Horse Information In Urdu History Horse Hindi Information Ghora Maloomat Horse Facts

  Lal Gulab      

Horse Information In Urdu Horse Information In Hindi Facts About Horse History In Urdu

Ghode Ki Maloomat Horse Ki Tareekh: Ghoda aik janwar hai jis ki irtaqa ka amal sarhay 4 crore se sarhay 5 crore saal ke doran hua hai. Lag bhag 4000 qaaf meem mein insanon ne pehli baar ghoday ko paltu banaya tha is waqt taqreeban tamam tar ghoray hi paltu hain lekin jangli ghoron ki aik nasal aur paltu ghoron ko dobara azad karne se paida hone wali naslain paltu nahin. English language mein ghoron ke khandan ke liye alag se istlahat banai gayi hain jo keh doran-e-hayat, jisamat, rangat, nasal, kaam aur rawaiye ko zahir karti hain.

Ghoron ki jismani sakht isay hamla awaron se bach kar bhagne ke qabil banati hai ghoron mein tawazan ki his bohat taraqai yafta hai. Ghoray ghare ho kar ya baith kar donon hi andaz se so sakte hain. Ghode ki mada ghodi kehlati hai aur is ka zamana hamal 11 mah taweel hota hai. Ghoray ka bacha (horse baby) paida hone ke khuch hi dair baad khara hone aur bhagne ke qabil ho jata hai. Zayada tar paltu ghoron ko 2 se 4 saal ki umar mein lagam ki adat daal di jati hai. 5 saal ka ghora puri tarah jawan hota hai aur ausatan ghoron ki umar (horse age) 25 se 30 tak hoti hai.

Aam rawaiye ki bunyad par ghoron ki 3 naslain shumar hoti hain garam khoon wale ghoray raftar aur bardasht ke hamil hote hain thanday khoon wale ghoray amooman kam raftar lekin sakht kamon ke liye mozon hote hain. Neem garam khoon wale ghoray mandraja bala 2 iqsam ke milap se paida hote hain. Amooman in ghoron ko gharr sawari aur degar maqasad ke liye alag alag naslon ke milaap se paida kiya jata hai. Dunya mein is waqt 300 se zayada iqsam hain jo mukhtalif kaam sar anjam deti hain.

Insan aur ghoray mil kar mukhtalif kheelon mein aur muqablon mein hisa laite hain is ke ilawa rozmarah ke kaam kaaj jesa keh zarat, tafreh aur ilaj ke liye bhi in ko istemal kiya jata hai. Qadeem zamanay se hi ghoray ko jangon mein istemal kiya jata raha hai jis ki wajah se ghoray ko qabu karne ke liye bohat se tareeqay hain ghoron se bohat se masnu'at bhi hasil ki jati hain jin mein gosht, doodh, khaal, baal, hadi waghera. Paltu ghoron ki khorak (horse diet) pani aur dekh bhaal insani zumaidari hoti hai aur aam tor par malkaan apne ghoron ki dekh bhal ke liye tabeebon aur mahireen ki khidmat hasil karte hain.

Hayatyat

Ghoray ki jismani banawat ke liye bohat sari istlahat istemal hoti hain.

Doran-e-Hayat Aur Marahil

Nasal, dekh bhaal aur mahool ke mutabiq paltu ghoray 25 se 30 saal ki zindagi hasil kartay hain taham khuch ghoray aise bhi hain jo 40 saal ya is se bhi zayada arsay tak zinda rehte hain uneeswien (19th) sadi mein mojood aik 62 salaj ghora tareekh ka sub se purana musadqa ghora hai mojooda dor mein 56 sala poni sub se taweel umar panay ke baad 2007 mein mara. Ghoron ki asal tareekh ke bar khilaf muqablon ke liye shumali nisf kuray mein har saal yakam january ko ghoray ki umar mein 1 saal ka izafa jabkeh janoobi nisf kuray mein yakam august ko aik saal ka izafa kar diya jata hai ghoray ke danton ka muaena kar ke us ki asal umar ka kisi had tak andaza lagaya ja sakta hai.

