Maulana Mohammad Ali Jauhar Essay In Urdu Molana Muhammad Ali Johar History Information Notes

  Lal Gulab      

Short Note On Maulana Mohammad Ali Jauhar Essay In Urdu

Maulana Muhammad Ali Johar Hindustan ki tarikh azadi mein aik eham naam hai lekin yahan ki mutasab kun zahniyat ne un ki khidmat o qurbaniyon ko nazar andaz hi nahin balke faramosh kar diya hai. Mulk bhar ki tarikh ki nisabi kitabon mein maulana ka zikar bohat kam kiya gaya hai. Molana Muhammad Ali Johar ki paidaish 10 december 1878 ko rampur mein hui. Aap ke aba Afghanistan se hijrat kar ke hindustan mein rohal khand mein abad hue baad mein aap ka khandan rampur mein abad hua. Aap ke khandan ka taluk Afghanistan ke yousuf zai kabile se the Maulana ke bachpan mein hi un ke walid ka intekal ho gaya tha aap ki parwarish aap ki walida ne ki. Maulana ne apni taleem andrun watan darul uloom deoband, Muslim Ali garh university aur baad mein berun mulk lankan college, oxford university se mukamal ki. Watan wapsi ke baad maulana ne rampur mein education director ki hasiyat se khidmat anjam di. Is ke baad baroda civil service mein mulazmat ikhtiar kar li.

Maulana Muhammad Ali Johar aik mahir mukarar o adeeb the jin ke mazmoon urdu aur angrezi donon akhbarat mein shaya hote the unhon ne urdu mein "Hamdard" aur angrezi mein Comrade nami hafta roz akhbarat jari kiye jis mein un ke bhai Shoukat Ali un ki madad kiya karte the. Aap pehli almi jung ke baad 1919 mein englistan ka dora kiya. Ta keh Turkey ki Khilafat Usmania ko barkarar rakha ja sakay lekin englistan hakumat ne maulana ki mang ko mastarid kar diya. Aap watan laut aye aur khilafat committee tashkeel di. Khilafat committe ka maqsad khilafat ko qaim karne ke liye bartanwi hakumat par dabao dalna tha jis ke liye "Khilafat Tehreek" shuru ki gayi. Chonke bartanwi hakumat ne is mutalbe ko mustard kar diya tha is liye Khilafat Tehrik tabdeel ho gayi Tehreek Adam Taawun mein.

Maulana ne bartanwi Hakumat ki taraf se ata kiye hue aizazat aur "sar" ka khitab lota diya. Is tahrik adam tawun ki hindustan ke kai muslim rahnumaon ne qoli o Amli taid ki jin mein maulana shaukat Ali, maulana Abu Al kalam azad, Hakeem Ajmal Khan aur Mukhtar Ahmed Ansari shamil hein. Baad mein mahatama gandhi aur congress party bhi is tahrik mein shamil ho gaye. Hakumat ke khilaf ye tahrik din ba din zor pakarti jarahi thi ke achanak chori chora ke makam par awam ne police ke zulum ke khilaf tashadud ka istamal karte hue police choki ko aag laga di is waqia ke baad gandhi ne is tahrik ke khatme ka elan kar diya.

13 November 1930 ki gol maiz conference mein Maulana Muhammad Ali Jauhar shirkat Ke liye London gaye tab unhon ne bartania hakumat ke samne apni ye wazia mang rakh di ke ya wo to london se hindustan ki azadi ka parwana lekar jayain ge ya phir wohi apni jaan de dain ge. Allah ne aap ki baat rakh li aur london mein qayam ke doran aap bemar par gaye aur london hi mein 4 january 1931 ko aap ki wafat ho gayi.

Death: Maulana ki tadfeen sar zameen Anbia Falasten mein ki gayi jahan aaj bhi aap ki qabar maujood hai. Maulana johar hi wo shaksiyat hai jis ne mahatema gandhi ko congress aur hind o tabka ke age barha kar hindon aur musalmano ka qoumi rahnuma banaya. Maulana ne apni zindagi mein bohat sare inqelabi kam kiye jis mein se chand aik yahan bayan kiye ja rahe hein.

Maulana Mohammad Ali Jouhar Ki Mili Khidmat:

  1. Woh aik mahir mukarar o khateb the apne hifat roza ikhbarat ke zariye maulana hamesha musalmano ki islah ke liye mazameen likhte rahte the.
  2. Aap hi woh wahid shaksiyat hain jinhon ne hind ki milat Islamia mein khalifat ke ehad ki ehmiyat waziha ki.
  3. Aap ne hi hindustan mein khilafat tehreek ki bunyad dali jis ne agey chal kar tahrik adam tawun ki shakal ikhtiar kar li. Age chal kar awam ko isi nehaj par namak satia kara, tark molat aur bharat choro jaise kamyab ahtijaj ki rah mili.
  4. Khilafat tahrik ke mutaliq un ke jazbat aur khawahishon ko dekhte hue unhain 'maulana' ke khitab se nawaza gaya.

Maulana Mohammad Ali Jauahr Ki Taleemi Khidmat

  1. Maulana ne berun e mulk ja kar ala taleem hasil ki aisa nahin hai englistan jane se pehle hi aap darul uloom deoband se firagat hasil kar chuke the jahan par aap ki fikar parwan charhi. Jab aap apni taleem mukamal kar ke watan wapis lote tab aap ko rampur mein education director ki zimedari di gayi.
  2. Anglo oriental college jo ke Sir Syed Ahmed Khan ka dereena khuwab tha useay Ali Garh Muslim University mein tabdeel karane ke liye bhi maulana ne kafi jad o jehd ki.
  3. Maulana Muhammad Ali Johar jamia malia islamia ke baniyon mein bhi aap ka naam shamil hai jise baad mein Ali garh se muntakil kar diya gaya.
logoblog

Thanks for reading Maulana Mohammad Ali Jauhar Essay In Urdu Molana Muhammad Ali Johar History Information Notes

No comments:

Post a Comment