Video Banane Ka Tarika Urdu Video Editing Softwares List Hindi Video Kaise Banate Hain Tutorial

  Lal Gulab      
Video Banane Ka Tarika In Urdu Video Making Tips In Hindi For Beginners

Aaj ki ye tehreer asan lafzon mein likhne ki koshish karon ga aur ye bataon ga ke video edit kaise karte hain.

Saman Ka Intikhab

1. Video Banane Ke Liye Phone Ka Istemal Karain

Aaj ke door mein video / movie banane ke liye best tarika mobile phone hai ye har waqt aap ke paas hota hai aap is se kabhi bhi kisi bhi waqt asani se video record kar sakte hain. Aaj kal jadeed smartphones mein camera bhi behtareen aa chuke hain is liye video banane ke liye mehnge aur professional camera ka inhsar kam ho gaya hai per achi quality hasil karne ke liye professional camera apna alag muqam rakhte hain. Bohat se mobile phones aise hain jin mein video recording ki sahulat ke sath sath video editing ki sahulat bhi mojood hai aise mein aap apni marzi ki video bana kar usay mobile se hi edit kar sakte hain par agar aap ke paas mobile mein video editing ki option nahin hai tou preshan na hon aap ye option hasil kar sakte hain.

Edit Videos With Mobile Phone Apps - Agar Mobile Mein Video Editing Ki Option Na Ho To?

Mobile phones ki applications aaj kal bohat taraqi kar rahi hain bari companies apni mobile apps banwane ke liye million dollars kharch kar rahi hain aise mein sarfeen ko un applications ke faide bhi hasil hote hain unhi mein se bohat si aisi applications hain jin se aap apni banai hoi movie ko apni pasand se tarteeb de sakte hain aisi apps ki tadad bohat zayada hai aap apne mobile se google play store mein ja kar video editing likhain tou aap ko bohat si applications ki list nazar aye gi har aik ke functions alag hain aur un mein effects bhi alag hain aap khuch apps download kar ke dekhain jin ka result aap ko acha lage aap us se apni video edit kar sakte hain.

Note: Amooman smartphone ke zariye banai hoi video short time ki hoti hai agar aap ka irada zayada lambi video banane ka hai tou is option ko istemal na karain.

2. Make Videos With Webcam In Urdu

Taqreeban guzashta 15 years mein tamam laptops mein webcam sath araha hai par agar aap ke paas webcam nahin hai tou webcam ki technology aaj kal itni sasti hai ke ye 500 rupees tak asani se mil jata hai par yaad rahe webcam ki qeemat is ki video quality ke hisab se hai, behtareen results ke liye aap ko behtareen webcam khareedna ho ga.

Webcam Installation

Har wo webcam jisay aap khareedtay hain aap ko us ke sath webcam ki installation ki cd bhi milti hai par khuch webcam aise hote hain jinhain computer mein lagane se automatically install ho jata hai yani kisi cd ki zaroorat nahin parti par agar aap ke webcam ki cd nahin hai aur apa ko webcam ke software ki zaroorat hai tou aap Video Booth nami software download kar sakte hain isay istemal karne walon ki raye is ke mutaliq kafi achi hai.

3. Camcorder Se Video Banayain

Jub baat ho video banane ki tou camcorder bhi acha option hai is ka aik faida ye bhi hai ke aap apne computer mein asani se videos transfer kar sakte hain intihai purane model ke camcorder use karne ya khareednay ki koshish na karain.

4. Computer Ki Screen Ki Recording Kaise Karte Hain

Aksar hamare monitor ki screen par khuch aisi files ya videos play ho rahi hoti hain ya koi tutorial banane ki zaroorat paish ati hai is surat mein computer par nazar anay wale manzar ko record karne ke liye aik screen capture software main aap ko bata raha hon.

NCH Prism Video Software

Ye aisa software hai jis ko download karne se aap ko 4 is se related softwares bhi mil jate hain jis se hum video convert kar sakte hain aur screen capture kar sakte hain aur apni pehle se mojood videos edit kar sakte hain aur sath hi sath new videos bhi bana sakte hain. Is ka download shuru mein trial basis per aap ko diya jata hai baad mein aap ko is ke paise dene parte hain per aaj kal hal chez ka solution mojood hai aap trail wala software download karne se bhi hamesha ke liye free mein isay use kar sakte hain is ke liye aap ko NCH Prism registration code chahiye ho ga jo aap internet se hasil kar sakte hain par agar aap ko is free video editing software ki zaroorat hai aur kahin se mukamal version nahin talash kar pa rahe tou mujhse rabtay karne par main aap ko is ka download link provide kar sakta hon.

5. Pehle Se Mojood Videos Mein Se Video Banane Ka Tareeqa

Bohat se log pehle se bani hoi video ko edit kar ke us se aik nayi video banana chahte hain is ke liye split, video cutter ki zaroorat parti hai jo ke uper bataye hue software ki madad se banai ja sakti hai.

6. Video Banane Ke Liye Tips Zaoori Hidayaat

Video clips banane ke liye achi light hona zaroori hai is ke ilawa apna awaz itni rakhain ke aap ki awaz saaf sunai de.

How To Edit Videos In Urdu Tutorial

Ab baat karte hain video edit karne ki, wese tou internet per bohat sare softwares mil jate hain par main apne experience ki wajah se aaj aap ko aik list batane laga hon jo internet par mere khayal se top 5 video editing softwares hain. In ki khas baat ye hai ke ye professional istemal ke liye bhi zabardast hain jese ke shadi waghera, tv shows, film banane mein madad aur taleemi maqasad ke liye perfect hain.
  1. Adobe Premiere Pro
  2. Edius
  3. Audacity
  4. Sony Vegas Pro
  5. Camatasia
  6. Prism
  7. Windows Movie Maker
Mere Paas Koi Video Software Nahin Hai Main Kaise Video Bana Sakta Hon Youtube Ke Liye

Aap ke paas computer mein pehle se aik video making software hai jis ka naam hai windows movie maker ye taqreeban sub asani se istemal kar sakte hain is par learning ki itni zaroorat bhi nahin hai is per 10 se zayada video effects aur transitions bhi hain jis se movie aur bhi achi ban jati hai per ye sub effects purane hain per isi par new effects bhi aap add kar sakte hain. Is ka istemal kese karna hai mujhe agar waqt mila tou main tafseel se aap sub ko bataon ga ke kis tarah movie maker par video banate hai is mein titles kese add karte hain ye sub chezon ki detail doun ga agar aap ko isay chalana seekhna hai ya koi sawal hai tou mujhe comment mein videos banane he hawale se maloomat lay sakte hain.
logoblog

Thanks for reading Video Banane Ka Tarika Urdu Video Editing Softwares List Hindi Video Kaise Banate Hain Tutorial

No comments:

Post a Comment