Jisamat Aur Paimaesh

Ghoray ki height ka andaza us ki pusht ke us muqam se lagaya jata hai jahan gardan aur pusht miltay hain sar aur gardan ko is liye paimaesh ke liye nahin mana jata keh donon uper nechay harkat kar sakte hain. English bolne wali countries mein ghoray ki unchai ki paimaesh hathon aur inchon ki madad se ki jati hai aik hath se murad 4 inch liye jatay hain.

Poni

Aam tor par 14.2 hath ys is se uncha janwar ghora kehlata hai aur is se chota janwar poni kehlata hai taham mukhtalif mumalik mein ye tareefain mukhtalif ho sakti hain.
Ghoray aur poni ke darmiyan farq mehz bulandi ka nahin balkeh is se zayada hota hai poni ke baal aur dum zayada ghanay hote hain in ki tangain nisbatan choti, choray munh, bhari hadiyan, choti aur moti gardain, kushada paishaniyan hoti hain is ke ilawa poni mein hewani zahanat zayada hoti hai aur ghoron ki nisbat zayada thanday mazaj hote hain.

Rang Aur Nishanat

Ghoron ki khaal ke rang aur nishanat bohat mukhtalif ho sakte hain amooman ghoray ki nasal aur jins se qabal is ke rang ka zikar kiya jata hai. Akhroti, surkhi mael aur kala ghoron mein ye 3 bunyadi rang samjhe jatay hain ghoray ki khaal ka rang amooman kala hota hai.

Ghoray Ki Afzaesh

Zamana hamal 335 se 340 din hota hai amooman aik hi bacha paida hota hai jurwan bache bohat kam paida hote hain ghoray ke bache paidaesh ki khuch hi dair baad kharay hone aur dornay ke qabil ho jate hain.

Ghode kabhi kabhar 1 1/2 saal se afzaish nasal shuru kar sakte hain taham paltu ghoron bilkhasoos ghoriyon ko 3 saal se qabal afzaish nasal ke liye nahin istemal kiya jata. 4 saal ki umar ka ghora baligh shumar hota hai taham 6 saal tak un ki jismani nasho numa jari rehti hai. Ghoray ki baloghat ki umar ka inhsar us ki nasal, jins aur dekh bhaal par hota hai bari jisamat ke ghoray dair se baligh hote hain. Baloghat nasal aur matwaqa kaam ke hawalay se ghoron ki tarbiyat amooman 2 se 4 saal ki umar hi mein shuru kar di jati hai.

Jismani Banawat

ghoray ke jism mein amooman 205 hadiyan hoti hain insan aur ghoray ke dhanchay mein hansli ki hadi ka farq hota hai ghoron mein ye hadi nahin hoti aur agli tangain barah e rast rerh ki hadi se juri hoti hai,

Horse Teeth - Ghoray Ke Daant

Ghoray charnay ke liye banaye gaye hain aik baligh ghoray mein 12 aglay daant hote hain jo ghaas ya degar nabatat ko kutarne ka kaam karte hain pichlay 24 dant kutri gayi nabatat ko chabane ka kaam karte hain ghoray ki bharhti umar ke sath sath us ke agle danton par bhi asar parta rehta hai.

Hisain Aur Ankhain

Ghoray ki hisain amooman insan se bohat zayada tez hoti hain shikar banne wale janwar hone ki wajah se ghoron ko apne aas paas ke mahool par musalsal nazar rakhni parti hai ghoray ki ankhain kisi bhi zameeni janwar ki nisbatan zayada bari hoti hain aur sar ke itraf par lagi hoti hain. Ghoray 350 zawiyay se zayada dekh sakte hain taqreeban 65 zawiyay donon ankhon se jabkeh baqi 285 zawiye jitna aik dusre ankh se dekhte hain din aur raat donon hi waqt ghoray ki nazar bohat tez hoti hai taham ghoray tamam rang nahin dekh sakte.
logoblog

Thanks for reading Horse Information In Urdu History Horse Hindi Information Ghora Maloomat Horse Facts

1 comment: