Sheesh Mahal Lahore History In Urdu Information Sheesh Mahal Pictures Facts Tarikh

  Lal Gulab      
Sheesh Mahal Lahore History In Urdu: Sheesh Mahal, Pakistan ke shehar Lahore ke Shah Burj mein mughal door ki emarat hai jo Qila Lahore ke shumal maghribi konay mein waqia hai. Ye emarat shehanshah Shah Jehan ke door mein tameer ki gayi. Emarat ko safaid sang e mar mar, raston ko pateeri dora jabkeh tamam andar ki imarat ko sheehsay ki madad se intihai nasafat se sajaya gaya hai. Is emarat ka markazi hisay tak sirf shahi khandan aur un ke qareebi azeezon aur ahbab ki rasai thi. Ye sheesh mahal building un 21 yadgaaron mein se aik hai jo mughal salateen ne qila lahore ke ahatay mein tameer karwayien. Sheesh Mehal ko qila lahore ke sath hi 1981 mein aqwam e mutehda ke adara baraye taleem, science aur saqafat ki janib se almi wirsa qarar diya gaya tha.

Meaning Sheesh Mahal Information In Urdu

Sheesh mehal urdu zuban mein is ka matlab sheeshay ka mehal ya baloori mehal ke hain. Halankeh sang e mar mar ki deewaron mein nisb sheeshay par jub roshni munakas hoti hai tou imarat ke androoni hisay mein inakaas ki wajah se baloori chamak paida hoti hai is imarat ki isi wajah se sheesh mehal, aaenon ka mahal kaha jata hai isi tarah ki emarat qila agra aur aisi emaraton se mutasir kunandah emaratain qila amber aur hari mandar sahab bhi milti hain.

Sheesh Mahal Ki Tareekh

Qila lahore ki bunyad mughal shehahshah Jalal Uddin Muhammad Akbar ke door mein rakhi gayi is se pehle yahan kachi mitti se tameer shuda qila hua karta tha jis ki bunyadon par mazboot paki hoi eent se nayi bunyad rakhi gayi. Naye qila ki tameer ke liye shehanshah ne fatehpur sakri mukamal hone ke baad wahan ke mamaron ko lahore bulaya baad mein Shah Jahan ne qila lahore mein kayi dilkash imaraton ka izafa kiya. Sheesh mehal qila ke us hisa mein qaim hai jo kabhi burj shah yani shehanshah ka aram ghar kehlata tha. Ye shah burj shah jahan se pehle ke mughal shehanshah jahangir ke door mein tameer kiya gaya tha. Qila lahore ke is hisay mein shehenshah ki janib se talab karda intihai aham mushawarati ijlas hua karte thay aur qila ke is hisay mein sirf shahi khandan ke afrad, wazra e azam, shehzadon aur muntakhib karda hakam ki rasai thi. Qila lahore ki araesh par mabni shah jahani door ka kaam 1628 se 1634 tak jari raha. Shah Jehan door mein white marble ka zayada istemal aur shahi andaz tameer numayan hai baad mein jub punjab par sikhon ka qabza hua tou qila lahore mein burj shah ranjeet singh ki pasindida tareen jagah kehlai. Ranjeet singh ne tab sheesh mahal par aik haram bhi tameer karwaya. Sheesh mehal aur baad mein tameer shuda haram wohi jagah hai jahan ranjeet singh ne koh e noor heeray ki numaesh ka band o bast kar rakha tha.
logoblog

Thanks for reading Sheesh Mahal Lahore History In Urdu Information Sheesh Mahal Pictures Facts Tarikh

No comments:

Post a Comment