Mars Planet Information In Urdu Mars Planet History Hindi Marikh Star Urdu Mars

  Lal Gulab      

Mars Planet Information In Urdu Mars Planet History Hindi Marikh Star Urdu Mars

Mareekh Planet In Urdu Mareekh Star Information: Mars planet suraj ke taraf se ginti karte hue nazam shamsi ka sayarah hai is ki satah orange ki tarah dikhai deti hai is liye ye surkh sayarah bhi kehlata hai surkh rangat mareekh sayara mein mitti mein lohe ki zayada maqdar ki wajah se hai.

Zameen Se Taluq

Bohat arsa pehle insan ka khayal tha keh mareekh par bhi zindagi mojood hai is mein bhi hamari zameen ki tarah fiza mojood hai aur yahan par wadiyan aur barfani qutab bhi hain magar yahan ki beroni satah sirf banjar aur toti photi zameen hai is ki fiza gas carbon dioxide se bhari hai ye wohi gas hai jis se zameen par poday saans laitay hain Mars star ka qatar 6787 km hai jo keh zameen ke qatar ka taqreeban nisf hai. Marikh ka din 24 ghantay 37 minute ka hai albata mureekh par 1 saal ka arsa 687 zameeni dinon ke barabar hai jo keh zameeni saal se taqreeban 2 guna bara hai.

Marikh Ki Tareekh Mars History In Urdu

Mareekh purane zamanon se red planet ke naam se mashoor hai kyoun keh is ki satah surkhi mael hai aaj kal America aur Europe ke baishtar mumalik marikh ki satah par utar kar is ki tehqeeq karne wale khalai jahaz bhej rahe hain. 2004 mein America ke 2 khalai jahaz (Spacecraft) mareekh par utaray is ke ilawa india ka aik khalai jahaz marikh ke madad mein dakhil hua jinhon ne wahan ki taza tareen pictures aur us ki mitti ki mushahidat zameen ko bhejien. Is tehqeeq ka maqsad mars mein pani aur zindagi ke asar talash karna hai kyoun keh aksar scientists ka khayal hai keh marikh par kisi zamane mein zindagi mojood thi. Is tehqeeq ke ab tak yehi results niklay hain marikh par kisi zamane mein pani tou mojood tha magar us mein zindagi na paida ho saki thi. Europe ke mumalik ne bhi apne tehqeeqi khalai jahaz mareekh par bhejay magar woh us ki satah par utarne se pehle hi tabah ho gaye. America mein ab is baat par behas ho rahi hai keh aya mars mein kisi insan ko bheja jaye ya nahin.

Kashish Saqal

Marikh ke 2 chand hain jo baqi chandon ki tarah gol nahin balkeh bare bare pathar hain jinhain Asteroids kaha jata hai ye bare pathar kisi zamane mein marikh aur mushtari ke darmiyan waqia Asteroid Belt se alag ho gaye aur marikh ki kashish sakal mein aa kar is ki gird chakar katna shuru kar diya.
logoblog

Thanks for reading Mars Planet Information In Urdu Mars Planet History Hindi Marikh Star Urdu Mars

No comments:

Post a Comment