Round Table Conference Urdu Gol Maiz Conference Notes Round Table Conference 1930 to 1932

  Lal Gulab      

History Gol Maiz Conference In Urdu Round Table Conference 1930 to 1932 Summary Essay Short Note Round Table Conference In Hindi

Information - Maloomat: June 1929 mein Bartaniya ke aam intikhabat ke natijay mein Ramazay Mac Donald wahan ke wazir-e-azam muqarar hue. Hindustan ke baray mein naye wazir e azam ne apne musheeron ke sath salah mashwaray ke baad Sir John Simon ki sifarish manzoor kartay hue faisla kiya keh bartanwi hind mein aaeni tatal ko door karne ke liye zaroori hai keh wahan ke leaders ko London madu kiya jaye takeh agar ho sake tou ain ke bare mein un ki bahmi razamandi ko hasil kiya jaye. Yaad rahe keh Jinnah ne bhi wazir-e-azam ko khuch karne ka mashwara diya tha keh Hindustan ke aini maslay ko hal karne ke liye mutalqa fariqeen ke darmiyan baat cheet ko azsar nau shuru kiya jana chahiye.

Hindustan ke us waqt ke vaisray Lord Irwin ne jub is faislay ka elan kiya tou Quaid-e-Azam aur aap ke hum khayal leadaron ne is ka khair maqdam kiya jis ke natijay mein congress ki taraf se is par nukta cheeniyan shuru ho gayien. Congresi surmaon ne isay lain dain ne amal mein pehle qadam se tabeer kiya, lekin kafi ghor ke baad congress ki leader ship ne mashroot tor par hukumat ke sath tawan karne ka faisla kiya aur mujawaza conference mein shirkat ke liye mandraja zail sharait paish kien.

Sharaait Aur Points

  1. Tamam siasi qaidiyon ko riha kiya jaye.
  2. Mujawiza gol maiz conference mein congress ko mosar numaindge di jaye.
  3. Conference mehz ain ke bare mein asool par behs karne ki bajaye aik nau abadyati tarz ke ain ko muratab karne par apni tawajah markoz kare.
  4. Jitna jald mumkin ho sakay hindustan mein aik nau abadiyati tarz ki hukumat (government) ka qayam amal mein laya jaye.
Yaad rahe keh congress aur Muslim League ke darmiyan ain ke bare mein bunyadi ikhtilaf is baat par tha keh congress ke rehnuma aik aisay ain ko wazia karna chahte thay jis ki ru se zayada ikhtyarat markazi hukumat ke paas ajayain lekin is ke baraks Muslim League ke rehnuma aisay ain ko chahte thay jis ki ru se zayada ikhtyar subon ko mil jatay dusre alfaaz mein congress aik mazboot markazi hukumat jabkeh Muslim League subai khud mukhtari ki khawahish mand thi jahan tak congress ki shart ka taluq raha visiraye ne sirf aik shart jo siasi qaidiyon ki rihai se mutaliq thi ko manzoor karne par apni razamandi zahir ki aur baqi tamam sharait ko mustard kar diya. Is par congress ne mulk mein civil na farmani ki tehreek shuru karne ka faisla kiya dusri taraf All India Muslim League ne february 1930 mein gol maiz conference ki tajweez ki manzoori detay hue hukumat ke sath tawan ka faisla kiya gol mez conference ke 3 door (three rounds) hue.

First Round Table Conference  - Pehli Gol Maiz Conference (Pehla Dor)

Pehla daur 10 november 1930 ko shuru hua aur 19 january 1931 tak jari raha Musalmanon ki numaindgi Sir Agha Khan, Muhammad Ali Jinnah, Molana Muhammad Ali Johar waghera ne ki jab keh congress ne is ka boycott kiya is  pehle door mein taweel ijlason aur karwaiyon ke baad is baat se ittefaq kiya gaya keh hindustan ke liye sub se mozon aur mosar nazam hukumat subon aur riyasaton par mushtamil wafaqi tarz hukumat hai is ke ilawa mutadad amoor ke liye committees bhi tashkeel di gayien.

Second Round Table Conference Dusri Gol Maiz Conference - Dusra Daur (Gandhi Irwin Pact)

Dusra dor 7 december 1931 ko shuru hua aur 1st december 1931 tak jari raha Irwin agreement ke teht gandhi ne congress ki numaindgi kartay hue us door mein shirkat ki dusri taraf doctor Allama Iqbal degar Muslim rehnumain mein shamil ho gaye. Musalmanon aur gandhi ke nuqta nazar mein zameen asman ka farq tha gandgi ka israr tha keh congress ko saray hindustaniyon ki jamat tasleem kiya jaye lekin Musalman is bay mani mantaq ko mannay ke liye bilkul tayar nahin thay isi tarah ye dusra dor bhi baghair kisi kamyabi ke khatam hua gandhi ne conference ki nakami ki tamam tar zumaidari bartania sarkar par aaed kar di.

Third Round Table Conference Teesri Gol Maiz Conference - Teesra Daur

Gool Maiz conference ka teesra aur akhri dor 17 november 1932 se 24 november tak London mein munaqad hua us dor mein shurka ki tadad pehle adwar ki nisbat kafi kam thi congress ka koi numainda is daur mein shareek nahin hua. Muhammad Ali Jinnah ne bhi is akhri door mein shirkat nahin ki is daur ka zayada tar waqt hindustan mein hukumati dhanchay aur aqliyaton ko aini tahafuzat faraham karne se mutaliq amoor par ghoor karne mein guzra lekin congress ki adam mojoodgi ke baes kisi thos formula par ittefaq nahin hua.

Conclusion  Of Round Table Conference History In Urdu

Is ke ikhtitam par hukumat bartania ne mukhtalif commetiyon ki reports sifarishon aur tajaweez par mabni aik wazahati white paper march 1933 mein publish kar diya. Gol maiz conference mein nakami ke baad hakumat bartaniya ne apni taraf se aik ain nama qanoon ki manzoori di Us qanoon ke teht 1937 mein hindustan mein aam intikhabat karwaye gaye jin mein donon jamaton ne hisa liya  par congress ka palra bhari raha  is wajah se hindustan ki tareekh mein pehli martaba congressi wazaratain qaim hoien.
logoblog

Thanks for reading Round Table Conference Urdu Gol Maiz Conference Notes Round Table Conference 1930 to 1932

No comments:

Post a Comment