Green Tea Benefits Urdu Sabz Chai Ke Faide Kashmiri Kahwa Nuksan Green Tea Side Effects Hindi

  Lal Gulab      

Hindi Green Tea Benefits In Urdu Sabz Chai Ke Faide Aur Nuksan Green Tea Side Effects

Sabz Chai Ke Fawaid Kashmiri Chai Benefits Urdu: Mera aaj ka mauzooh bhi kuch aisa hi hai jis ke parhne se yaqeenan aap ko faida puhnchega. Ji haan mera aaj ka mauzooh green tea ke fayde par hai. Sabz chai ki afadiyat se kisi ko bhi inkar nahin hona chahye is mein wo tamam ajza pae jate hein jin ki hamein zarurat hai ya jo hamari sehat ke liye mufid hein. Sabz chaye mein vitamin A, B, C, wagera paye jate hein tabhi tou zaiqay ke ilawa sehat ke mamlay mein bhi ye kafi shandar pehchan rakhti hai.

Sabz chai pene se hum din bhar chust o tandrust rahte hein aur is ke ilawa ye kayi amraz mein mufid hai jis ka zikar mein neche karon ga. Aap koshish karen ke kahmiri kahwa ki shakal mein lain is mein doodh ka istamal na karen doodh ke istamal se is ka zaika kharab ho jata hai. chai aur coffee mein calories ki miqdar zayada hoti hai jis se hamara wazan barhta hai coffee mein shamil caffine hamare liye nuksan ka sabab bhi banti hai par sabz chai mein kam calories hoti hein lekin agar aap is mein doodh aur cheeni ka istamal karain to phir calories barh jayain gi. Koshish karen ke is ko baghair cheeni ke istamal karen aur agar aap sugar ke marz mein mubtala nahin hein to aap is mein shahad aur shakar ka istamal kar sakte hein. Sabz chae ya is ke kahwa ko rozana apne khane ke doran istamal karen aik to ye aap ke nizam inhazam ko behtar banata hai aur is tarah aap ka khana jald hazam ho jata hai aur faltu charbi bhi nikal jati hai. Sabz chae ka kahwa sharyano ki tangi ko bhi door karta hai jis ki wajah se insan dil ke dore aur degar amraz se mehfooz rehta hai. Health ko behtar karne ke liye sabz chae ke kahwa ko fokiyat dain ye yaqeenan aap ke wazan ko bhi kam karne mein aap ki madad karta hai. Lekin aap sabar ka daman hath se na choren khuch waqt zaroor lagta hai lekin akhir kaar aap ko kamyabi mil jayegi aur aap smart dikhai dene lagain ge.

Sabz Chae Kahwa Tea Benefits In Urdu

  • Sabz chae ke kahwe se hum cancer jaise muzi marz se mehfuz rahte hein.
  • Is ke pene se ghutia ka marz nahin hota aur poisoning se bachati hai.
  • Sabz chae danton mein banne wale bacteria se mehfuz rakhti hai danton mein maujood jarasem aur gandagi ka safaya karti hai.
  • Buland fishar khoon ko aitadal mein rakhne mein hamari madadgar hai munh ke cancer se bachati hai woh log jin ki nazar zindagi bhar tez rehti hai woh is ke zaroor faiday hasil kartay hain.
  • Sabz chae tambaccu noshi karne walon ke liye faida mand hai par tambaco kisi bhi tarah behtar nahin nuqsan deh hai.

Side Effects Sabz Chai Ke Mozar Asraat - Green Tea Ke Nuksan In Urdu

  • Sabz chae ko nehar mun istamal na karen senay ki jalan aur taizabiyat ho sakti hai zayada istamal gurdon ke amraaz mein mubtala kar sakta hai.
  • Pregnancy mein sabz chae ka istamal hargiz na karain hamesha kisi ache brand ki green tea istamal karain.
  • Kashmiri kahwa mufeed hai lekin is ka zaroorat se zayada istemal na karain. Tou ye thay aap ke liye khuch aisi tips jin ki maloomat rakhna aap ki liye advantages ki wajah bane ga.
logoblog

Thanks for reading Green Tea Benefits Urdu Sabz Chai Ke Faide Kashmiri Kahwa Nuksan Green Tea Side Effects Hindi

No comments:

Post a Comment