Kar Bhala To Ho Bhala Story Urdu Fakhta Aur Chunti Kahani Kar Bhala To Ho Bhala Hindi Essay

  Lal Gulab      

Story Fakhta Aur Chunti Kahani Urdu Story Kar Bhala To Ho Bhala Hindi Essay Punjabi

Aik dafa ka zikar hai ke kisi jungle mein darya ke kinare par bargad ka aik darakht tha. Aik Fakhta ne us par apna ghonsla bana rakha tha wo apni zindagi ke din isi ghonsle mein kaat rahi thi. Ye jagah use bohat pasand thi darakht ke neche hi aik chunti bhi rehti thi. Fakhta aur Chunti ki aksar mulaqat hoti rehti thi wo donon aik dusre se kafi manoos bhi ho chuki thi. Mukhtalif kamon mein aik dusre ka khayal bhi rakhti thien.

Aik din Fakhta apne ghonsle mein bethi aram farma rahi thi. Chunti ko piyas mehsus hui wo pani pene ke liye darya ki taraf gai. Fakhta ne ise jate hue dekh lia tha chunti darya se pani pi rahi thi ke is ka paon phisla aur wo darya mein gir kar gotte khane lagi. Fakhta ne ise darya mein girte hue dekh lia tha us ne foran se aik pata tora aur ise mun mein lekar doobti hui chunti ke sar par puhnch gai us ne pate ko doobti hui chunti ke samne phaink diya. Chunti aik dam is pate par charh gai ahista ahista wo pata darya ke kinare aa laga. Is tarah chunti pani se sahi salamat nikalne mein kamyab ho gai. Fakhta ne us ki jaan bacha li thi. Wo seedhi fakhta ke paas gai aur uski jaan bachane ki wajah se us ka tah e dil se shukria ada kiya.

Chand hi din guzre hon ge keh aik shikari usi jungle mein parindon ka shikar karta hua agaya. Wo darya ke kinare kinare araha tha us ne fakhta ko darakht par bethe dekh liya tha. Lekin Fakhta us ki maujoodgi se bekhabar thi. Chunti ne shikari ko dekh liya tha wo shikari ke kareeb hi thi jab shikari apni bandook mein goli bharne laga to chunti ne khatre ki boo ko soongh liya. Wo foran shikari ke jism par charhne lagi shikari apni bandook mein goli bhar chuka tha. Wo ab apni bandook fakhta ki taraf kar ke nishana lene ki tayari kar raha tha itni dair mein chunti shikari ke hath par puhnch chuki thi us se pehle ke shikari fire karta, Fakhta ne shikari ke hath par zoor se kaat diya. Dard se shikari bilbila utha usi ghabrahat mein bandook chal gayi magar nishana khata ho gaya tha. Fakhta urgai is tarah chunti ne apni hamsai ki naiki ka badla diya wo dono aik dusre ke kaam ane par bohat khush thien.

Ikhlaqi Sabaq:
"Kar Bhala So Ho Bhala".
logoblog

Thanks for reading Kar Bhala To Ho Bhala Story Urdu Fakhta Aur Chunti Kahani Kar Bhala To Ho Bhala Hindi Essay

No comments:

Post a Comment