TB Ka ilaj Urdu Symptoms TB Treatment In Urdu Tuberculosis Information Causes Disease Hindi

  Lal Gulab      

Hindi Tuberculosis Information In Urdu TB Treatment In Hindi Tb Disease In Urdu

Cause Of Tb Ki Maloomat Aur TB Ki Wajah Kya Hai: Ye aik nehayat hi khoofnak mutadi marz hai jo myco bacterium Tuberculosis nami jarsoome se paida hota hai. Ye jarasem jism ke kisi bhi hise par kisi bhi azu par hamla awar hosakte hein lekin lungs zayada tar iska nishana bante hein. Tap dak ko T.B sal aur dak bhi kahte hein almi idara sehat ke mutabik dunya ka koi bhi mulk is bemari se mehfooz nahin hai. Pakistan mein takriban do lakh se zaid afrad har sal t.b mein mubtala hojate hein jis ki sab se bari waja gurbat aur marz ke bare mein la ilmi aur ilaj se laparwahi hai. Pakistan mein is marz se takriban 30000 afrad har sal mout ke mun mein chale jate hein. Jo shakhs ilaj nahin karwata wo zayada se zayada do se 3 sal tak zinda rah sakta hai. Magar intehai karb mein aur is doran wo shakhs 10 se 20 afrad ko TB ka marez bana daita hai. Mazi mein ye marz intehai mahlak samjha jata tha kyun ke ilaj sahi maino mein dastyab nahin tha ya phir logon ki dastaris se bahar tha lekin fi zamana TB kabil ilaj marz hai.

Sarkari satah par alyopathi tarika ilaj mein bhi iska mukamal ilaj maujood hai lekin is bat ko mad nazar rakhna zaruri hai ke T B ka ilaj barwaqt karwaya jae aur mukamal tor par karwaya jaye. TB kaise phailti hai? TB qadeem taren bemariyon mein se aik hai ye mary myco bacterium tuberculosis se phailta hai. Tb zayada tar lungs ko mutasir karti hai. Lekin ye jism ke tamam aza ko bhi mutasir kar sakti hai. Maslan rerh ki hadi, jor aur dimag wagera. Lungs ki Tb sab se khatarnak hai. TB Ka Phailao: Tb ka marz zayada tar hawa ke zariye se phailta hai. Jab aik marez khansta hai ya bat cheet karta hai to Tb ke jarasem dusron ke mun mein jakar TB ka marz paida karte hein aik shakhs jo marez se zayada kareb hai ise marz ke hone ka zayada khatra hai. Aik hi jaga zayada logo ka rahna aur safai ke nakis intezamat TB phailne mein madadgar hote hein

TB Symptoms In Urdu TB Ki Alamat

  • Halka bukhar aur raat ko thande pasine ka ana, khansi jo musalsal aye, kabhi kabì thook mein khoon ka ana.
  • Wazan aur bhook mein kami, seene mein dard is liye yahan batai hoi tb ki maloomat ko ghoor se parhain takay aap is tb ki bimari se bach sakain.

Degar Takalif Agar Koi Dusra Azu Mubtala Ho To Sub Se Zayada Khatra Kis Ko Hai?

Wo log jo marez ke karibi rishta dar hein aur in mein quwat mudafat kam hai wo log jo khorak ki kami ka shikar hein wo marez jo ilaj nahin karwata hai dusron ke liye musibat ban sakta hai. Wo log jo Aids jaisi mozi bemari mein mubtala hein inhein T.B hone ke zayada moqe hein wo log jin ki sugar barhi hui ho.

Tuberculosis Disease Ki Tashkhish Kaise Karte Hein?

  • Balgum ka test sab se zayada motbar samjha jata hai.
  • Doctor x ray se bhi madad le sakta hai.
  • Khoon ke mukhtalif test se bhi tashkhish mein madad milti hai.

Agar TB Ka ilaj Na Kiya Jaye Tou?

Bagair ilaj ke mareez ki zindagi chand salon ki reh jati hai aik aisa mareez jis ka ilaj nahin hua hota wo dusron ke liye khatra hota hai kyiun ke aik mareez jis ke balgam mein jarasem hote hein har saal takriban 10 se 20 naye mareez bana deta hai is liye zaroori hai ke aise marizon ka ilaj kiya jaye.

Tamam Adwiyat Khana Kyoun Zaroori Hai?

Agar tamam adwiyat batae hue tarike ke mutabik li jain to 90% chances hote hein k marez thek hojaega. Adwiyat shuru ki jati hein to chand hafton mein marez apne aap ko behtar mehsus karne lagta hai. Lekin is ka ye matlab nahin hota hai ke wo theek ho gaya hai kyoun ke chupe hue jarasem ab bhi iske jism mein hote hein aur adwiyat chorne ki surat mein ye dubara barhna shuru hojate hein is liye adwiyat ka bakaida istamal zaruri hai jab tak doctor ki hidayat ho.

Kya TB Ki Adwiyat Ke Muzar Asrat Hote Hein?

Matli aur ulti ka hona aik aam si bat hai lekin adwiyat ke istamal se hafte do hafte mein jism adi hojata hai aur phir ye kafiyat khatam hojati hai. Kabhi kabhi kharish aur joron mein dard ki shikayat bhi marez kar sakta hai is liye keh sakte hein ke TB ki adwiyat bilkul bezarar aur mehfooz hein.

Aik Marez Dusron Ko Kis Tarah Mehfooz Rakh Sakta Hai?

  1. Jab marez khanse ya cheenke to mun ko kapre se dhanp le.
  2. ilaj ke pehle do char hafte bachon se dor rahe.
  3. Chand hafte kam ya parhai ke liye na jaye.
  4. Kamre ko hawadar rakhain aur kamre mein roshni ka munasib intezam ho.
  5. Apne bachon ko paidaish ke pehle hafte mein b c g ka tika lagwain adwiyat ka course mukamal karain.
  6. World health organization ka tarika kar hai ke marez TB ki adwiyat kisi ki zair nigrani khae.
  7. TB Se isi waqt mehfooz raha jasakta hai jub tamam marez adwiyat ka mukamal course karen jaise hi alamat zahir hon bagair dare doctor se rujooh karen ilaj ke doran adwiyat na chori jain.
  8. TB ke marez ki khorak ka khaas khayal rakha jaye.
logoblog

Thanks for reading TB Ka ilaj Urdu Symptoms TB Treatment In Urdu Tuberculosis Information Causes Disease Hindi

No comments:

Post a Comment