Fish Benefits Urdu Machli Ke Faide Omega 3 Fish Oil Benefits Machli Khane Ke Fayde Hindi

  Lal Gulab      
Machli Ke Faide In Urdu Hindi Fish Benefits In Urdu: Hamare mulk mein amuman Rohu, mahasheer, panol, khaga, mori mali aur jheenga machli shoq se khai jati hai. Daryae sindh mein is ki aik kisam jise pala aur palo machli kahte hein milti hai ye bohat kanton wali magar be had laziz aur taqat war hoti hai. Taza machli ke gills surkh gulabi hote hein basi machli ke gills maityale gehre aur siyahi mail hote hein. Machli mein pani 78 fesad, lahmi ajza 22 fesad aur thori mikdar mein namak chuna, phosphorus aur foladi ajza ke sath hayateen A aur charbele ajza bhi hote hein. Nishasta dar ajza is mein nahin hote. Aik chatank machli mein 92 harare hote hein ye 3 4 ghante mein hazam hoti hai.

Aik pao tali hui machli aik waqt ki ghiza ka badal hojati hai ye badan mein khoon paida karti hai. balgam ki paidaish kam karti" dil, jigar, dimag, gurdon aur asab ko taqat deti hai aur hararat azizi paida kar ke bimariyon ka mukabla karne ki quwat mudafat paida kardeti hai. Ye mada par zayada bojh nahin dalti aur gas aur kamzor mada walu ke liye achi ghiza hai. Bhuni hui machli sab se zayada ghizaiyat rakhti hai. Is ke bad shorbe dar salan hota hai machli ke sath yani jab tak wo made mein hazam na ho jaye doodh pene se parhez zaruri hai. Purane hakeemo ne is se jazam aur bars hone ka khatra zahir kia hai.

Gurdon mein charbi ki tah barhane, lungs ko mazboot karne aur badan ko surkh o safaid karne ke liye machli ka istamal zayada karna chahye. Marz sal aur badan mein nikli hui gudodon ko zail karne ke liye machli aik naimat hai jo log badhazmi aur gazana hazam hokar ishal ki shikayat karte hon inhein subha o sham chawal khana aur batoor ghiza machli ke kabab khane se chand dino mein aram ajata hai. Patients dawaon ke andha dhand istamal se jism mein jo zeherile asrat zahir hote hein machli ke chand roz istamal se rafa hojate hein. Sardiyon ke mausam mein 12 aik baje tali hui machli aik pao bator ghiza khane se chand dino mein sehat qabil rashak hojati hai. Machli insani sehat ke liye bohat eham ghiza hai.

Is mein baaz aise ajza hote hein jo kisi aur gosht mein nahin pae jate misal ke tor par iodine jo isani sehat ke liye bohat ehmiyat ka hamil hai. Is ki kami se jism ka gadodi nizam ka tawazun bigar sakta hai, gale ke eham gadod thyroid mein sakam paida hokar jismani nizam mein bohat si kharabiyan paida hosakti hein. Mahreen kahte hein ke machli ka shorba pene se anton ke zakham thek hosakte hein is ki waja qadeem atbai ne ye bayan ki hai ke machli taryak hai, machli hamesha taza khani chahye kyun ke basi aksar sakht zehreli hoti hai. Machli mein aise bohat se ajza maujood hein jo sirf machli ke istamal se hi jism ko mohaia hote hein hafte mein aik bar machli zarur khani chahye, agar is ke bajae koi dusri samandari ghiza istamal karli jaye to Bhi koi mazaika nahin albata jhenge ka istamal zayada nahin karna chahye kyun ke jheengo mein cholestrol ki mikdar zayada hoti hai. Sardi se hone wali khansi ko dor karne ke liye machli se behtar koi cheez nahin hai. Hamare mulk mein mashoor hai ke angrezi ke jis mahine ke naam mein lafz "Rey" na ho is machli na khai jaye jaise may se august tak jab keh september  se april mein machli khana durust hai.

Machliyon ki afzaish nasal ke paish nazar april ko chor kar ye kahawat durust malum hoti hai. Mahreen ke mutabik machli khana jis tarah se mufid hai isi tarah se machli ka tail bhi agar lambe arse tak istamal kia jae to is se ibtadai dor mein khoon ki naliyon mein jo rukawatein paida hone lagti hein jis se sharyano ki sakhti ki waja se arza kalb mein mubtala hone ka andesha hota hai, se tahafuz mil jata hai. Ye bemari khoon ke cholestrol mein izafe Se hoti hein jo in naliyon ke raste ya to tang kardeti hai ya bilkul band kardeti hai. Is se dil ki harkat band hokar mout wakia hosakti hai.

Tahkik ki dunya mein ye bat abi zair bahes hai ke machli ke izafi istamal se insani dil par kia asrat martab hote hein lekin is ka andaza lagaya ja chuka hai ke machli bator ghiza istamal karne walon ki umaren lambi hoti hein yahan tak ke wo log bhi is ke fawaid re mehroom nahin jo akhri darje ke arza kalb mein mubtala hein. Jadid tahkik ke mutabik machli ke jigar ka tail jo cod liver oil kahlata hai, ghatia ke liye mufid hai. Is ke ilawa is se sharyanain bhi saf aur khuli rahti hein jis ke natije mein dil sehat mand rahta hai. Bartania ke mahkama sehat ne isi afadiyat ke paish nazar national health service ke tamam hospitals mein ab maxia nami machli ki farahemi ka silsila shuru kia hai. Ye tail bhi cod liver oil jaisa hai is se bilkhasoos khoon mein charbi ke madon ki mikdar kam rahti hai. 

Machli ke tail se gona go dimagi arzon ke ilaj ka tajarba karne wale mahren ki tahkik se sabit hua hai ke rozana machli ke tail ka aik capsule nigalne se nafsiyati amraz ka shikar aise marizon ko jin ka marz kafi advance stage par ho afaka hosakta hai. Research ke nataij ke mutabik 3 mah tak machli ke tail se bane capsule ka pabandi se istamal dimagi amraz, khas tor se inshaqaq zehni jaise marz mein mubtala afrad mein se aik chothai ka ilaj mumkin hai. Is bemari ke shikar marizon ki shaksiyat be rabta hojati hai. Mutasira shakhs daimi marez ban kar hospital mein dakhil rahta hai. Mahren ka man na hai ke darasal machli ke tail mein paya jane wala omega 3 acid dimag ke liye bohat mufid hai. Omega 3 dil ke functions aur is ki mazbooti ke liye bohat faida mand hota hai. Mahiren ka kahna hai ke thande pani ki machliyan khas tor se tona, samon aur degar chikni machliyon mein omega 3 acid wafir mikdar mein paya jata hai jo dimagi aur dil ke amraz ke ilawa insani jism ke mukhtalif aza ke liye bohat faida mand hai.
logoblog

Thanks for reading Fish Benefits Urdu Machli Ke Faide Omega 3 Fish Oil Benefits Machli Khane Ke Fayde Hindi

No comments:

Post a Comment