Potato Benefits In Urdu Aloo Ke Faide In Hindi Potato Ke Nuqsan Aloo For Hair Health

  Lal Gulab      
Potato Benefits In Urdu Aloo Ke Faide Aloo Ke Nuqsan Kya Haray Alu Sehat Ke Liye Nuksan Deh Hain
Alu aik mashoor aur aam si sabzi hai jo zameen ke andar paida hoti hai alu har mulk aur har khitay mein pasand ki jane wali aur jism ko taqat dene wali ghaza hai. Taza alu hamesha ache aur faida mand hote hain alu ka mazaj sard hai youn tou potato ke bare mein sub jantay hain par khuch batain aisi hain jo aksar logon ko maloom nahin hon gi.

Agar alu ka chilka utar kar kahin kahin hara rang nazar aye ya pura aloo hi hara ho tou is ka matlab hai us ke andar toxins banna shuru ho gaye hain. Ye zayada dair dhoop mein rakhne ki wajah se paida hote hain khane aur pakane se pehle is haray hise ko kaat kar nikal dena zaroori hai is ke baad bache hue aloo ko istemal karne mein koi harj nahin is ka har hisa sehat ke liye nuqsan deh hota hai inhain hamesha thandi, andheri aur khush jagah rakhna chahiye.

Green Potato Ke Nuqsanat

Hamal Mein Aloo Khane Chahiyain Ke Nahin?

Agarcheh hara aloo kam maqdar mein nuksan deh nahin hota lekin inhain zayada khana amal-e-inhzam ke liye masail paida kar sakta hai. Dahi muashyat aur baghbani ke professor ki report ke mutabiq 100 pound wazni shakhs sirf 100 onc baked haray aloo khane ki wajah se bimar ho gaya tha. Ye zaiqay mein talkh jo keh matli aur ishal aur meday ki nali mein jalan ki wajah bantay hain aur jaraseem ke khilaf larney ki salahiyat mein mudakhlat karte hain.

Aloo Ke Haray Hone Ki Wajah

Jub aap ke ghar mein aloo atay hain tou aap ne note kiya ho ga keh un mein se khcuh aloo green color ke hote hain hara rang darasal chlorophyll ki ala satah ki wajah se hota hai jo khud koi nuqsan nahin pohanchata lekin us ke sath hi haray rang se aloo shamil solanine ki satah barh jati hai jo muzhar sehat hai. Roshni mein zayada dair rakhne ki wajah se us ki satah mein zaroorat se zayada izafa hota hai lihaza aloo ki rangat hari ho tou aap hoshyar ho jayain ye sehat ke liye behtar nahin.

Aisay aloo market mein anay hi nahin chahiyain phir bhi is se bachne ke liye inhain halki roshni aur thandi jagah mein store karain aur aloo ke haray hisay ko kaat kar alehda kar dain unhain bilkul mat khayain us ki pehchan aap is tarah bhi kar sakte hain keh agar us ka zaiqa karwa hai tou usay mat khayain apne aur apne bachon ki health ke liye in baton ko nazar andaz karne ke bajaye un par tawajah dain takeh haray aloo ko zayada karne ke mamooli nuqsan se darne ke bajaye apnon ko haray aloo se hone wale bare nuqsan se bacha sakain.


Potato Benefits In Urdu

 
 
 
 
logoblog

Thanks for reading Potato Benefits In Urdu Aloo Ke Faide In Hindi Potato Ke Nuqsan Aloo For Hair Health

No comments:

Post a Comment