Panama Leakes Urdu Information Panama Papers History Kya Hain Panama Papers Hindi

  Lal Gulab      
Panama Papers In Urdu Panama Papers History In Urdu Information Panama Papers Hindi Me

What Is Panama Leaks Pakistan India - Panama Leaks Meaning / Definition

Panama Dastawez
Panana Papers Kya Hai Aur In Ki Haqeeqat Aur Tareek Kya Hai? Panama dastaweez 11.5 million kaghzaat hain jisay qanooni mushawrati company Mossack Fonseca ne banaya tha. Ye company Panama mein qaim hoi aur is ke puri dunya mein 40 ke qareeb dafatar hain. Ye firm dunya ki chothi bari qanooni firm hai aur is ki wajah shoshrat bari bari shakhsiyaat ke asraat chupane aur tax bachane mein madad dena hai.

Pas-e-Manzar (Background) Panama Papers History In Urdu
2015 mein aik Germany newspaper se aik namaloom shakhs ne rabta kiya aur usay Mossack Fonseca nami mashoor law firm ke intihai classified documents dene ki paishkash ki. German akhbar ne ye documents ICIJ ke hawale kar diye jo is se pehle isi akhbar ke sath off shore leaks, luxleaks, swiss leaks per kaam kar chuka tha.

In papers ke liye ki gayi tehqeeqat mein pichley 12 months ke doraan 100 sahafi tanzeemon se aur 80 mulkon se taluq rakhne wale 400 ke qareeb sahafiyon ne hisa liya.

Ye tehqeeqat aalmi satah per is noeyat ke tawan ki aik bohat bari misaal hai. In mein bbc ki team aur dusre maroof akhbar shamil hain is tehqeeq per kaam karne wali team ka pehla ijlas Washington, Munich, London aur luxembourg mein hua jis mein tehqeeq ke daira kaar ka taeen kiya gaya. Pura aik saal un panama documents per tehqeeq ki aur pata chala ke wo documents bilkul asli aur darust thay.

Tehqeeq Ka Daira Kaar
Mossack Fonseca ne har shell company ke liye aik folder banaya hua tha jis mein company ki emails, contacts, baat cheet, theekay aur un ki scan shuda dastawizat shamil thien. Sub se pehle tehqeeq karon ne sare deta ko behtareen karkardgi wale computers per upload kiya jis ke natijay mein files ko parhne mein asani mili aur unhain tarteeb diya gaya jis ke natijay mein sahafiyon ko is sare panama leaks deta ko google search ki tarah khangalnay mein madad mili.

Chand minutes mein sare deta ko sudharnay ke baad us per tehqeeq ka kaam shuru hua jis mein har samne anay wale naam ke bare mein sawalat samne laye gaye keh un companies mein us fard ka kya kardar hai?  paisa kahan se araha hai? paisa kahan ja raha hai?

Amoomi tor par off shore company rakhna ghair qanooni nahin hai balkeh off shore companies banane ko bare paimane par karobari soday karne ki janib qadam samjha jata hai.

Shakook o Shubhaat
In tamam dastaweezat mein kisi bhi American ka naam nahin hai jabkeh America mein salana arbon dollars ki khurd burd hoti hai ye baat in sare mamlaat per sawalia nishan hai degar ye keh jis na maloom shakhs ne itna zayada deta faraham kiya hai us shakhs ne is ke badlay mein koi mali faida nahin liya mehz apni hifazat par apne tahafuzat bayan kar ke zamanat li thi.
logoblog

Thanks for reading Panama Leakes Urdu Information Panama Papers History Kya Hain Panama Papers Hindi

No comments:

Post a Comment