Herpes Symptoms In Urdu Herpes Virus Meaning Hindi Herpes Zoster Simplex Disease

  Lal Gulab      
Kya Hai Herpes Virus In Urdu Herpes Virus Meaning Hindi Herpes Virus Symptoms And Disease

Almi idara sehat ki janib se jari karda halia adad o shumar se zahir hota hai ke puri dunya mein takriban do tehai afrad aise hein jin mein khatarnak kisam ka aik se dusre ko bohat tezi se lagne wala " Herpes virus" maujood hein. 50 sal se kam umar ke 3 arab 70 crore afrad Herpes simplex Virus Type-1 (HSV-1) se mutasir hein jin ki waja se mun ke dahane ke aas paas chale namudar hojate hein. In ke ilawa 17 se 49 sal ki umer ke 41 crore 70 lakh afrad is bemari ki aik dusri kisam HSV-2 mein mubtala hein jis ke bais jism ke posheeda hison mein chale nikalte hein. Agar cha ye dono iksam ke virus Genital Herpes ka sabab bansakte hein lekin is hawale se HSV-2 ko zayada zimedar samjha jata hai. World health organization ki report mein bataya gaya hai ke ab HSV-1 virus bhi posheda aza mein chale ka sabab banne lage hain. Bilkhasoos ameer mulkon mein is kisam ke wakiat zayada dekhe jarahe hein.

Is ki waja ye hai ke hifzan sehat ke asoolon par karband rahne ki waja se bachpan mein infection ki sharah agar cha kam hogai hai lekin nojawan jab sanfi aitbar se zayada sar garam hojate hein to in mein "Herpes Virus" se mutasir hone ka khatra barh jata hai. Ye bat bhi eham hai ke is virus se mutasir hone wale zayada tar afrad mein is ki koi alamat ya nishani dekhne mein nahin ati hai. Ye virus mudafati nizam mein tabdeeliyon ke bais achanak makhsoos noiyat ke chale namudar hone lagte hein fil hal is virus ka koi shafi ilaj dastiyab nahin hai.

Bohat se logon ko kisi balig shakhs ki jild ke lums se HSV-1 bachpan mein lagta hai. Ye virus jism se kharij hone wale siyal madon ya jild par maujood chalon ke zariye aik dusre ko chone ya razer, tolia, tooth brush aur churi kante wagera mushtarka tor jism mein khamoshi se salon posheeda reh sakta hai lekin phir kisi dusre virus ke hamle, hormone ki Tabdeeliyon, zehni dabao, thakawat ya istamal karne ke natije mein muntakil hota hai. HSV-2 amuman sanfi tor par aik se dusre mein muntakil hota hai. Ye virus Aids ke virus (HIV) ke phailao aur is mein mubtala hone ka khatra bhi barha sakta hai. HSV-1 aur HIV/ Aids ke darmiyan koi taluk hai ya nahin, is bare mein malumat zayada aam nahin lekin is se degar sangeen noiyat ki paichedgiyan maslan dimag ki soozish (Encephalitis) ka khatra barh jata hai.

Almi idara sehat ki aik medical officer ne fori tor par herpes virus ke khilaf vaccine ki tayari par zor dia hai. Inhon ne kaha ke sab se zayada zarurat herpes semplex virus se mutalik vaccinne ki hai lekin agar koi aisi vaccine banai jae jo HSV-2 ke infection ko bhi rok sake to phir is ke bohat zayada fawaid honge. Is silsile mein U.S national institute of health aur glyco smith kalain samait degar companies bhi koshan hein aur hamen umeed hai ke mustakbil kareeb mein koi vaccine tayar karli jaye gi.
logoblog

Thanks for reading Herpes Symptoms In Urdu Herpes Virus Meaning Hindi Herpes Zoster Simplex Disease

No comments:

Post a Comment