Young Generation Urdu Essay Aaj Ka Nojawan Iqbal Ka Naujawan Speech

  Lal Gulab      
Importance Of Today's Young Generation Essay In Urdu
Speech Aaj Ka Nojawan Kahan Khara Hai? Aaj Kay Jawan Essay In Urdu Iqbal Ka Nojawan
Aaj kal har naujawan ka sarwarq is qadar dard naak hai kitab kholne se pehle hi dil dolne lagta hai. Pakistan ki nojawan nasal 3 hison mein taqseem hai. Khuch ke hathon mein....... guitar, khuch ke hathon mein.... hathyar

baqi hathyar aur guitar ke dorahe par khare berozgar, har chehra apni bebasi ka amli namoona paish kar raha hai amli salahiyat se mustafeed  hone wala naujawan tabqa bhi rozgar na milne ke sabab mali mushkilat se dochar hai aur un naujawanon ne mushkilat se nimatnay ke liye apni soch ka dhara tabdeel kar liya takeh pait ki aag ko bhujaya ja sake. Naujawan nasal ne manshiyat aur smuggling ka dhanda ikhtyar kiya aur zilat ka rasta apna kar mann ki aag ko bhujana chaha.

Dil Aaj Phir Koye Malamat Jo Jaye Hai
Pandaar Ka Sanam Kda Weran Kiye Hue
 
Ye jaeza chand parhne likhe nojawanon ka hai ab is tabqay ke baraks in naujawanon par aik tairana nazar daliye jo ilm ke zewar se na ashna hai jin ki rehnumai karne wala koi nahin un ke hathon mein qalam ke bajaye kalashankof hai. Akhir is tabqay ne bhi tou guzar basar karni hai. Nojawanon ka ye garoh jaraim mein mulawas ho jata hai. Baaz naujawan halaat se tang aa kar khudkushi ka rasta apna laite hain. Akhir is ki zumaidari waldain par hai ya hukamranon par lekin mere is nazriye se shayed chand aik ko ikhtlag ho main arbab ikhtyar ko is ka zumaidar tehrata hon is liye keh waldain ye nahin chahte keh un ki aulad zewar taleem se arasta na ho lekin un ke paas wasail na hone ke baes un ki aulad be rah rawi ka shikar ho jati hai nojawanon ko taleem aur rozgar ke moqa faraham karna hukumat ki zumaidari hai jesa keh Hazrat Umar R.A ne apne dor hukumat mein farmaya keh darya e neel ke kinare agar koi kuta bhi bhook se mar jaye roz e mehshar mujhe us ka jawab dena ho ga. Kash hamare arbab iqtidar o ikhtyar donon apne faraiz mansabi ko samajh sakain aur pakistan ki naujawan nasal jis ne mustaqbil qareeb mein mulk ki bag dor sambhalni hai is par tawajah dain takeh naujawan pakistan ka mustaqbil mehfooz bana sakain.
logoblog

Thanks for reading Young Generation Urdu Essay Aaj Ka Nojawan Iqbal Ka Naujawan Speech

No comments:

Post a Comment