Jhoot Ki Saza Story Urdu Jhoot Ka Anjam Bura Hota Hai Kahani Jhoot Ki Saza

  Lal Gulab      

Urdu Story Jhoot Ki Saza Kahani In Urdu Story Jhoot Ka Anjam Bura Hota Hai

Aik dafa ka zikar hai ke kisi gaon mein aik gadaria rahta tha woh gaon bhar ki bhair bakriyan kareeb hi waqia charagah mein le jata. Sara din wahan bhair bakriyan charata aur in ki hifazat karta. Sham ko inhein gaon wapis le ata.

Aik din wo chara gah mein maujood tha bhair bakriyan idhar udhar char rahi thin. Ise aik shararat soojhi. Is ne socha ke kyun na gaon walon ko bewakoof banaya jae aur lutuf uthaya jae. wo sath hi wakia aik Taile par charh gaya aur unchi awaz mein chilane laga " Shair aya, Shair aya , Shair Aya, meri madad ko ao, meri madad ko ao."
Gaon wale sath hi khaiton mein kam kar rahe the jab inhon ne gadariye ki cheekh o pukar suni to wo dande, Sotay , kulhariyan, aur degar hathiyar liye foran us ki madad ko puhnchay gadaria samne khara muskura raha tha. Is ne gaon walon ko bataya " Koi shair nahin aya. mein ne mahaz mazak ke tor par aisa kia tha. Aap to khamakha hi pagal ban gaye".

Chand din guzre honge ke gadaria chara gah mein bhair bakriyan chara raha tha. is ke dimag mein phir shaitan ahgaya is ne phir gaon walon ko bewkoof banane ka irada kia wo kareeb hi wakia taile par charh gaya aur zor zor se pukarne laga " Shair aya, Shair aya, Shair aya, Meri madad ko ao, meri madad ko ao".

Gaon wale phir mukhtalif hathiyar lie is ki madad ko puhnch gae. Inhon ne socha ke shahyad is dafa wakai shair ahgaya ho. Lekin wo bohat mayoos hue jab wo moke par puhnche to gadaria ko phir muskurate hue dekha. Is dafa to gaon wale bohat gushe mein the. inhon ne ye than li thi ke ab kabhi agar gadariye ne inhein madad ke liye pukara to wo nahin ayenge.

Phir aik din aisa hua ke wakai shair wahan ahgaya. Gadariye ne shair ko dekha to is ke hath pair neele hogae. wo jaldi se kareeb hi taile par charha aur zor zor se pukarne laga" . Shair aya, Shair Aya, Shair aya, meri madad ko ao , meri madad ko ao." Magar gaon wale is ki madad ko na ae kyun ke wo ise mazak samjh rahe the. Is ne darakht par charh kar jaan bachai. Shair ne aik bhair par hamla kia aur ise utha le gaya. Is ne gaon walon se maafi mangi aur aenda jhoot bolne se tooba karli.

Ikhlaqi Sabaq - Moral - Jhoot Ka Anjam Bura Hota Hai.
logoblog

Thanks for reading Jhoot Ki Saza Story Urdu Jhoot Ka Anjam Bura Hota Hai Kahani Jhoot Ki Saza

No comments:

Post a Comment