Long Life Tips Urdu Lambi Zindagi Jeene Ka Tarika Hindi Long Life Tips

  Lal Gulab      

How To Live Long Life In Urdu Lambi Umar Pane Ka Anookha Raaz

Urdu Long Life Tips In Hindi: John D Rock munh mein sone ka chamcha lay kar paida nahin hua tha us ka bachpan apne khandan ke hamrah aik zarai farm par guzra lekin jawan hote hi us ne na sirf karobar ko paishe ke toor par apnaya balke youn kahiye ke wo dolat ke hasool ke liye deewana war dorne laga us door mein us ki zindagi ka sirf aik hi maqsad tha rupee ka hasool kisi qeemat par munafa aur kam se kam kharch is fard ki tarah jise aap kanjoosi ki bajaye hars kehte hain wo munafa hasil hone par deewana ho jata apni topi zameen par phenk kar raks karne lagta. Lekin jahan thora nuksan hota pareshaniyon aur tafkirat ke badal us ke zehan ko apni lapait mein lay lete usay dil dobta hua maloom hota aur aik tarikh goshe mein ja kar para rehta. 53 saal ki umar tak karobari zindagi mein hazaron wakiat paish aye sirf namoona ke tor par aik waqia paish khidmat hai.

Aik dafa John ne apne karobari sathi ke istarak Se 40 hazar dollar ka gala dakhani jahaz ke zariye grate lakes ke raste bheja. Apni kanjoos tabiyat ke tahat is ne gale ka bema is liye na karaya ke dedh so dollar ki rakam ada karni parti thi. Gala bardar jahaz jab grate lakes mein puhncha to tofan ki khabrain ane lagi john ghabraya bema ab bhi karaya jasakta tha lekin premium ki rakam mein kuch izafa hogaya tha is ne bema karadia jab iska sathi bema karake wapis aya to aik tar mausool hua likha tha " jahaz toofan se nikal gaya" goya dedh so dollar ki rakam bekar kharch hogai thi. John ko itna bara sadma hua ke wo apne aap mein karhta hua daftar se nikal kar ghar jaleta. In door ya out door khailon se john failar ko koi ragbat na thi balke ye kahna sahi hoga ke wo in par aik lamha kharch karne ko tayar na tha. Is ki rai thi in par waqt kharch karne ke bajae wohi lamhe kyun na paisa kamane mein kharch kie jain. John gardner iska hisa dar tha us ne do hazar dollar mein aik purani badhani kashti kharidi aur john ko dawat di ke wo iske sath sair ko chale john ka jawab tha gardner! Mein ne tum sa fazool kharch nahin dekha tum apna karobar tabah kar rahe ho mein tumhari kashti par na jaunga. Akhir ye asabi pareshaniyan aur zehni kashmakash rang lai. John 53 saal ki umar mein burha hogaya iske shane jhuk gae aur wo aluminia ke marz mein mubtala hokar apne sar ke balon, bhano aun aur palkon se mehroom hogaya. Doctors ki rae mein ye sab asabi kashmakash ka kia dhara tha.

Mazid inhon ne rae di ke john ko do baton mein aik ka intekhab karna hoga, Dolat ya Zindagi...... john ne zindagi ka intekhab karlia. Is ne apni bepanah dolat ka aik hisa awam par kharch karne ka program banaya aur isi jazba ki takmeel ki khatir idara john ki bunyad rakhi. Isi idare ki marfat is ne dunya bhar ke idaron aur bemaron ki madad ki. Usne mali tor par dum torte hue aik college aur lakhon dollars ki imdad di. Collage na sirf mayari girdana gaya balke taraki pakar university ban gaya. Shikago university hi wo idara hai jo john ki mali imdad ke tahat is makam tak puhnchi. Insani bemariyon ke ilaj ke zaman mein john ki imdad ne lakhon insano ko mout ke mun se bachalia. 1932 mein china mein haize ki waba phoot pari.log hazaron ki tadad mein lukma ajal hue the akhir john medical college ki arsal karda vaccine se lakhon mulki aur gair mulki mutadi marz se mehfuz kardie gae mazid jin bemariyon ki rok tham ki taraf tawaja di gai aur awam ko in se mehfooz karne ke ikdamat kie gae in mein tap dak, malaria, influenza khanak aur gardan tor bukhar shamil hai. In khairaton ne john ki zindagi mein aik inkalab barpa kardia. Ise rupee se muhabbat na rahi balke rupiya iske samne haich hokar rah gaya. Is amar ka saboot is baat se Milta hai ke hakumat ne iski farm standard oil company ko lakhon dollar jurmana kia is ke wakel ne jab is azeem jurmana ki khabar john ko sunai to isne wakel se kaha fikar na kijiye mein raat ko aram se sounga. Aap bhi pareshan na hon. Pareshaniyon aur tafkirat se azad shakhs se 98 sal ki umar pai.

Dunya ki is azeem shaksiyat ki kahani parh kar aap ka kia khayal hai ke ise yahi karna chahye tha yani khairat ya wo dolat ko sambhalta rahta. Aap ne dekha jab tak wo dolat ko sambhal sambhal kar rakhta raha. Iski zindagi khushyu se dor thi chonke wo sirf apne bare mein sochta tha. Lehaza asabi bemari ne ise jakar lia. Jab khairat ke zariye is ne logo ke dukh kam kardie to Allah Talah ne bhi is par khas nazar karam farmai aur isko sukoon aur itminan ki kaifiyat naseeb ki ye itminan aur sukoon dolat ki hawas mein nahin tha. Logon ki taklif dor karke ise ehsas hota ke ise koi maksad hasil hogaya hai jabke Wo is dolat se pehle bohat dor tha. Aik angraiz ne khairat aur logon ki zindagi sawarne se apna maksad hasil kar liya aur 98 saal ki mutmain zindagi pai aur hum Musalman apne aas paas bhuke piyase logon ko dekhte hein magar un ki madad nahin karte. Ankhain, dil aur kaan band karlie hein aur apni zaat ki khushiyon ke hasar se bahar nahin nikalte aur yahi baat hamein zaati uljhano ka bais banati hai. Agar hum apni zindagi ka maksad dusron ke kaam ana aur dukh batna banalain to john ki tarah lambi aur mutmain zindagi to pahi lenge magar iske sath apni akhrat bhi sanwar lenge. Dusron ke kaam ane se jab hamein inke masail ka pata chalta hai to hamein andaza hota hai ke hamare masail kitne chote hen jab inke masail hal karne mein madad karte hen to aap jan pate hain ke hamein apne masail se kis tarah nipatne ki zarurat hoti hai.
logoblog

Thanks for reading Long Life Tips Urdu Lambi Zindagi Jeene Ka Tarika Hindi Long Life Tips

No comments:

Post a Comment