Green Beans Benefits In Urdu Sabz Phaliyon Ke Faide Hindi Meaning Green Beans

  Lal Gulab      
Green Beans Benefits In Urdu Sabz Phaliyon Ke Faide Green Beans Benefits Hind

Green Beans Meaning In Urdu: Sabz Phali ya Sabz Phaliyan jinhain english meaning mein Green Beans kehte hain ye 130 types ki hoti hain jinhain 2 aham hison mein taqseem kiya ja sakta hai. Aik woh jo jhariyon ki surat mein ugti hain aur dusri woh jin ki bail latakti hai.

Green Beans History: America mein 1836 se pehle sabz phaliyon ki kasht shuru nahin hoi thi us waqt ke kashtkar isay dunya ka nowan ajooba kehte thay aur ye aaj bhi America ke logon ki sub se zayada marghoob sabzi samjhi jati hai.

Sabz Phali Ke Fawaid: Bazaar mein jub green beans khareedne ke liye aap jayain tou chamakdar sabz phaliyon ko tarjih dain jin ki sakhti barqarar ho is qisam ki puri phali beej (seed) samait khane ke qabil hoti hai aur aap isay kachi halay mein bhi kha sakte hain aur chahain tou paka kar bhi istemal kar sakte hain. Sabz phaliyon ko agar aap salad ke tor par istemal karna chahain tou isay lemon, sirka ajwain, lehsun aur badam ke sath mila kar kha sakte hain. Sbaz phaliyon ko sirke ke achar mein tayar kar ke khana naya lutf de ga.

More Information: Sabz phaliyon mein beta karotien jese mukhtalif iqsam ke Carotenoids paye jate hain in mein Quercetin ki tarah ke aise ajza hote hain jo dil ki sharyanon ko sehat mand rakhte hain. Is ke ilawa sabz phalia silicon ke husool ka bhi aham zariya hain jis se hadiyan mazboot (strong bones) hoti hain aur jism mein jorne wale tissues ki afzaish mein muawnat karte hain. Green beans istemal karne walon mein amraz qalb ka khatra ghat jata hai diabetes ko qabu mein rakhne mein madad milti hai. Sabz phaliyon se jism ka madafati nazam taqatwar hota hai aur zarar rasan free redicals ka khatma ho jata hai.

Ghazaiyat se bhari in phaliyon mein ankhon aur hadiyon ko sehat mand rakhne wali khoobiyan bhi hoti hain jabkeh hazmay ka nazam bhi munasib tor par kaam karne ke qabil rehta hai. Ye bhi dekha gaya hai keh jo hamla khawateen (pregnant women) is sabzi ko shoq se khati hain un ke haan paida hone wala bacha paidaeshi naqais se mehfooz rehte hain. Green beans mein harare bohat kam hote hain is liye wazan kam yani weight loss karne ke khawahish mand afrad apna wazan barhaye baghair is se zaroori vitamins aur minerals hasil kar sakte hain. Is mein vitamic C,K ghazai reshay, folate. iron aur nabatat mein payi jane wali mukhtalif ghazaiyatain bhi shamil hain agar aap inhain 100 gram lain tou in mein 31 calories hoti hain.
logoblog

Thanks for reading Green Beans Benefits In Urdu Sabz Phaliyon Ke Faide Hindi Meaning Green Beans

No comments:

Post a Comment