Bahawalpur History In Urdu Information Bahawalpur Ki Tareekh Culture Bahawalpur Maloomat

  Lal Gulab      

Bahawalpur History In Urdu Information Bahawalpur Culture

Bahawalpur Pakistan mein punjab mein waqia hai yahan ki abadi 408,395 hai jo ke 1998 ke mutabiq hai. Ye mazi ki riyasat bahawalpur ka capital tha riyasat bahawalpur pehli riyasat thi jis ne Pakistan ke sath alhaq kiya. Is shehar ka shumar Pakistan ke baray shehron mein hota hai yahan mulk bhar se talib ilm taleem hasil karne ke liye atay hain.

Bahawalpur Ki Tareekh

Bahawalpur aik qadeem city hai aur mulk ka barhwan bara shehar hone ke ilawa punjab division ka darja rakhta hai. Bahawalpur city sutlej river ke bayain kinare par peshawar karachi ki railway line par waqia hai. Ye shehar pehle riyasat bahawalpur ka sadar muqam tha is waqt bahawalpur ki abadi (population) 798,905 afrad par mushtamil hai jabkeh shehar ka area 2,372 muraba km hai.

Maloomat Bahawalpur Information In Urdu

Sar zameen bahawalpur ke zarkhez paniyon aur matti apne andar sadiyon purani tehzeebon ki wirasat sambhalay hue hai. is shehar ki bunyad sindh ke Dawood pota khandan ke dusre hukamran Muhammad Bahawal Khan ne rakhi aur usi ke naam ki munasbat se is city ko bahawalpur ka naam diya gaya. Ye hukamran khandan Abbasi khandan bhi kehlata hai lekin haqeeqat mein ye nawab khandan misr aur baghdad ke abbasiyon se nasalan mukhtalif tha. 1838 mein is khandan ne angreezon ke sath kayi aggreements kiye aur riyasat bahawalpur par hukamrani qaim rakhi lekin Pakistan ke qayam ke baad 17 october 1947 ko ye riyasat Pakistan mein shamil ho gayi.

1955 mein bahawalpur riyasat ka judagana wajood khatam kar diya gaya aur ye riyasat soba maghribi Pakistan mein mad gham ho gayi aur phir isay punjab mein shamil kar liya gaya tha.

Bahawalpur Culture In Urdu

Tehzeeb o saqafat ke lihaz se bahawalpur ki tarikh bohat purani hai yahan aik bohat bara aur khubsurat noor mahal hai jo1791 mein bana tha ab ye historical mahal sarkari dafatar ke liye istemal kiya jata hai.

Famous Buildings Of Bahawalpur

Yahan ki jadeed imaraton mein library, stadium victoria hospital aur taleemi adaray shamil hain. Bahawalpur ka chidiya ghar (zoo) aur stadium bohat shohrat ke hamil hain. Is division mein 3 izla hain jin mein zila bahawalpur bhi hai ye shehar tijarat aur muashi sargarmiyon mein bhi ahmiyat ka hamil hai yahan gamdum, kapas, chawal, khajoor aur aam bohat zayada paye jate hain. Agriculture ki baat ki jaye tou in phalon se andaza lagaya ja sakta hai keh ye aik zarkhez alaqa shumar kiya jata hai. Yahan soap factories, cotton aur oil ke karkhanay bhi mojood hain yahan siahat ke liye cholistan ke sehra, darawar fort,  sadaq mahal aur uch sharik ka mazar qabil zikar hain.
logoblog

Thanks for reading Bahawalpur History In Urdu Information Bahawalpur Ki Tareekh Culture Bahawalpur Maloomat

No comments:

Post a Comment