Heart Hairstyle In Urdu Dil Wala Hairstyle Banane Ka Tarika In Hindi Heart Shape Hairs How To

  Lal Gulab      

How To Make Heart Hairstyle In Urdu Step By Step Tutorial Heart Shaped Hairstyle In Hindi

Dil Ki Shape Ke Baal Kaise Banayain - Balon Mein Dil Banane Ka Tarika: Mukhtalif tarah ki chutya balon mein banai jati hain maslan french chutya bana kar balon ko bandha jata hai. Pichlay kayi salon ke doran balon mein chutya banane ka fashion phir se maqbool ho gaya hai. Isi fashion ki wajah se balon mein ab nat naye andaz ki chutyan banai ja rahi hain. Chunkeh zindagi mein bohat se din aise atay hain jub insan ko khuch alag andaz mein tayar hona parta hai jese shadi ke din aur valentine's day waghera in dinon ko manane ke liye khasoosi intzam kiya jata hai aur phir in events mein shirkat karne ke liye tayari bhi bharpur andaz mein ki jati hai is doran is baat ka bhi khayal rakha jata hai keh pehni gayi cheezon par dil zaroor bana hua ho.
Un taqreebat ko paish e nazar rakhte hue hair stylist ne khas tarah ke hairstyle bhi mutarif karwa rakhe hain, un mein se aik hair style banane ke bare mein yahan bataya ja raha hai. Jisay khawateen valentine day ki taqreebat mein ya apni shadi ke dinon aur shadi ke baad bhi bana sakti hain. Dil ki tarah ke baal ka design banane ke liye mandraja zail cheezon ki zaroorat paray gi.
  1. Brush ya kanghi
  2. Rabar Band 2 adad
  3. Hair Spray Ya Hair Gel
  4. Hair Pins 6 Adad
Is hairstyle ko woh khawateen asani se bana sakti hain, jin ke baal ghanay aur lambe hain yani long hairs hain aur small hairs wali khawateen ko is hair style ko banane mein mushkilat ka samna karna par sakta hai. Ye hairstyle lambe aur ghanay balon par hi zayada khubsurat lagta hai aur lambe balon mein hi easily se ban bhi jata hai.

Sub se pehle balon mein achi tarah brush phair lain takeh woh uljhay hue dikhai na dain jub tamam balon mein brush phair lain tou agey ki taraf se darmiyani maang nikaal lain. Donon kanon ki taraf se lay kar darmiyani maang tak ke balon ko aik jagah kar ke rabar band laga dain. Is tarah donon sides ke balon ki 2 pooniyan ban jayain gi. Waziha rahe keh kanon ke nechay mojood pichlay hisay ke baal khulay hi rahain ge. Ye donon pooniyan kaan ke oper wale hisay ke balon se banani hain. Is ke baad rabar band hata kar pehle dayain taraf ki pooni se sada 2 bal wali chuttia bana lain. Ye amooman aam donon mein banai jati hai jub chuttia ban jaye tou nechay ki taraf rabar band laga dain takeh banai gayi chuttia ke bal wapas na khul jayain is tarah bayain taraf mojood poni ka rabar band hata kar 2 bal wali chuttia bana lain. Jub chuttia ban jaye tou us ke nechay bhi rabar band laga dain. Ab pehle aik chuttia ko nechay ki taraf se ghumatay hue uper lay jayain aur uper se nechay wapas lay ayain. Is tarah aik circle ban jaye ga us golai ko barqarar rakhne ke liye hair pins lagayain takeh woh apni jagah se na hilay.

Bilkul usi tarah dusri chuttia ko bhi nechay se oper lay ja kar dusri taraf se nechay lay ayain phir us circle par bhi 3 adad hair pins mukhtalif simton mein laga dain takeh ye bhi apni jagah par qaim rahe. Agar 3 se zayada hair pins ki zaroorat mehsoos ho rahi ho tou zayada bhi laga sakte hain. Bas hair pins lagane ka asal maqsad ye hai keh banaye jane wale circles apni jagah par qaim rahain. Ye circles dil ke upari hisay ke tor par dikhai dain ge.

Is ke baad donon taraf mojood balon ki chuttia ko aik sath nechay se bandh lain. Is tarah dil ka nechay wala V ban jaye ga. Ab chahain tou baqi khulay hue balon ki bhi chuttia bana sakti hain ya phir unhain khula hi rehne dain, jesay pictures mein nazar arahe hain. Is ke nichlay hisay par rabar band ki jagah dil wala band lagana chahain tou usay bhi lagaya ja sakta hai ya phir ribbon se banai gayi bo bhi rabar band ki jagah par lagai ja sakti hai. Is dil wale hairstyle ko february mein hone wali kisi bhi aham taqreeb mein azmaya ja sakta hai.
logoblog

Thanks for reading Heart Hairstyle In Urdu Dil Wala Hairstyle Banane Ka Tarika In Hindi Heart Shape Hairs How To

No comments:

Post a Comment