Desi Ghee Benefits In Urdu Desi Ghee Ke Faide Hindi Desi Ghee For Hair Health Skin

  Lal Gulab      

Desi Ghee Ke Faide In Urdu Desi Ghee Benefits In Urdu

Riwayati unani tibi aur jadeed science ki hazaron saal ki tehqeeq ke natijay mein ye baat samne ayi hai keh desi ghe sehat aur khane ka zaiqa dobala karne ke liye bohat zaroori hai yahan par desi ghee ke fawaid bayan kiye gaye hain. Khane ka taste desi ghee istemal karne se khane ke zaiqay mein behtari ati hai aur hazaron saal se khane pakane ke liye ghee ka istemal kiya ja raha hai jis mein pakane se khana khush zaiqa hota hai aur kharab nahin hota achi quality ka desi ghee fridge mein rakhe baghair bhi kharab nahin hota balkeh ghee ke khuch namoonay 100 saal tak kharab nahin hote.

Ghee makhan se tayar kiya jata hai jis mein doodh se dahi aur phir makhan tayar kiya jata hai. Ghazaiyat ghee mein vitamin A, D aur E hain jo use ke baad baraherast jism ko tawanai aur weigh barhane ka kaam karta hai. Ghee mein mojood ghazaiyat jigar ke liye fayda aur asani se jism mein jazab ho jati hai. Desi oil mein darmiyani darjay ke fatty acid energy zakhera karne ka zariya hai.

Balon Ke Liye Desi Ghee For Hair

Purane waqton se isay balon ke liye kamyab nuskha yani totka samjha jata hai is se baal chamaktay mazboot hone ke sath khushi ke dereni hal mein kamyabi milti hai.

Weight Loss

Desi Ghee tawanai ke nazam ko matwazan rakhne, charbi jalane aur wazan kam mein istemal kiya jata hai.

Madafati Nazam

Dusre tailon (oils) ke bar aks ghee mein paye jane wale acid khorak ko asani se digest karne ka baes bantay hain.

Sozish Aur Cancer

Ghee sozish khatam aur cancer se bachane mein muawan hai riwayati medicines mein desi ghee hazaron saal se sozish kam karne ke liye istemal kiya ja raha hai.

Bhook Mein Izafa

Ghee se bhook mein izafay ke ilawa zehan ko sakoon milta hai tabhi tou mayain apne bachon ko shuru se desi ghee khane ki adat dalti hain. Manfi jazbat aik chemayai amal ke natijay mein umad atay hain jo keh jism mein charbhi jama hone ki wajah se hota ghee is chemeyai amal ko rokta hai.

Medicines Ki Tayari

Riwayati adwiyat mein hazaron saal se ghee use kiya ja raha hai jis ki wajah ye hai ke tibi adwiyat jo keh jari butiyun se tayar ki jati hain aur ghee un mein jazab hone ki bharpur salahiyat rakhta hai.

Ghee ko tayar karne ka methid nihayat asan hai ghee makhan ko pighla kar hasil kiya jata hai jo munasib tor par zakheera karne se kayi mah tak qabil istemal rehta hai agar isay fridge mein zakhera kiya jaye tou salon tak ye qabil istemal rehta hai.
logoblog

Thanks for reading Desi Ghee Benefits In Urdu Desi Ghee Ke Faide Hindi Desi Ghee For Hair Health Skin

No comments:

Post a Comment