Til Ke Faide Urdu Til Benefits Urdu Sesame Oil Til Ke Fayde Labh Beauty Tips

  Lal Gulab      

Til Ke Faide In Urdu 10 Health Benefits of Sesame In Urdu

Til Benefits In Urdu: Mahireen ghazaiyat ke mutabiq til bohat tawanai bakhsh ghaza hai jo gosht ke khawas rakhti hai dar haqeeqat til taqat hasil karne aur umar barhane ka behtareen ghazai zariya hai. Purane zamane mein pehalwan taqat barhane ke liye til ka ustemal kartay thay. Till ke beej jisay sesame seeds kehte hain ye bay had roghni beej hota hai.

Til Ki Iqsam Sesame Seeds

Aam tor par 2 qisam ke til dekhnay ko milte hain lekin asal mein til ki 3 kismain hain kalay safiad aur surkh in teenon iqsam mein kalay til health ke lihaz se sub se zayada mufeed tasleem kiye gaye hain is ke baad safed tilon aur sub se akhri mein lal tilon ka darja hai lekin surkh til nayab hain. Til ke chote chote tikon shakal ke sayah rang ke seeds hindustan mein behad aam hain. Insan hazaron saal qabal til ki jadugiri se waqif ho gaya tha is liye til un ki ghazaiyat mein shamil rahe, black aur white seeds donon iqsam ke tilon ko pees kar tail nikala jata hai jise meetha tail kehte hain. Sesame oil khana pakane ke ilawa til oil medicines ke tor par istemal hota hai kyoun keh is mein bohat zayada medical fawaid paye jate hain.

Tilon Ka Tail - Sesame Oil Information

Tib ke mutabiq kalay til sub se zayada fayde rakhte hain yehi wajah hai kale til se hasil hone wala oil sub se behtar aur adwiyat mein use hota hai Til ka tail ala qisam ki tibi khubiyan rakhta hai.

Til Ka Istemal - Sesame Uses In Urdu

Til apne zaiqay aur roghan ki wajah se aik khush zaiqa ghaza hai aur is ki ameezish se dusri ghazaon mein zaiqa ata hai. Til ki taseer garam tar hai magar is se bani cheezain mazeed hoti hain jesay qulchay, rayoriyan, mukhtalif mithaiyan aur ghachak waghera. Africa aur asia mein til ki mithai bohat marghoob hai riyoriyon mein is ka istemal bohat aham hai.

Til Khane Ke Fawaid

Is mein madni namak aur protein hota hai aur aisab ke liye bohat mufeed hai. Gaon ke log til ke shedai hote hain is liye burhapay mein bhi chaq o choband hote hain til bhook barhate hain subah agar aik muthi bhar til chaba kar kha liye jayain tou na sirf is se ghazaiyat balkeh taqat bhi hasil ho gi is ke sath sath dant bhi mazboot rahain ge aur old age mein bhi mazbooti qaim rahe gi aur dand dard ki shikayat nahin ho gi is mein bohat calcium hota hai ye bachon aur bazurgon ke liye bohat behtareen hai. Bachon ko til ke ladoo bana kar khilane se urine ke masail hi hal hote hain inhain raat ko sone se pehle khila dain.

Til Benefits In Hindi

  • Batoor dawa tilon mein beshumar khubiyan hain jin mein behtar nashonuma karna, haiz jari karna, ajabat lana is ke ilawa pechis, ishal saans ki bimariyon aur balon ke liye faide rakhta hai. Jism ko farba karta hai khuliyon ki tameer aur muramat mein til hairat angez karishme dikhata hai.
  • Bawaseer ka khoon band karne ka behtareen ilaj til mein mojod hai til ko pani ke sath pees kar utna hi makhan mila lain phir 2 gram amezay ko maghaz akhrot aik gram ke sath subah o sham chand din khilayain.
  • Jism ko taqat, surk o safed farba banane ke liye tilon ke barabar wazan ke maghaz badam sheeren aur tukham khashkhas ke sath koot kar barabar maqdar mein cheeni mila kar aik tolay se 2 tolay tak raat ko sote waqt doodh ke sath khaiye chand hafton baad hi musbat asrat muratab hon ge.
  • Menses pain aur theek tarah se na hone ki shikayat mein til khane chahiyain is ke liye 2 chai ke chamach til pees kar aik glass pani mein tilon ko shamil kar lain yahan tak ke pani aik chothai reh jaye phir ye pani pee lain ye hez ki bay qaidgi se darust karne mein mufeed hai.
  • Toilon ke tail ko agar munh mein 10 minute rakh kar kuli kar lain aur oil phenk dain tou dant mazboot hon ge.
  • Band naak kholne ke liye ye nushkha kar amad hai pisi kali mirch ya ajwain ko garam tail mein mila kar naak mein dalain ya songhain is se band naak khul jati hai.
  • Sehat o tandrusti ke mustaqil hison ke liye roz subah sawere aik khane ka chamcha kalay til thore thore kar ke bareek chabayain jub ras ki tarah ho jaye kha lain is tarah pura aik spoon til khatam kar lain aur sada pani pee lain til khane ke 3 hours baad tak khuch na khayain is tarah til khane se burhapa dair se ata hai sehat achi rehti hai.

Araesh Husn Ke Liye Til Beauty Tips In Urdu Sesame For Skin

  1. Til aur til ka tail jild aur hairs ke liye kar amad hai in ka istemal soft skin ke liye aur jild ko taskeen deta hai aur androoni o beroni paida hone wali kharash ko khatam kar ke sakoon pohanchata hai.
  2. Sardiyan ane ke sath til plant ke woh phool aur leaves lay lain jin par os parri ho unhain chehre par chand din rozana malne se chehre ki sari jhuriyan aur mahase ghaib ho jate hain.
  3. Sesame oil hairs ke liye mufeed hai jin logon ke waqt se pehle baal safed hona shuru ho jate hain woh tilon ke tail ke istemal se fawaid utha sakte hain jin ko ye ras ajaye un ke baal girna band ho jate hain aur mazboot hai hote hain.
  4. Pil plant ke patte mehndi ke paton ke sath pees kar balon mein lagane se baal kale aur chamakdar hote hain white sesame seeds ka oil hairs ki growth, dilkashi aur shine ke liye haiumeed hai tilon ke mutaliq sehat ki maloomat se aap ko til ki ahmiyat ka andaza ho chuka hai.
logoblog

Thanks for reading Til Ke Faide Urdu Til Benefits Urdu Sesame Oil Til Ke Fayde Labh Beauty Tips

No comments:

Post a Comment