Kidney Stone Treatment Urdu Gurde Ki Pathri Ka ilaj Hindi Kidney Stone Symptoms Home Remedies

  Lal Gulab      

Hindi Kidney Stone Treatment In Urdu Gurde ki Pathri Information Home Remedies

Kidney stones jise aam tor par gurde mein pathri kaha jata hai intehai taklif da aur jan lewa bemari mein shumar hoti hai, kia aik insan ye mehsus karsakta hai is ke gurde mein pathri hai ya peshab ki nali mein pathri phans gaya hai? Aur is taklif se kaise nijat hasil ki jae ya mazid paida hone ki kaise rok tham ki jae. Mahkiken ka kahna hai bohat asani se lemonaid ke istamal se pathri ki rok tham mumkin hai. Mukhtalif iksam ki ghizai madniyat jab gurdon mein jama hona shuru hojain aur taklif ka bais banain to in alamat ko kidney stone yani gurdon mein pathri kaha jata hai, agar ye pathar chote hon ton zayada khatarnak nahin hote lekin agar waktan fa waktan mein izafa ho ya bare hote rahen to taklif da hote hein bohat se log gurdon mein pathri ke jama hone se la ilam hote hein aur mehsus nahin karte musibat aur taklif ka bais ye pathar bara hone par bante hain aur intehai taklif da is waqt sabit hote hein jab inka hajam 6 milimeter se tajawez karta hai aisi surat mein ye gurdon se ikhraj chahte hein aur masane mein taklif ka bais bante hein aur doran peshab jan nikalne ke mutradif hote hein in ka connection gurdon aur masane se hota hai aur aksar aukat shadid taklif ka bais bante hain.

Mahireen ka kahna hai gurdon mein pathri ki rok tham so fesad mumkin hai, lekin is ke liye galat ghizai iksam se parhez lazmi hai kyun ke kai ghizain insani jism mein pathri ki tashkeel deti hein ajeeb matanaza aur na mumkin si bat hai ke makhsus ghizaon se ye pathri paida hoti hai aur inhein mein se kai makhsus ghizaon ke istamal se in ka khatma bhi mumkin hai mahren ka kahna hai gurdon ki taklif mein fori tor par doctor se rujoo kia jae kyun ke ye aisi bemari hai jiska kisi ghiza ke istamal se tahafuz nahin kia jasakta, pathri ya pathar ko khatam karne ke liye inka bah jana hi wahid hal hota hai agar Agar makhsus ya riwayati adwia se ilaj mumkin na ho to is ka akhri harba operation hai ta ke nae pathron ko paida hone se roka jasake. University of california mein kidney stone center ke director doctor professor rajar ne press mein bayan dia ke gurde ki pathri ki 3 khas alamat hoti hein, kamar aur pait mein dard, peshab mein khoon ana aur ke ya matli hona ye zaruri nahin ke har insan ko inhain 3 alamat ke zahir hone se gurdon mein pathri ki taklif ho taham in mein se kisi alamat ko nazar andaz nahin kia jasakta aisi surat mein fori tor par emergency department se rabta lazmi hai.

ilaj Gurde Ki Pathri Ki Alamat Aur ilaj Kidney Stone Symptoms In Urdu

Aksar aukat bukhar hone se bhi gurdon mein infection hojati hai ye infection kayi baar gurdon par asar andaz hoti hai jis se zindagi ko khatra lahak hosakta hai, doctor ka kahna hai namken ghizain aur protein gurde mein pathri ke khatarnak awamil hein bunyadi tor par calcium aur zayada mikdar mein namken ghizain hi pathri ka bais banti hein namken khano se parhez kia jae aam namak ki bajae crystal salt ya samandari namak istamal kia jasakta hai ilawa azen har kisam ki tayar shuda masnuat mein bhi bohat zayada mikdar mein namak ki shamooliat sehat ke liye mazar karar di gai hai, calcium se bharpur ghizain hamesha nusan da nahin hein maslan sabzi fruit pathri ka sabab nahin bante lekin in mein namak wafir mikdar mein shamil karne se khane tayar kie jain to nuksan da hai hata ke aj kal doodh se tayar karda masnooat bhi taza nahin hoti aur sehat ke liye shadid mozar hein. Doctor rajar ka kahna hai pathri ki rok tham ka sab se behtar ilaj mineral water hai aur har insan ko din mein kam se kam 2 litre pani pena chahye mausam garma mein pasene ke bahao se jismani nasho numa mein tabdeeli paida hoti hai is liye wakfe se zayada pani ka istamal lazmi hai. Qudarti tor par lemu gurdon ki pathri Ki pathri ka dushman hai do litre pani mein aik so bees mililitre taza lemo milane se gurdon ka tahfuz hota hai. Degar fruit soft drinks mein zayada citrate shamil nahin hota aur kai degar chemyai o calcium ajza shamil kie jate hein aur aksar yahi aam soft drinks gurde ki pathri ka sabab bante hein doctor ka kahna hai lemonaid khud tayar kia jae. Kyun ke market mein dastiyab masnooat insani sehat aur zindagi ke liye shadid khatre ka bais hai in mein zayada mikdar mein namak ke ilawa sweets aur kai iksam ki cheeni aur degar masnooi ajza shamil kie jate hein jo khush zaika zarur hote hein lekin jan lewa sabit hosakte hein khud ke tayar karda lemo soft sehat ka zamin hein in ke abi tak koi zamni asrat zahir nahin hue gurdon ke tahafuz ke liye aam bazari masnooat se parhez kiajae aur zayada se zayada taza sabzi aur fruit istamal ki jain lemonaid drinks ghar mein tayar kie jain jo zindagi aur sehat ki zamanat hein, koshish ki jai ke zayada mikdar mein cheeni aur namak ka istamal na ho.

Desi Totke Kidney Stone Diet In Urdu

Gurde ya masana mein pathri ho tou 5 adad anjeer khane se pathri rait ban kar nikal jati hai.
logoblog

Thanks for reading Kidney Stone Treatment Urdu Gurde Ki Pathri Ka ilaj Hindi Kidney Stone Symptoms Home Remedies

No comments:

Post a Comment