Raksha Bandhan History Urdu Essay Raksha Bandhan Festival Information In Hindi

  Lal Gulab      
Raksha Bandhan History In Urdu Raksha Bandhan Festival Hindi Essay Raksha Bandhan Punjabi

Information Raksha Bandhan Kya Hai:
Is tehwar mein behnain apne bhaiyon ki kalai par aik dhaga bandhti hain jo pyar aur muhabbat ke ahd o paima ki tajdeed nau hoti hai. Is festival ke bohat se naam hain "wishtorak" bhi aik name hai. Ye tehwar hindi calendar ke panchwain maheenay "shravana" ki us raat ko manaya jata hai jub chand apni puri aab o taab ke sath asman par jalwa afroz hota hai. Nepal mein is month ka naam "aadi" hai aur Nepal ke muqami calendar mein bhi saal mein panchwain number par ye maheena aata hai hinduon mein ye maheena bohat muqadas khayal kiya jata hai kyoun keh is month ki panchwien tareekh ko saanp ki pooja ka tehwaar manaya jata hai. Puray chand ki raat ka intezar raksha bandhan ke liye kiya jata hai. Ye maheena barishon ke mausam ke baes bhi hindu manhab samait kheeton aur khalyanon ke mulk mein is mazhab ke logon ke liye aik khas ahmiyat ka hamil hai.

Is festival ke sath mitadad hindu riwayat mansoob hain jo is din ke manane ki wajah bataye jate hain. Qadeem tareen kahawaton ke mutabiq "indrani" jo raja inder ki biwi thi us ne shayateen aur devtaon ki jang mein raja inder ki jeet ki dua ki thi aur nishani ke tor par aik dhaga raja ki kalai par bandha tab se mohabbat ka dhaga bandhnay ki rasm chal nikli jo aaj aik tehwar ki shakal ikhtyar kar chuki hai hindu rasm o riwaj aur un ki mazhabi kitabon mein aurat ko jis tarah zulam ka nishana banaya gaya hai shayed is ki koi misal tarikh insani samait kisi aur musawday mein na mil sakay hinduwana tehzeeb o tamadan mein aurat par dhai jane wale zulam musalsal ke khilaf sanf nazuk ka ye minat samajat wala rawaiya akhir kaar aik tehwar ki shakal ikhtyar kar gaya jub aurat apne bhai se apne tahafuz ka khud sakhta ehd o paima laiti hai hindu muashray mein tarikhi pas e manzar mein aurat ko apne tahafuz ke liye kisi tehwar ki zaroorat thi jis ki kami raksha bandhan ne puri kar di halankeh jin kahawaton se is ka jawaz talash kiya gaya hai un ko sach bhi maan liya jaye tou bhi un mein kisi behan ne bhai ki kalai par mehz pyar o mohabbat ki khatir dhaga nahin badha tha balkeh khalistan jangi janoon se khoof is amal ki wajah bani.

Raksha Bandhan Kaise Manate Hain?

Raksha Bandhan ke manane ka tarika ye hai keh subah naha kar saaf hua jata hai naye clothes pehnay jatay hain phir isay festival ko manane wale pooja karte hain is doran rakhi ki bhi pooja ki jati hai aur us pooja mein apne guzashta bazurgon ke liye dua ki jati hai aur un ke paap ki bakhshish mangi jati hai. India mein rakhi bazaron se asani se mil jati hai jo dhagon se hi banaye gaye hotay hain taham mazhabi hadayat ke mutabiq rakhi ki tayari mein umda dhaga istemal kiya jata hai aur us mein gold, zafran samait degar qeemti tareen chezon ka istemal pasandida khayal kiya jata hai. Raksha ki pooja ke baad us ke badhan ka marhala ata hai pehle bhai ke mathay par tika lagaya jata hai aur usay lakdi ke aik stool par bithaya jata hai behan us ke samne khadi hoti hai us ki ankhon mein ankhain dalti hai phir us ke left hand ki kalai par raksha ko bandh kar raksha bandhan ki rasam puri kar li jati hai akhir mein ghee ka chiragh jala kar bhai ke chehre ke samne ghumaya jata hai behan ke lambay choray taradad ke baad hindu mazhab bhai ko hidayat karta hai keh woh behan ke samne us ki tahafuz ke liye sirf dua maang lay aur behan ko bhi un ke mazhab ki taraf se ye hidayat hai keh woh bhai se kisi gift ki umeed na rakhe aur agar woh kisi tohfay ki lalach mein ye khidmat kare gi tou mazhabi taleemat ke mutabiq usay rohani barkat se mehroomi ka samna karna paray ga wahan ab bhi khuch bhai sharam ke maray behan ko tohfay paish kartay hain hindu mazhab ke mutabiq rakhi ytaar dene ke baad bhi khush bakhti ka ist'ara rehta hai is soch ki wajah se owh rakhi utar par apne ghar daftar ya dukan ke kisi konay mein rakh laitay hain.

Kitni ajeeb baat hai keh kalai par bandha gaya aik dhaga na sirf ibadat ka mustehiq tehra balkeh insan ke nafa nuqsan ka malik bhi ban baitha 21th century ki dehleez par ye toham parasti ki inteha hai jub Allah ki bajaye makhlooq hi makhlooq ke liye qawaneen muratab kare gi tou kamyabi nahin mil sakti.

Incoming Search Terms:
  • raksha bandhan quotes in urdu
  • raksha bandhan shayari in urdu
logoblog

Thanks for reading Raksha Bandhan History Urdu Essay Raksha Bandhan Festival Information In Hindi

No comments:

Post a Comment