Malaria Symptoms In Urdu Information Malaria Ki Alamat Malaria Kaise Hota Hai

  Lal Gulab      
What Is Malaria Information In Urdu Aur Ahtiyati Tadabir Kya Hai: Bill gates ne aik baar us waqt sab ko hairan kardia jab is ne bhari mehfil mein jahan dunya ke Ameer taren afrad the apni jaib se aik dibia nikali aur ye kahte hue ke " sirf gareeb hi malaria se kyun marain " is dibia se machar nikal kar chor die chonke machron se malaria phailta hai is liye mein ye machar yahan chor raha hon ke sirf garibon ko hi malaria se marne ke liye kyun chordia gaya hai. Mada machar se phailne wala aik mutadi marz malaria hai. Dunya bhar mein malaria ki waja se halak hone wale 90 fesad afrad ka taluk gareeb mumalik se hai. Dunya ke chand mulkon mein malaria aam hai africa, asia, mashrik o wasti janoobi asia, wasti america wagera. Pakistan mein salana 16 lakh afrad barah e rast is se mutasir horahe hain aur har sal 50hazar amwat hoti hain.

Ye to pakistan ka haal hai dunya bhar mein is ki surat hal mazid kharab hai ke har 30 ya 40 second baad aik marez malaria se mar jata hai aur salana 15 lakh se afrad moot ka shikar hojate hain. Har sal 25 april ko dunya bhar mein malaria se aghai ka din manaya jata hai. Malaria ki bemari qudarti tor par machar ki aik kisam anophles ki mada ke katne se phailti hai. Ye mada machar kisi malaria se mutasira shakhs ko kat ti hai. Malaria ke jarasem is machar mein muntakil hote hain aur ye machar jab kisi tandrust shakhs ko kate to is shakhs mein is shakhs ke jigar mein ye jarsoome hafton se mahino ya salon tak namupate hain aur jab aik khas tadad mein jarsoome paida hojate hain to malaria hamla kardaita hai. Agar iska ilaj na kia jae to ye jan lewa hosakti hai. Khayal rahe ke bachon mein malaria hone ke zayada khatrat hote hain. Malaria Ki Alamat: amuman machar katne ke 6 din ke bad nazar ana shuru hojati hain. Baaz aukat iski alamat zahir hone mein aik sal bhi lagadaiti hain. Alamat darj zail hain.

Malaria Symptoms In Urdu Malaria Ki Alamat: Bukhar, sardi, sardard, matli, ultiyan. Paichish, shadid kamzori pathon ka dukhna, pait kamar aur joron mein dard khansi, ghabrahat wagera malaria ke shadid hamle mein asabi nizam buri tarah se mutasir hota hai. Ilawa in ke jism mein shadid dard, jild par kharish, surkh dhabe malaria ki nishaniyon mein shamil hain agar marez ko in mein se chand alamat dikhai dain to doctor ko dikhain malaria ka ilaj foran karwana chahye, bohat se degar jarasem bhi aur bemariyan bhi malaria jaisi alamatain rakhti hein. Jis waja se malaria ki tashkhish mein dair lag sakti hai. Malaria se bachao ke liye ahtiyati tadabir mein mahool ko saf rakhne ke sath khule asman tale sone se guraiz kia jae, machar dani istamal ki jae aur machron ko dor rakhne wala tail jism par lagaya jae pure bazoun wali kameez pahnain. Is bat ka khayal rahe ke malaria ke ilaj ka jadid tarika basa aukat marez mein antrion ki soozish bhi paida kar daita Hai. Is soozish ke baad marez malaria ke bukhar se nikal kar typhoid mein mubtala hojata hai. Sirf mada machar hi insano ko kat ti hein aur malaria phailati hain aur agar in ki tadad mein kami ae to is se malaria ke phailao mein bhi kami aegi. Is tarah sochte sochte ye bat bohat dilchaspi se pari jaegi ke science dano ne malaria ke khatme ke liye aik naya hathyar tayar karlia hai. Ye hathyar geneyati tor par tabdeel shuda machar hain jo apni nasal mein zayada tar nar machar hi paida karenge jis ke natije mein in ki nasal ahista ahista khatam hojaegi. Ye tarika kar ikhtiar karne se macharon ki abadi mein mada machron ki tadad bohat hi kam hojaegi aur jis ka nateja in machron ki abadi mein batadrij kami aur akhir kar khatme ki surat mein niklega. Malaria ka jarsooma aik insan se dusre insan tak muntakil karne wale in machron ke khatme ki wajah se is bemari ka phailao bhi ruk jaega.
logoblog

Thanks for reading Malaria Symptoms In Urdu Information Malaria Ki Alamat Malaria Kaise Hota Hai

No comments:

Post a Comment