Personality Development Tips Urdu Shakhsiyat Nigari Urdu Kirdar Personality Tips Hindi

  Lal Gulab      

Hindi Personality Development Tips In Urdu Shakhsiyat Nigari Ka Tareeqa Shakhsiyat Nikharne Ka Amal Kaise Karain

Hum apne aik mushaide se wazia karte hain. Gari main bohat bheer thi, bethne ko jaga nahin thi, kai musafir khare the, in main aik khoobro admi baish qeemat sout main malboos khara tha. Is ne bethne ko jaga mangi to 2,3 musafir khanda paishani se sukar gae aur ise apne paas betha liya us ke kareeb hi aik aur admi khara tha jo kisi factory ka mistri maloom hota tha, chehre par mushakat aur mehngai ke asrat thay aur us ka libas sirf kameez aur pajama tha us ne ameerana libas wale khoobro admi ko aik ishare se jagah hasil karte dekha tou us ne bhi samne wali seat par bethe musafiron se jagah mangi. Musafiron ne tawajah hi na di aur woh khasiyana ho kar khara raha.

Thori hi dair baad gari mein bhi ye inkalab aya ke seat par bethe musafir us mistri ke gareb se admi ko ghaset ghaset kar seat par betha rahe thay. Wo is kadar sukar gaye the ke khush posh admi jagah ki tangi se Pareshan ho kar uth khara hua kisi ne us ki taraf tawajah hi na di. Mistri mehfil ki jaan bana hua tha us ke honton par tabasum tha. Wo dheme dheme baten kar raha tha aur musafir kahkahe laga rahe the. Us ke mukable main khush shakal aur khush libas admi sab ko hakarat se dekh raha tha. Ye shakhsiyat ka karishma tha aik ne apni asal shaksiyat ko masnooi shaksiyat yani sout boot aur chehre ki achi rangat mein chupa rakha tha aur dusre ne chehre ki zardi aur garebana libas mein.

Asal shaksiyat aisi cheez hai jise na mehfil mein chupaya jasakta hai na taat mein ye durust hai ke chehra aur libas dusron par fori tor par air asar paida karta hai lekin ye asar dair pa nahin ho sakta. Shaksiyat ki asliyat az khud samne ajati hai. Aap ne kayi admiyon ko kisi ke mutalik ye kehte suna ho ga, wo admi bazahir jahil aur ganwar hai lekin mein us ki kisi baat ko taal nahin sakta. Wo jo khuch kehta hai main maan leta hon" ye Darasal us admi ki shaksiyat ki tareef ho rahi hoti hai. Khubsurti, qeemti aur jadid libas, taleemi degree kar aur kothi, ohday aur rutbay onchi zaat aur sarkari khitabaat se shaksiyat nahin banti. Shaksiyat ke sath in ka taluk dor par ka bhi nahin hota. Shaksiyat aik andruni quwat hai jise dusre dekh nahin sakte balke mehsus karte hein. Agar aap khoobro hein aur aap ki andruni dunya main nafrat bhari pari hai to wo aap ki khoobroi ka tamam tar asar zail kardegi. Shaksiyat aur kirdar 4 anasir ka markab hote hein, ghar ke asrat, madarse ke asrat, gardopaish yani society ke asrat ke mutalik insan ka apna rad amal agar aap kisi ko dost nahin banasakte aur log aap ko koi ehmiyat nahin dete to is ka matlab ye hai ke aap ki shaksiyat galat asrat se matshakal hui hai. Ye asrat insan ke chehre mahre par kam hote hein in ka izhar kirdar aur guftar se hota hai ya insan ke salook aur bartao se.

Shaksiyat badal sakti hai khuch arsa pehle tak kaha jata raha hai ke insan ki shaksiyat jis sanche main dhal gai bas hamesha ke liye dhal gai. Ise badla nahin jasakta, ab mahren nafsiyat ne tajarbat ki roshni main faisla de dia hai ke ye mahaz mafrooza hai aur be bunyad shaksiyat ko insan apni koshishon se badal sakta hai aur munfi asrat se azad hokar naya insan ban sakta hai. Muwashire ke ehwal o kawaif kuch aisi gair yakeni aur nagafta ba surat ikhtiyar kargae hain ke am shahri baizzat zindagi basar karne ki jadojahad mein apni asal shakal o surat yani shaksiyat bigar bethe hein. Honton se muskurahatain aur gharon se musratain gaib hogai hain. Log aik dusre ko shaki nighaon se dekhte hein, khaloos aur dayanatdari napaid hogai hai. Hamein inhi halat mein apni in dhaki chupi khoobiyon ko ubharna hai jo muwashirati afratafri aur kabahaton ke zehar ko kam karsakti hein.

Yaken janiye ke hamein infradi khoobiyan aik na aik din ijtamai quwat ban kar muwashire ko sudhar laingi aur nafsanafsi ki kaifiyat khatam hojaigi. Jaisa ke hum kah chuke hain ke isi muwashire main aap ko aise afrad nazar aenge jo muwashi badhali aur jazbat khalafshar ka shikar hone ke bawajood shagufta mizaj hein. Lehaza dusron ke manzoor nazar aap bhi apni shaksiyat mein ye maknatesi quwat paida karsakte hein. Aap ko kisi mahir nafsiyat ke paas jane ki zarurat nahin. Khud hi himat kijiye phir is ke nataij dekhiye. Aap ko mayoosi nahin hogi. Apne doston, parosiyon aur apne sath kam karne walu main 2,4 aise admiyon ko muntakhib karlen jinhain har koi pasand karta hai. Is fahrist main khushamadiyon ko shamil na kijiye. Khushamadi beshak manzoor nazar hote hein magar ye aik kabiah adat hai. Is adat se bachiye warna aik do afsaron ko khush karte karte aap apne sathiyon aur doston ki nazron mein kabil nafrat insan ban jaenge. In admiyon ko muntakhib karen jo Khushamad ke bager makbool aur har dil aziz hein in ki adat aur tor tarikon ka jaiza lijiye aur dekhiye ke in mein wo konse ausaf hein jo dusron ka dil moh lete hein.

Aap ko in main ye ausaf nazar aenge.... Tandrusti, shagufta mizaji, ikhlaqi jarat, khud aitamadi, kam aur farz ki lagan,hamdardi, dusron ki har bat ko tawaja se sun na, dusron ke zaati masail aur tafakrat main dilchaspi lena, tahmul, burdbari, khush zoki, dusron par apni rae na thosna, apne zok ko dusron ke zok par fokiyat na dena, zod paishmani se gurez aur gaibat na karna, ye tamam ausaf ehsas kamtari ko khatam karke khud aitamadi paida karte hein aur yahi aap ki bunyadi zarurat hai.

Apna Jaiza Lijiye

Dayanatdari se dekhiye ke aap mein ye ausaf maujood hein ya nahin? Ji ausaf to yakenan maujood hein lekin aap ne inhein daba rakha hai. Ausaf par aap ne afsurdgi aur shikast ka rang charha rakha hai jab koi parosi aap ko apni kisi takleef ki Tafsilat sunane lagta hai to aap ke chehre par uktahat chajati hai ya phir is ki baat kat kar aap apni ram kahani shuru kardaite hein jis ka natija ye hota hai ke log aap ko bekar aur god insan samjh kar aap ko koi ehmiyat nahin daite. Is se aap ke ehsas kamtari ko zayada takwiyat milti hai.

logoblog

Thanks for reading Personality Development Tips Urdu Shakhsiyat Nigari Urdu Kirdar Personality Tips Hindi

No comments:

Post a Comment