liye tayar hain agar aap kisi dayi ya midwife ko apni delivery aur bache ki paidaesh ka amal somp deti hain aur kisi kisam ka nuqsan ho jaye tou? Agar aap mehfooz wiladat ka amal chahti hain tou kisi mahir mualij ko talash karain.


Agar aap kisi tibbi mahir se madad lena chahain tou us se interview ke liye aik fehrist tayar karain kisi dayee ya  mualij se interview aik aham marhala hai... ye is liye bhi zaroori hai ke aap apni shakhsiyat ke mutabiq ye dekh lein ke mualij aap ko mutmayeen karne mein kamyab hua ya nahin. Ye behter hai ke aap un se ziada sawalat karen  ta keh achi tarha se li gayi maloomaat se aap ko faisla karne mein asani ho gi.

Madadgar Mashwara - Pregnancy Week 2 Tips In Urdu

Kya aap ko pata hai ke 20 mein se sirf 1 khatoon pedayesh ke liye di gyi tareekh par bacha peda karti he. Agar aap apne zehen mein rakhi tareekh par bache ki wiladat na kar saken to aap pareshan ho sakti hein. In wajoohaat ki bina par kuch mahireen tareekh ki bajaye matawaqqo hafte ki nishan dahi karte hein. Jo iss qisam ki pareshaniyon se bachne ka ehem rasta hein. Beherhaal har soorat me apne aap ko kisi khas tareekh me hone wali wiladat ki umeed se baaz rakhein aur ye jaan lein ke bacha apne hisaab se apne waqt ke mutabiq paida ho ga naa ke aap ke doctor ke.
  • 2 weeks pregnancy symptoms in hindi
  • pregnancy symptoms at 2 weeks in urdu
All Pregnancy Weeks         Previous Week Next Week (TEEN)
logoblog

Thanks for reading 2 Weeks Pregnant Urdu 2 Week Pregnancy Hindi Hamal Ka Dusra Hafta

1 comment:

  1. Mujhe alamat hain pregnancy ki sare par test positive ni aya kyun ky mere preiouds date nahi aye kal 4 week pure hojainga...par lazmi hain preiouds date se phly na ata ho positve kiya date se phly altrasun main ajainga

    ReplyDelete