Saanch Ko Aanch Nahin Story Sach Ki Barkat Kahani Urdu Story Sach Ki Barkat

  Lal Gulab      

Kahani Sach Ki Barkat Story In Urdu Saanch Ko Aanch Nahin Kahani In Urdu

Aik dafa ka zikar hai ke Iran mein Aik larka apni walida ke sath rahta tha. Ise ilam hasil karne ka bara shooq tha. is ki walida ne ilam ke liye is ki tarap ko dekhte hue ise Bagdad ke aik deeni madarse se ilam hasil karne ki ijazat de di. Inhon ne apne bache ko kuch khorak aur chalees Ashrafiyaan guzar aukat ke liye de diye. Inhon ne ye ashrafiyaan bache ki kameez ki tah mein si di ta ke mehfooz rahein. chalte waqt ise nasiyat ki ke " Beta! Hamesha sach bolna aur kabhi jhoot ke kareeb na jana. " Bache ne maa ki nasiyat gor se suni aur bagdad jane wale aik kafle mein sharik hogaya.

Kafle wale darte darte age barh rahe the. In dino raste gair mehfooz hote the aur Dakku aksar kaflon ko loot lete the. Wohi hua jis baat ka khatra tha. Kafle ne abhi kuch hi manzilain tae ki thi ke raat ki tarikhi mein Dakkuon ke aik garwa ne kafle ko ghair lia aur aihle kafla ko lootna shuru kardia. Dakku kaflay ke aik aik fard ke paas jarhe the aur is ke paas jo kuch hota tha is se cheen lete the.

Aik Dakku is bache ke paas aya aur iski talashi li lekin is ke paas kuch na nikla. Dakku ne bache se pucha " kia tumhare paas kuch nahin ?" Is ne jawab dia " Nahin, Mere paas 40 Ashrafiyaan hein." Dakku ne bache ki baat ko jhoot khayal kia aur taish mein ahgaya  wo bache ko pakar kar apne sardar ke paas le gaya. Sardar ne bhi bache se wohi sawal dohraya ke " Sach sach bata kia tumhare paas kuch hai? " Bache ne phir wohi jawab dia ke " mere paas 40 Ashrafiyaan hein." Sardar ne is se kaha " bahir nikal ke dikhao". Isne apni kameez mein sili hui 40 ashrafiyaan bahir nikal di."

Ashrafiyaan dekh kar sardar ki ankhain khuli ki khuli rahgai. Is ne bache se mukhatib hokar kaha "Larke! tum ne sach bol kar apna raaz kyun fash kia. tu chahta to jhoot bol kar apni ashrafiyaan bacha sakta tha ". Is bache ne jawab dia " Meri maa ne mujhe nasiyat ki thi ke beta! hamesha sach bolna. Lehaza mein ne apni maa ki nasiyat par amal kia hai." Dakkuon ka sardar soch mein garak hogaya. Ye chota sa bacha apni maa ka itna farmabadar hai jab ke mein kitna bura hoon ke apne malik hakiki ke ahkamat se gafil hokar logon ko loot ta hoon. Chote bache ke sach ka tamam dakkuon aur in ke sardar par gehra asar hua. inhon ne loota hua maal o asbab wapis kardia. Bure kamon se tooba karli aur aenda Naik zindagi guzarne ka Tahia karlia.
Maa ka ye farmabadar bacha deeni taleem hasil karne ke baad bara mablig deen bana. In ka naam Sheikh Abdul Qadir jilani tha. Log inhain " Goss Pak" ke naam se yaad karte hein.

Moral - Ikhlaqi Sabaq:
"Saanch ko Aanch Nahin".
logoblog

Thanks for reading Saanch Ko Aanch Nahin Story Sach Ki Barkat Kahani Urdu Story Sach Ki Barkat

1 comment: