Dog Training Tips In Urdu German Shepherd Dog Care Tips In Hindi Diet Chart Tareeqa

  Lal Gulab      
How To Train a Puppy Dog German Shepherd Training Tips In Urdu Dog Ki Training Ka Tarika
Wese tou dog rakhwali karne ke kaam ata tha magar europe ke mumalik mein is janwar ki jitni care ki jati hai shayed hi kisi aur janwar ki ki jati ho. Hamare muashray mein kutta maayoob janwar samjha jata tha aur kute ke qareeb se guzarne ki dair thi keh log pathar utha liya karte thay magar maghribi mumalik ki tarah hamare haan bhi posh areas mein log kutte paltay hain.

Politicians aur ashrafia ke liye tou ye aik behtareen tohfa hai aur chand aik sayasatdan tou kuta batoor tohfa wasool karne par media ki zeenat bhi ban chuke hain. Hamare haan dogs ki jo naslain ghar mein rakhne ke liye aam hain un mein german shepherd, labrador dog, belgium shepherd, rottweiler puppies, russian aur pointer dog numayan hain. Aap in mein se kisi bhi aik ka intikhab kar sakte hain.

Dogs price mein ghoron se saste hain, in ki qeemat nasal ke aitbar se 20,000 rupees se shuru ho kar 2 lack tak jati hai aur aik kutta jis parkiya jane wala kharcha 3000 se 5000 rupees tak hai jabkeh mukamal dog vaccination par 10000 rupees tak kharch hote hain.

German Shepherd Dog Food Diet Plan - Kutta Kya Khata Hai

Ghareelu kutton ko ubla hoi gosht (boiled meat), dog food aur doodh waghera batoor khorak diye jate hain.

German Shepherd Training Tips In Urdu Dog Training Tips In Hindi

Ye zaheen animal hai is ki training karne ka tarika kafi asan hai lihaza is ki tarbiyat ke liye kutte ke sath rozana mukhtalif games kheelain, unhain ground mein lay jayain, ball ya wood phenk kar unhain kheelne ki training dain unhain baithna sekhayain aur games ke zariye aap un ko achi tarah training de sakte hain. Is se na sirf un ka zehan tez ho ga balkeh jismani tor par bhi hashah bashah rahain gey. House par pet dog rakhne ke doran agar un ki munasib khorak (diet), dekh bhal (care) aur tarbiyat (training) ka khayal na rakha jaye tou ye dusron ke liye khatra bhi sabat ho sakte hain.

German Shepherd Dog Care Tips In Urdu

Kya aap ke paas german shepherd dog hai aur aap ye janna chahte hain ke dog ki care kaise karte hain tou ye article aap ko exact guide kare ga.
  • Lambe balon wale shepherds aam tor par garam mausam ke alaqon ke liye nahin hote agar aap kisi garam alaqay mein rehte hain tou apne dog ko kam darja hararat wali jagah par rahain us ke liye shade ka ahtmaam karain aur zayada pani dain.
  • Inhain khuli jagah faraham karain ye aam tor par kafi active hote hain inhain apne liye khuli jagah pasand hoti hai, apne dog ko rozana apne sath kisi park mein lay jayain ya apne ghar mein kisi khuli jagah par isay rakhain ye dusri nasal ke kutton ke sath bhi reh laite hain.
  • Inhain khorak ki maqdaar sahi rakhain is baat ko khayaal rakhain ke inhain din mein 2 baar khana dain aur inhain had se zayada ya had se kam khana mat dain aur ye bhi khayal rakhain ke aap inhain kharab khana na dain ye pani zayada peetay hain in ke liye aik bare bartan mein pani bhar ke un ke kareeb rakh dain jahan un ki pohanch ho, din mein mutadad baar us pani ke bartan ko check karain ke pani khatam na ho aur pani saaf ho.
  • Apne dog ko maheenay mein 1 ya 2 baar nehlayain is ke liye aap woh jagah istemal karain jahan aap ne apne dog ko rakha na ho is ke bare mein mazeed maloomat bhi faraham ki ja rahi hain aap un maloomat ko is article german shepherd ki tareekh aur mazeed maloomat mein parh sakte hain.
logoblog

Thanks for reading Dog Training Tips In Urdu German Shepherd Dog Care Tips In Hindi Diet Chart Tareeqa

No comments:

Post a Comment