Crow Information Urdu Crow Essay In Hindi Kawa Crow History Urdu Maloomat Tarikh

  Lal Gulab      

Crow Information In Urdu Kawa Ki Maloomat In Hindi Crow History Urdu

Crow Essay In Urdu

Taruf (Introduction)

Ghareelu kawa (Corvus Splendens) jise colombo kawa bhi kaha jata hai, kawon ke khandan ka aam parinda hai jis ka asal maskan Asia hai lekin ab ye dunya ke dusre hison mein bhi dekha gaya hai.

Khawas

Is ka size Jackdaw aur Carrion Crow ke size ke darmiyan hota hai taqreeban 40 cm lekin ye un se zayada patla hota hai is ka sar, choonch, par, dum aur tangain kali rangat ki hoti hain jabkeh gardan aur seena halkey surmai rang ke hain in ki jisamat har alaqay mein mukhtalif ho sakti hai.

Maskan

Ghareelu kawa Pakistan, Sri Lanka, Nepal, aur India mein paya jata hai ye insani abadiyon ke qareeb rehte hain. Unchay darakhton par ghonslay banate hain aur 3 se 6 ande dete hain. Ye ghonsla banate waqt hifazat, insanon aur khorak se nazdeek rehne ko tarjih dete hain.

Rawaiya

Ghareelu kawa bohat chalak parinda hai is ki nazar bohat teez hoti hai jo isay khorak aur dushmanon se agah karti hai insanon se khasoosan mohtaat rehta hai aur khatray ki surat mein kayain kayain kar ke asman sar par utha laita hai aur apne dusre sathi bhi bula laita hai jo keh hifazat ke liye idhar udhar chakar lagate rehte hain. Kawa apne bachon aur andon ki bohat hifazat karta hai agar kahin cheel ya billi nazar  aa jaye tou kawa us par lapak parta hai aur usay wahan se bhagne par majboor kar deta hai agar un ke ghonslay se anday nikalne ki koshish ki jaye tou ye insan ke sar par thongey maar maar kar khoon nikal dete hain is liye isay sub se chalak parinda mana jata hai.

Khorak

Kawa kacha aur paka hua gosht bare shoq se khata hai khawa gondha hua aata thaal par se changair paray kar ke kha laita hai deegchi mein se thali pare kar ke doodh peeta hai aur kheer bhi khata hai. Kawa palao aur kache chawal, chote keereey makoray, beej, dusre parindon ke anday aur un ke bache aur phal waghera khata hai. Kawe bachon ke hathon se roti, biscuit waghera bhi cheen kar khud kha laite hain. Kawa qanaat pasand aur har haal mein razi rehta hai jo cheez khane ko mil jaye kha laita hai.
logoblog

Thanks for reading Crow Information Urdu Crow Essay In Hindi Kawa Crow History Urdu Maloomat Tarikh

No comments:

Post a Comment