Rome History In Urdu Information Rome City In Hindi Rome Ki Tareekh Culture

  Lal Gulab      

Rome History In Urdu Rome City Information In Hindi Shehar Rome Ki Tareekh Aur Maloomat Kya Hai

Rome: Rome (English Rome) (Italiano: Roma) Italy darul hakumat mulk ka sab se bara shahar aur markazi mashraki italy ke ilake (Lazio) ka sadar makam hai. Shahar ki abadi takriban 25 lakh aur pure rome ki Abadi 38 lakh hai. Shahar daryae taibar ke sangam par abad hai.
 Rome City Pictures

Bunyad se Saltanat Tak

Rome ki bunyad riwayaton aur dastano mein milti hai, taham jadid tahkikat is nazria ko takwiyat deti hein ke shahar ki bunyad 8 sadi kabal masi mein pari. Shahar Rome, Romi badshahat ka darul hakumat bana (jis par riwayat ke mutabik badshahon ki 7 pushton ne hakumat ki) aur phir romi jamhooria ka darul hakumat bana (jis mein aiwan ba laya sainit ko zayada ikhtiarat hasil hote the) aur bil akhir romi saltanat ka darul hakumat bana (jis par shahenshah hakumat karte the). Ye kamyabi aur bartari foji taqat ke sath sath iktasadi galba ki waja se bhi thi jis ne apne andar hamsaya tahzeebon khas kar Aistroksan (qadeem makami bashinde) aur yunani tahzeebon ko jazab karlia. Rome ki bartari pure europe aur bahira rome ke sahilon par barhti gai jabke iski abadi dus lakh se tajaweez kargai. Takriban aik hazar sal tak rome magrabi dunya ka sab se eham siyasi markaz, ameer taren aur sab se bara shahar raha aur ye bartari saltanaton ke utar charhao se mutasir na hui hata ke is ka darul hakumat hone ka aizaz bhi chin gaya aur iski jaga mashraki darul hakumat kist zafia ne lay li.

Geography

Rome kari italy ke lazew ke ilake mein daryae anisine aur daryae taibar ke sangam par wakia hai. Garcha markaz shahar baheera rome se 24 kilo meter ke fasle par wakia hai, shahar ka sahil samandar tak phaila hua hai jahan janoob magrabi shahar austia wakia hai. Satah samandar se shahar ki bulandi (Piazza del popolo) mein 13 meter se barhti hui (Monte Mario) ki choti par 120 meter tak puhnchti hai. Shahar ka rakba 1285 muraba Kilo meter hai jo ise Europe ke bare darul hakumaton mein se banati hai.

Aab o Hawa

Rome baheera Rome ke sahil par wakia hai aur samandar se kurbat iski Aab o hawa ko mutadil banati hai taham guzishta chand dhaiyon mein mausam garam hone ke ishare mile hein. April se june tak mausam khushgawar hota hai aur aisa hi wast september se october tak hai khas kar (ottobrata)" jiska matlab october ka mahina lia jata hai apne khushgawar aur dhoop dar dino ke liye mashoor hai. Augest ke dino mein garmi barh jati hai aur din ka darja hararat 35 darja centigrade tak bhi charh jata hai. Riwayati tor par augest mein karobar band kardie jate hein Romi log chutiyan guzarne tafreeh makamat ka rukh karte hein. Waqt guzarne ke sath is riwayat mein tabdeeli horahi hai aur ab shahar augest ke mahine mein bhi khula rahta hai, jiski bari waja siyahat mein izafa hai. December ke dino ka zayada se zayada darja hararat 13 darja centigrade hai.

Zair Zameen Rail Ka Nizam

Andron shahar amad o rafat ke liye doroya zair zameen rail ka nizam banaya gaya hai jisko (Metropolitana) ya (Rome Metro) kahte hein. Pehli shakh par kam ka aghaz 1930 mein kia gaya tha jiska maksad eham railway station roma tarmeni ko janoob mein in ke mansooba aur sath sath wo aap ki madad ke bager bhi nahin rah pate. Zair zameen in guzar gahon ki kul lambai 2005 tak 38 kilo meter hai. Line A aur line B sirf roma tarmeeni station par aik dusre ka kat ti hain.

Satahi Amad o Rafat Ka Nizam

Zair Zameen Rail ka nizam satahi rail gariyon ya tramon ke nizam ka hisa hai jis ka jal pure rome mein bicha hua hai. Taren latitalia ki rail gariyan bhi shahar ke andar 20 stations ke darmiyan amad o rafat ki sahooliyat farahim karti hein androon shahar rail gariyon ke in nizamon ke ilawa shahar ko aik mukamal bas nizam bhi mayasar hai.
logoblog

Thanks for reading Rome History In Urdu Information Rome City In Hindi Rome Ki Tareekh Culture

No comments:

Post a Comment