Aeroplane History In Urdu Aeroplane Information Hindi Hawai Jahaz Kis Ne Banaya Details

  Lal Gulab      

Aeroplane History In Urdu Aeroplane Information In Hindi

Hawai Jahaz Ka Safar: Hawai safar dunya ke tajarbat mein se aik aham tajarba hai har mulk ke apne airport aur hawai companies hoti hain. Jahaz ke safar ne mulkon ke darmiyan faslay kam akr diye hain ye intihai comfortable hai. Insan ki hamesha se khawahish rahi hai keh woh parindon ki tarah hawa mein uray.
Invention of Aeroplane In Urdu: Pehla insan jo hawa mein ura woh france se tha jo 1783 mein aik baray ghubaray mein garam hawa bhar kar us ki madad se ura woh hawa mein 25 minutes tak raha aur hawa ke zariye apni urnay wali jagah se lay kar taqreeban 5 meel ke faslay par Paris mein utra.

Hawai Jahaz Ki Jankari Tarikh Aur Khoj: Usi saal 2 aur france ke shehriyon ne ghubaray mein hydrogen gas bhar kar hawa ke zariye 27 meel ki aik lambi parwaz ki us ka aik khas aib ye tha keh ghubaray aur parwaz ki simt ko qabu mein rakhna mushkil tha is liye bohat se logon ne ghubaray par qabu pane ke liye koshishain bhi kien.

1848 mein aik angrez ne model hawai jahaz tayar kiya jis ka engine bhap par chalta tha lekin us ki ye koshish nakam ho gayi. 1852 mein aik france ke rehnay wale ne bohat kam raftar wala sirf 5 meel fee ghanta ki raftar se urnay wala hawai jahaz tayar kiya. 1884 mein 2 france ke engineers ne hawai jahaz banaya jis mein electric motor thi aur ye jahaz 13 meel fee ghanta ki raftar se ura.

1896 mein aik american engineer ne aik model aeroplane tayar kiya jo keh 3200 foot ki unchai par 30 meel fee ghanta ki raftar se ura. German engineer ne petrol engine wala hawai jahaz banaya. 1900 mein aik aur german petrol engine wale hawai jahaz mein english channel ke uper se ura lekin khuch hadsat ki wajah se petrol engine wala jahaz bhi nakam ho gaya.

Pehli jang e azeem se khuch din pehle german ne aik azeem hawai jahaz banaya jis ki madad se germany ne england par bambari bhi ki. 2 aur american wright brothers ne hawai safar tay karne ki bohat koshish ki aur apne is maqsad mein kamyab ho gaye aur unhon ne 17 december 1930 ko pehla hawai safar tay kiya. 1909 mein aik france ke engineer ne aeroplane tayar kiya aur us ki madad se England ko dobara paar kiya.

Pehli Jang e Azeem se pehle hawa bazi ko itni ahmiyat nahin di gayi kyoun keh hawa mein urnay ko aik khatarnak kheel samjha jata tha lekin jang e azeem awal ke doran german jangi jahazon ne England mein bari tabahi machai. Apne difa ki gharz se England aur us ke ittehadiyon ne bhi Germany ke khilaf larnay ke liye laraka tayare yani jet fighter aeroplanes tayar kiye. in jangi jahazon ka muqabla karne ke liye Germany ne mazeed bambaar aur laraka tayare tayar kiye.

Jang e azeem awwal ke baad in jangi jahazon ko musafir aur saman bardar jahazon mein badal diya gaya aur England aur Paris ke darmiyan baqaida aeroplane service shuru ki gayi. 1919 mein behrul kahil sea ko hawai jahaz ki madad se paar kiya gaya is ke baad logon ne mehsoos kiya keh woh din door nahin keh jub aam admi bhi hawai safar kar sakay ga. 1930 mein England aur Europe ke darmiyan baqaida hawai service shuru hoi us waqt tak Gemany hawai jaha ki sanat mein sub se top par tha lekin us ki sanat ko zawal tab aya jub 1939 mein us ke 2 baray jahaz hawa mein tabah ho gaye. Dusri jang e azeem ke doran jahaz ko taraqi dene par bari tawajah di gayi jahaz ki raftar ko mazeed tez kiya gaya. Jet ki ijad ke baad hawai safar mazeed asan ho gaya. Ab jahaz 500 km fee ghanta ki raftar se ur sakte thay. Is ke baad itnay tez hawai jahaz banaye gaye jin ki raftar 1160 km fee ghanta. Radar ki ijad ke baad hawai safar mazeed mehfooz aur qabil aitmad ho gaya. Radar ki madad se pilot apne ird gird ki jagah ko fog aur kharab mausam mein bhi jaan sakta hai ye tawaqa ki ja sakti hai keh hawai jahaz ki speed ko mazeed behtar banaya ja sakta hai aur hawai safar mazeed tez se tez tareen ho sakta hai.
logoblog

Thanks for reading Aeroplane History In Urdu Aeroplane Information Hindi Hawai Jahaz Kis Ne Banaya Details

No comments:

Post a Comment